Age: 125
7575 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
vo kamraa yaad aata hai maiN jab bhii zindagii kii chilchilaatii dhuup meN tap kar maiN jab bhii duusroN ke aur apne jhuuT se thak kar maiN sab se laR kar khud se haar kar jab bhii us ek kamre meN jaataa thaa vo halke aur gehre kat’thaii rangoN kaa ek kamraa vo behad meherbaaN kamraa jo apnii narm mutthii meN mujhe aise chhupaa letaa thaa jaise koii maaN bacche ko aanchal mein chhupaa le pyaar se daaNte ye kyaa aadat hai jaltii do-pahar meN maare-maare ghuumte ho tum? vo kamraa yaad aata hai dabiiz aur Khaasaa bhaarii kuch zaraa mushkil se khulne waalaa vo shiisham kaa darwaazaa ke jaise ko’ii akkhaR baap apne khurdure siine meN shafqat ke samandar ko chuupaye ho vo kursii aur uske saath vo juRvaaN bahen uskii vo donoN dost thiiN merii vo ek gustaaKh muNh-phat aaiinaa jo dil kaa acchaa thaa vo be-hangaam sii almaarii jo kone meN khaRi ek booRhi annaa kii tarah aaiine ko tambiih karti thii vo ek guldaan nanhaa saa bahut shaitaan un donoN pe haNstaa thaa dariichaa yaa zahaanat se bhaarii ek muskuraahat aur dariiche pe jhukii vo bel ko’ii sabz sargoshi. kitaabeN taaKh meN aur shelf par sanjiidaa ustaanii banii baithii magar sab muntazir is baat kii maiN unse kuch poochuuN sirhaane niind kaa saathii thakan kaa chaaragar vo narm-dil takiyaa maiN jiskii goad meN sir rakh ke chhat ko dekhtaa thaa chhat ki kaRioN meN na jaane kitne afsaanon kii kaRiaaN thiiN vo chhotii mez par aur saamne diivaar par aavezaaN tasveereN mujhe apnaaiyat aur yaqiiN se dekhtiiN thiiN muskuratii thiiN unheN shak bhii nahiiN thaa ek din maiN unko aise chhoR jaaooNgaa maiN ek din yuN bhii jaaooNgaa ke phir vapas na aaooNgaa. maiN ab jis ghar meN rahtaa huN bahut hii Khuubsuurat hai magar aksar yahaaN Khaamosh baithaa yaad kartaa huN vo kamraa baat kartaa thaa!!!!!!