Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
aanizdabst said:
erm wat happen to PYAAR HI PYAAR MEIN is it out on DVD heyyyy just remeberd are any of these movies out on DVDs yet or not coz Larki Punjaban was out ages ago but i havnt seen any DVD of that any newss????
Pyar Hi Pyar mein mene to dekhi naheen lekin I am waiting for DVD lekin Larki Punjaban dekhi huwi hai bakwas bhi naheen keh saktey achi hai flop honey ki wajha Saima Aunty hain aur dosry wajha Urdu Film mein ziyada Punjabi zabaan ka Use ki gai. I hope dodno Film 3 ya 4 saal baad DVD par aayngy. PHPM ka to sochey bhi mat Bhut bori tarha flop huwi hai DVD aaney ka Imkaan naheen lagta
Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
mzkp said:
Well If you want to see how well a film is doing regardless of any review see the film on third friday of its relese and you can know the real situation.Well I always watch a film on third friday and here are my reviews whether you beleive or not All films on third friday Yeh Dil Aap Ka Huwa:House Full Pyar Hi Pyar Mein:15 to 20 people Approx Laaj:One fourth Hall was Ful Commando:One Fourth Salakhain:Half Hall was full Kyun Tum Se Itna Pyaar Hai:House Full Tere Bin Jiya Na Jaye:5people
Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
I hope Fuzon Adnan Sami ki tarhan naheen kare ga. Mujhey Samajh naheen aati Pakistani Director ko Apney Mulk mein singer nazar naheen aatey. India Waley pak sey aik 2 song leta hai pakistan waley poori film ke song India sey record karwatey hain. Kiya Pop singer bekaar bethey hain jo in sey kuch naheen karwatey Pakistani ki sub sey badi bewakufi hai. Indian Film Murder mein Amir jamal ka song Kaho na Kaho Bhegey Hont Tere Copy from Najam Sheraz Meno Terey Naal. Zeher Film mein Atif ka song Woh Lamhey,Film Choclate mein Atif ka Ab to Adat Si Hai Mujhko Aur Abrar Ul haq ka song copy kiya hai Begha Begha sa Yeh December hai ,Film Aasiq banaya aap ney mein Ali Zafar ka koi song hai Yeh Sub bhut mashoor huwey akhir yeh bhi to paki singer hain kiya in mein telent naheen hai jo pakistani india sey sing karwata hai yaha Jawad Ahmed, Abrar , Strings, Faakhir ,in ko Singing ka bhi muqa den to phir dekhna Pakistan phir apna khoya huwa maqaam haafil kar ley ga. Abhi Jo Paki Film Mein Aik Din Lot kar aaonga Jis key Music Director Jawad Ahmed hain woh bhi recording ke liye India gey huwy hain. Jawad Ahmed Pehley bhi Aik Film Moosa Khan ka Music bana chkey hain yeh pakistan mein Rcord huwa tha Aur Bhut kamiyaab bhi raha.
Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
yoyo said:
mr ghayas stop dreaming a film can not break the records of aina or bandish in just one week, or even the 35 crore record of chooriyam in just one week.
if ktsk wants to break the record of ydakh, then it will have to stay in cinemas for atleast 2 years and even longer to break the record of aina, then come back here and say its broken the 58 year record.
and ydakh was the movie that brought lollywood success and made way for big budget digtal movies and also is the highest grossing urdu movie ever.
