Age: 124
7242 days old here
Total Posts: 95
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
im here wafakadard Poetry karni he chor di hai halat waqt sab badal gaya hai bus hum hain or Gham e Rozgar zindagi aisse badal gai hai k sab kuch barbad he hogayaho jaisse khair kuch new jaisse he likha zarror Post karunga Mujhy Yaad rakhny ka bht bht bht bht Shukkriya
Age: 124
7242 days old here
Total Posts: 95
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Jab Chaho Wapas lay laina Mujh se Apni Tasveerain Jin par kabhi Jalty Honton ki Mohrain Saabt karta tha mein Seeny se Laga kar So jata tha mein
Teri Angoothi Jissy Apni Ungli mein Pehan kar Chooma karta tha mein
Tera Woh Istimal Shudda TISSUE Jiss se Tera lams or Khushboo Dono Mila karty thy mujhy
Woh Gift Paper Jiss Mein Khushboo Lapait kar di thi Mujhy Tu nay Or uss par Laga woh Chota sa Card bhi Jo Iss liyan Nahi Phainka k Tere Haath ka Lams hai Khaloss hai Pyar hai Uss Mein
Sab Kuch Sanbhal kar rakha hai Aaj bhi Mein nay Jab Chaho Wapas Lay Laina mujh se Han Agar! Lauta sako to Lauta daina mujh ko MERA WAJOOD!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Age: 124
7242 days old here
Total Posts: 95
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
"TERE CHEHREY PAR PHELI HOI HAIRRAT Ankhon ki Hairrani Mera Deewangi se Dekhna tujh ko Taktty rahna bus tujhi ko Tera Honton ko Sakorna Kabhi mon ko Basorna Ajeeb Andaz tha Mulaqat ka Woh bhi Yun lagtta tha 2 Ajnabi mily hon jaisse Magar~! Waqt-e-Rukhsat ka woh Walihana paan Nihal kardayta tha Rooh ko Kainnat Simatti nazar atti thi Zindagi bari Haseen nazar atti thi Kaal tak kay liyan tujh se Bichar kar Jiyen gay kaisse Yehi Sawal uthta tha Dil main bar bar Lagta tha jaisse Nabz tham jaye gi Yeh Sa atain phir na aiengi Zindagi magar phir millati thi hum ko Khushi se Hamkinar kartti thi Yumhi Park ki Beanch par beth kar Taktta rahta tha ek Tak tum ko Kiss qadar acha lagtta tha Teri Ankhon main Jhankna mujh ko Acha lagta tha Zindagi ko tujh se Bantna mujh ko Masnoi Jheel kay kinarry hatton main hath dal kar Ghomna Zulfon ka woh tere Galon ko Chomna AH!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! Magar aab towoh chin gaya sab kuch Tu hai kuch or main bhi or Kuch Faqat Yadoon ka Azab Apne sar par Utthaye phir raha hon main Yunhi na janny samny ki Beanch par bethy Jorry ko dekh kar agaya Mazi yaad mujh ko Woh bhi Yunhi Duniya se Baigany ek Dosrry ki Chahat main Deewane Bethy thy najany kab se Yadoon ko Jhattak kar main chal diya wahan se Yeh DUA kartta hoa kay YARAB!!!!!!!!!! Phir se na 2 Dilon ko Torna Phir kissi ko kissi se Judda na karna!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Age: 124
7242 days old here
Total Posts: 95
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
"Apni Ankhon mein UmeedoN k Deep Jallaye Kab se Betha hon teri Rah par k Shayyad kabhi tu aye Meri Zindagi Sanwar jaye Mein bhi phir GaoN Mohabbat ka Tarana Bhool jaoN mein yeh Gham ka Fasana Bhula kar Zamany k har gham ko Lgalon Gally se mein Humdum ko Honton se Hont phir Baatien karien Hum tum mill kar Pyar ki Baatien karien Apni Ankhain Moond kar So jaon teri Aghosh mein or phir kabhi JagooN na Neend se! Aao aab a bhi jao Sapan mera yeh Sach kar bhi jao AAO!!!!!!
Age: 124
7242 days old here
Total Posts: 95
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Mera Tujh pay koi HAQ to nahi Phir bhi Magar! Yeh Chahat hon k Mere Saath tu rahy Zindagi Bhar Yeh Safar mill kar tay Karien Faslon ki Hum Parwah na karien Aik Doojy ko dekhty hoye Sapny Nay Bunty hoye Duniya ki Parwah na karty hoye Apni Khushi se Jiyen Iss Bay Rang Zindagi mein Khushiyon k Rang Bharain Har Khauf ko mita kar hum Bas Pyar ki Battien BAS PYAR KI BATTIEN KARIEN!
Age: 124
7242 days old here
Total Posts: 95
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Faradiya ji kiya baat hai aap ki mujh Nacheez se aap yeh kehti hain k Apni Shagirdi mein lay laien humain aap ki Poetry Masha ALLAh bohat achi hai aap aissa Kah kar hum ko Sharminda na karien bal k aap hum ko apni Shagirdi mein lay lijye.