eshajam said:superbbbbb
Kyun Hai Yeh Tanhai Rahtay Hain Sath Sath Mai Aur Meri Tanhai
Kartay Hain Raaz Ki Batain Mai Aur Meri Tanhai
Din To Guzar Hi Jata Hai Logo Ki Bheer Main
Kartay Hain Basira Raat Mai Main Aur Meri Tanhai
Sansoo Ka Kia Bharoosa Kab Sath Choor Jayee
Laiken Hamesha Rahay Gay Sath Mai Aur Meri Tanhai
Aye Na Kabhi Tumhe Yaad Bhool Kar Hamari
Kartay Rahay Gay Yaad Tumhe Mai Aur Meri Tanhai
Aakay Pass Door Kyun Ho Gaye Hum Say
Kartay Hai Teri Tallash Mai Aur Meri Tanhai
eshajam said:
Tum Maan Jana...!
Main Apni Raato Ki Fursaton Main Tujhe Manaaun To Maan Jana
Agar Kisi Din Main Apne Aansu Jo Leke Aaun To Maan Jana
Ye Aik Dil Hi Tumhein Diya Tha So Isko Tum Ne Hi Tor Dala
Shikasta Dil Ki Jo Kirchioon Ko Sameit Laaun To Maan Jana
Tu Khush Nahi Hai Meri Baqa Pe To Sirf Itna Bata De Mujhko
Teri Khushi K Liye Jo Sooli Pe Muskurau To Maan Jana
Tu Badgumaan Hai Meri Wafa Pe To Sirf Aik Baar Aazma Le
Jo Haar Jaun To Lot Jana Jo Jeet Jaun To Maan Jana...!
olldman said:thx u so much ollman
Fairl_Girl said:Dard kii baarish sahii maddham zaraa
Aahistaa chal
Dil kii miTTii hai abhii tak nam zaraa
Aahistaa chal
Tere milane aur phir tere bichhar jaane
Ke biich
Faasalaa rusvaa_ii kaa hai kam zaraa
Aahistaa chal
Apane dil hii men nahi hai us kii
Maharuumii kii yaad
Us kii aankhon men bhi hai shabanam
Zaraa aahistaa chal
Koi bhii ho ham-safar 'Kabir' na ho
Khush is qadar
Ab ke logon men vafaa hai kam zaraa
Aahistaa chal
Suitably called dard kii baarish. A beautiful poem FG.
Miss mine said:THX SIS
v nice sis
rapunzel said:THX DARLING
~tasha~ said:THX JANU SIS
eshajam said:THX DEARnice FG dearo