Yaar kahan ley ker chaley gey ho Reema ki Film ney 56 years ka record toda hai yeh jhoti khbar kahan sey li hai ke 58 years ka record tod diya hai Yaar Cinema mere uncle chala rahey hainn. Multan mein Capri Cinema Sirf 3 din show full raha after 3 days show full naheen raha mein bilkul such bol raha hoon hamrey cinema mein Ajab Gul ki Film 14 Week Cinema full raha mujhey yaqeen naheen araha tha to mene khud ja kar dekha waqey hi such tha abhi bhi KTSIPH chal rahi hai lekin abhi hum ney Reema ki lagai huwi hai. woh abhi chal rahi hai. Jis din Cinema full tha to aksar logo sey poocha gaya Film kesi lagi to logo ka jawaab hota hai Film to Bhut acchi thi lekin Reema ko jhot naheen bolna chahiye tha ke yeh family Film hai is film ka song Aankhain Jado bhari. Song booring ka tha aur Family ke saath dekhney ka bhi naheen Hum Ney soocha tha ke Family movie hogi lekin bhut boora laga hum Family Bachay samet ko cinema mein leker ayee Sarmindgi huwi lekin Film Qagehi Zabardast thi.4 song is key ziyada pasand kiye jarahey they 1 Pyar mein Kis ney Kiya Khoya, 2 Kano mein Baali Sohni 3 Mausam Ney Li Angrrai 4 dekhi Kalyun ki Aada
Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Reema Is A Good Actress And Best Director of Lollywood. Reema Like Pakistani Ashwariya Rai. Shee Is not Flop Actress. Reema Ney Bataya tha aaj kal acchi Film naheen ban rahi is liye mene Film mein kaam naheen kiya. Ji Yeh Bilkul Sahi hai Reema ney kaha tha ke Yeh Family Film ho gi lekin yeh Family Film nehaan thi. Logo ney Bhut Shikayat ki ke Hum Yeh Samajh ker Cinemas gey ke yeh Family Film hogi Bachey Samait Family gai jab bahir aaye to kehney lagi Agar Reema ney Aesa na kaha hota ke yeh Family Film hai to Film Flop honey ka khatra tha lekin Reema ney Direction Kamal ki ki hai. Logo ney kaha agar Family Film Pakistan mein bani hai to YDAKH,KTSIPH Aur TBJNY.
Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Yeah YDAKH A Boring Movie. YDAKH Ney Itna Record naheen tora jitna KTSK ney Thora hai Mein Batata Chalon YDAKH ney 15 Years ka Record Tora, Film Salakhain ney 18 Saal Ka Record Tora Aur Golden Jubilee Mukammal Kar Chuki Hai Aur Abhi Bhi Cinemas Mein Chal Rahi Hai Film KTSIPH ney 52 Saal Aur Silver Jubilee Mukammal Karney Wali Hai ka Aur KTSK ney Poorey 56 Years ka Record Tor diya hai Reema's Koi tujh sa kahan has been a big success on box office
Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
26th August ko pata chal jaye ga kis cinamas mein lag rahi hai Reema UK janey wali hain Film Ki Release ke liye. Date pakki hai Reema pakka Release kar ke dekha dey gi
Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Indian Film Pak Mein release honi chahiye is tarhaan Public aaney lagey gi aur Baad Mein Jab Acchi Pakistani Filmein aaney lageyn mere khaiyaal sey aani shoro ho gai hain Public ko laaney ka yehi tareeqa hai. Public aaney lag jaye Indian Film Hata kar acchi Pakistani Filmein Lagana Shoroh kar den Istarhan Publci aaney lagey gi To Pakistani Film Par bhi aik nazar daal lein key jo samjhtey hain ke pakistani film acchi naheen hoti. Aik Nazar dekh lein gey phir pata chaley ga Pakistan Mein acchi Filmein banti hain. Phir Public aur bad rey gi. Cinemas ka buhraan khatam ho jaye ga.
Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Reema bhut Jald Successful Film Celebration Show kar ney wali hain. Reema ney bataya ke Sub Sey Pehley mein karachi aaongi aur Film Film Bain ka shukriya aada karongi.
Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Yeh News mene khud to naheen di yeh aik News Paper Report thi. Jo mene Past kiya. Mene Reema ki Film 4 martba dekhi hai Kyun k Kafy Arsey baad aik acchi Film dekhney ko mili. Kafi Arsey ke baad mene Is saal ki 2 Film Ajab Gul ki 6 aur Reema ki 4 martba dekhi hain. Aik KTSIPH & KTSK. Yeh dono aesi Film Hain jis ney awaam ko Apni Taraf Khencha hai. Aur Umeed kartey hain Reema agli Film Is sey Ziyada Khubsurat banaye gi Mujhey Reema ki Yeh Baat Acchi lagi is ney Cinamas jaa kar acchi tarhan safai karwai aur awaam ko accha cinema kara kar Film Release kiya. Ta key Ziyada Ziyada Public aa sakey.
Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Film Zabardast Chal Rahi hai Reema ki Pehli aur Film Industry ki doosry Kamiyaab Film Yeh Bta rahi hai ke acchi film zaroor log dekhney aatey hain Mein kehta hoon Gujjuro ko khatam kiya jaye Lollywood accha maqam haasil kar ley ga agar Badmash jesi filmein khatam ho jayen
Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Reema ney bataya hai 26th August ko UK mein release kar di jaye gi. Mujhey Koi Dar naheen ke wahan Aamir khan ki Film Mangal Pandey The Rising chal rahi hai
Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Snageeta ki is Film mein aik Indian actress hai jo Heroin ka kardar aca kar rahi hai Babrik shah ney bataya yeh meri badi film hai jo awaam zaroor pasand karey gi is film ka sari shooting Dubai mein ki gai hai bhut jald sub ki nazar ke saamney ho gi
Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Nazar film itni boory flop huwi hai ke indian cinema khali ho gai thi logon ka kehna hai Meera Lollywood sey buhraan lekar india pohonch gai hai Meera k aaney walli nayee filmon mein Kasak,Umrao Jan Ada Aur Shak hai meera ney bataya ke Umrao jan ada naam ki 2 film ban rahi hain Aur shak Film mein mein Rmran Haashmi aur Sanjey Dut ke saath kaam kar rahi hoon.
Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Aur Saima Ko Hata den Saima Film Produce karey yehi ziyada beheter hoga. Film mein yeh Maa ka role karey to Film mein aaey. Heroin Chor dey to Film Ziyada hit hogi Larki Punjaban Saima ki wajha sey Flop huwi
Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Aap Ke Msg Mene un ko pohoncha diya hai aur Inshalla Un ki Agli Film App ke kehney ke mutabiq poora utrey gi Un ka jawaab mein aik haftey mein deta hoon woh kiya kehtey hain.
Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Kyun Tum Say Itna Pyar Hai ko 7 Din huwey to Mulk Bhar Is Ney 1 Haftey mein 2.50 Crore ka Bussiness Kiya to Aur Ziyada SuperHit Huwi Jo Film Ziyada Acchi Hoti Usko Pehley sey hit kehna buri baat thori hai balkey usey release honey sey pehley trailor dekh kar hit kar dena chahiye Aur KTSIPH abhi tak show full jaraha hai accha business kar rahi hai mein Punjab Mein gaya tha pata chala Khawateen ki Parjosh Request par yeh Film Chal rahi hai Mere Khaiyaal Sey Inshallah Silver Jubilee Mukammal karey gi mein to kehta hoon isey Golden Jubilee mukammal karni chahiye Logo ka keha hai Yeh Film 21 sey zaayed martba dekhi ja sakti hai mein yeh film 4 baar dekh kar aachuka hoon
Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Mene is ka Poster dekha hai Acchi Film Lag rahi hai Sangeeta ki Aik Aur Film Kangan Ke naam sey aaney wali hai acchi film hongi dono lekin Film Khatarnaak ke poster dekha hai bakwaas film lagti hai
Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Film Ka Naam Abhi Tak Naheen rakha Abhi Casting poori ki hai Naam Film Mukammal honey ke baad rakheyn gey. Jesey Film Kyun Tum Say Itna Pyar Hai Ka naam Pehley Das Mint Ka Khel Rakha tha Film Mukammal Honey Ke baad Naam Change kar diya. Khoye Ho Tum Kahan ka naam bhi inhon Ney Film Mukammal Honey Ke baad Rakha tha.
Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Javed Sheikh Pehley Apney Aap Ko Bollywood sey Nikaley To Sahi Phir Apni Film banana Shoroh Karen gey Bollywood ki 2 Film Mein Woh kaam Kar Rahey hai Film "Sapney" Aur Film"Rafta Rafta The Speed" Mein Pata Naheen kab Mukammal Ho Gi Hamayun Saeed ki 2 Filmein Ki Umeed Ki jaa sakti hai 2 saal mein 1. Tere Liye 2/ Main Aik Din Laot Aaon Ga
Age: 124
7790 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Aaha Ki dialogue Hai Lekin KTSIPH mein zIyada hain. is liye Woh Film Logon Ki Nazron Say Naheen jarahi har koi yeh film dekhney jaaraha hai Jab Ke TBJNJ 11 August Tak Chal Kar Cinemas sey utar gai hai Aur KTSIPH Chal Rahi Hai Ajab Gul Ney Nayee Film Bana Shoro Kar diya hai Inshallah woh 2 saal mein mukammal ho jaye gi.