DejaVu077

Age: 125
7269 days old here
Total Posts: 4508
Points: 0
Location:
United States, United States
Suna hai loog ussay aankh bhar k deekhtay hain
Tou uss k shehar main kuch din tehar k deekhtay hain
Suna hai rubt hai ussay kharab haaloon say
So apnay aap ko barbad kar k deekhtay hain
Suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz uss ki
So hum bhi uss ki gali say guzar k deekhtay hain
Suna hai uss ko bhi hai shair o shairi say shaghaf
So hum bhi maugzay apnay hunar k deekhtay hain
Suna hai boolay tou baatoon say phool ghartay hain
Yeh baat hai tou chalo baat kar k deekhtay hain
Suna hai raat ussay chand takta rehta hai
Sitaray bam-e-falaq say uttar k deekhtay hain
Suna hai uss k shabistan say muttasil hai bahisht
Museeh udhar k bhi julway idhar k deekhtay hain