YAAD

2503 views 117 replies
Reply to Topic
ujala

Age: 124
Total Posts: 1
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
YAAD ZINDAGI KA KHUBSURAT SARMAYA.
Posted 08 Mar 2004

kiran says
per bachpan k din bhulae nahin bholte hain is liye to kehte hain

woh bachpan ki yadain woh rishte woh naate
woh sawan ke jhule
woh hansna woh hansana
woh ruth ker phir manana
main her ik pal dil main basae
diye main jalae le ja rahi hon
main le ja rahin hon
Posted 20 Mar 2004

actually hota yeh hay k

bachpan mein hum mein masoomiyat ziada hoti hay
aur hum jo bih kartay hein us mein koi amayzish nahi hoti
buraye ki

Posted 21 Mar 2004

kiran says
jee han per bachpan picha choorta kjun nahin hai
Posted 21 Mar 2004

~Fragi~ says
insaan kee yaadien hee akser us ka sarmaya hoti hain .. so na bholooo unhein
Posted 22 Mar 2004

kiran says
jee han pehle bar koi sahi baat ki hai appne
Posted 22 Mar 2004

~Fragi~ says
hain mein to hamesha hee sahi baat karta hoon ji
Posted 22 Mar 2004

kiran says
apne mun se miyan mithu na bana karo ok
Posted 22 Mar 2004

~Fragi~ says
Posted 22 Mar 2004

kiran says
Posted 22 Mar 2004

~Fragi~ says
mein koi nahi banta shanta ... miyaan mithu sirf sach hee bolta hoo na
Posted 22 Mar 2004

javad says
ji sachai to app say shuru aur aap par hi khatam
hoti hai

aabhi hum bachpan ko yaad kar rahen hain phir bolen gay
jawani hoti thi insan kisi bhi haal main khush nahi hota
Posted 22 Mar 2004

kiran says
yadoon ke sehra main bhatke bhatke hum ne jaana
bachpan hi sacha pyar tha abb to hai sab fasana

Posted 22 Mar 2004

~Fragi~ says
2 lamhey .. bus yehi 2 lamhey ka jeewan hai
Posted 22 Mar 2004

kiran says
jeewan main kiya yaad karo us pal ka ehsas karo
jo kisi per nichawar ho us eik dil main tum raho
Posted 22 Mar 2004

~Fragi~ says
so true.. jo ghum dey us ko bhool ja .. jo piyaar dey us ko paa ley
Posted 22 Mar 2004

kiran says
apne matlab main na zindage dhund
kabhi kabhi pyar band diya ker
Posted 22 Mar 2004

~Fragi~ says
wahan khoop andhera tha ..
meri nigah mein koi basa hoya tha
woh shab ek tareek shab
woh ankhein ek wairan ankhein
woh lamha ..
rolata bhi tha hansata bhi tha
dard bhi tha umeed bhi thee
kaisey mein pukarta usey
k woh akeli na thee

wah wah wah
Posted 22 Mar 2004

kiran says
apni tareef khudh hi kerte raha karo pagaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaal.
Posted 22 Mar 2004

kiran says
jee han pagal hi aise kerte hain..app to kafi samaghdar hain na yah app bhi....
Posted 22 Mar 2004

~Fragi~ says
excuse me ....
Posted 22 Mar 2004

kiran says
kjun sab bura laga kiya???
Posted 22 Mar 2004

~Fragi~ says
jo bhi hai .. i m da best
Posted 22 Mar 2004

kiran says
khush fehmi hai tumare
Posted 22 Mar 2004

~Fragi~ says
grrrrrrrrrrrrrrrrr ... bus aisa heee hai ,.. aur waise aap k pita ji kaisey hain
Posted 22 Mar 2004

kiran says
kjun??
Posted 22 Mar 2004

~Fragi~ says
un ko shikiyaat lagani thee eik
Posted 22 Mar 2004

kiran says
kaun se shikayat aur tumhain kiya mere pita jee se????
Posted 23 Mar 2004

~Fragi~ says
bus lagani hai shiyaait bus mein araha hoon pita ji of jahil kiran
Posted 23 Mar 2004

kiran says
main jahil nahin jahil ho gai tum tumare kiddi tumara ageay ane wala khandan pichla theek hoga kjun ke woh mughse bhara hai is liye kuch nahin keh sakti mager tumara ane wala khandan jahil ho ga.
Posted 23 Mar 2004

kiran says
maine app ko kab kaha mg sahab zara ghour se perhooo na.
Posted 23 Mar 2004

Reply to Topic