Age: 39
7265 days old here
Total Posts: 7964
Points: 0
Location:
peshawar, Pakistan
Naa gubaar mein na gulaab mein mujhe dekhanaa mere dard ki aab-o-tab mein mujhe dekhanaa ,
kisi vaqt shaam malaal mein mujhe sochanaa kabhii apane dil ki kitaab mein mujhe dekhanaa,
kisi dhun mein tum bhii jo bastiyon ko tyaag do isii rah-e-Khaanaa Kharaab mein mujhe dekhanaa ,
kisi raat maah-o-najuum se mujhe puuchhanaa kabhii apanii chashm puraab mein mujhe dekhanaa , , Isi dil se ho kar guzar gaye kai kaaravaan kii hijraton ke zaab mein mujhe dekhanaa,
main na mil sakuun bhii to ,kyaa huaa ke fasaanaa huun nai daastaan naye baab mein mujhe dekhanaa ,
mere Khaar Khaar savaal mein mujhe Dhundhana mere geet mein, mere Khvaab mein mujhe dekhanaa,
mere aansuon ne bujhaai thi merii tashnagii Isii barg ziidaa sahaab mein mujhe dekhanaaa,
vahii ik lamhaa diid thaa ke rukaa rahaa mere roz-o-shab ke hisaab mein mujhe dekhanaa,
jo tadap tujhe kisi aaiine mein na mil sake to phir aaiine ke javaab mein mujhe dekhanaa...
Age: 39
7265 days old here
Total Posts: 7964
Points: 0
Location:
peshawar, Pakistan
chehre se naqaab apne hata kyun nahi dete zulmat ko ujaale ka pata kyun nahi dete hairat bhari nazron se mujhe dekhne wale zinda hoon abhi aur saza kyun nahi dete hum apni khwaahishon ki ghulaami nahi kariye hum apne nafas ko yeh bata kyun nahi dete tum todd ke rasmon aur riwazon ko deewaar zamane ki gira kyun nahi dete
Age: 39
7265 days old here
Total Posts: 7964
Points: 0
Location:
peshawar, Pakistan
Wahi takraar lafzoun ki Wahi andaishey furqat kay' Wahi anjaan see dastak Wahi her baat pey ranjish Wahi her baat pey larnaa Wahi likhna hamaarey naamoun ko bey-rehem maujoun per Hamaarey saamney kachchey gharoundey tour ker hansnaa Wahi bey-maani baatoun mein hamaara zikr ley aana Hamein perdey sey chhup ker daikhna aur muskuraana Wahi muskaan dheemi see Wahi kuch boulti aankhein Wahi chup chaap sa lehjaa Wahi bey-chain see halchal Wahi sakhiyoun sey katraana Wahi saaey sey ghabraana Wahi kehney sey kuch darnaa Wahi bey-wahja ithhlaana Sab hi aasaar kehtay hein.. Ussey mujh sey Muhabbat hai..!!! Ussey mujh sey Muhabbat hai..!!!
Age: 39
7265 days old here
Total Posts: 7964
Points: 0
Location:
peshawar, Pakistan
Hijar K Baad Duaa Na Hojana!! Dekh Lena Sazaa Na Hojana... Mor Tou Be-Shumar Aayen gay Thuk Na Jana, Judaa Na Hojana Be Irada Safer pay Nikley Ho!! Raaston Ki Hawaa Na Hojana.. Ek Tumhi Ko Khuda Say Manga Hai Tum Kaheen Bewafa Na Hojana....