Age: 124
7222 days old here
Total Posts: 95
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Tu Bhi Agar na mila to kiya hogga? Ik naya Zakham milyga Ik Naya Dard hogga Ik Kasak Dil mein or rah jayegi Yeh Zindagi to Rog ban jayegi Maut ho Naseeb aissa kahan Mera Muqadar Khudkushi karny ki Himmat kahan mujh mein Jeena to parry ga Laikin Yehi Sochta hoon Mein k Zindagi kaisse Basar hoggi Najany Sham se kaisse Sehar hoggi Han magar Dard ki na koi Kami hoggi Ankh mein Ansoon ki Nami hoggi Sukoon to milyga nahi phir kahin DIL par bany Naqsh Mit tay nahi yunhi Yaddien bhi Sanson k Saath Saath Chalti hain Kiss Qadar Aziyat or Kitna Karb Hogga Meharban jany kab Mera RAB hogga Kab Millien gi Rahatain Jeevan mein kab Sukoon hogga Tu to Bhool jayegi Mujhy hai Yaqeen Nai Duniya mein Gum hokar Milly ga Pyar to Nikhar Jayegi Zindagi teri to Sanwar jayegi Dhundhla Jayega Yaddoon ka Aainaa Waqt ki Dhool urry gi Jab Tujhy Fursat milly gi kahan k Beety lamhoon ko Yaad karry Waqt Apna Barbad Karry Teri APni Zindagi hoggi Har Taraf Khushi hoggi RAB tujh par Meharban hogga Tere Sar par to SAIBAN hogga Han mein magar rahoonga Yunhi Sada Bay Sukoon,Bay Asra!
Age: 124
7222 days old here
Total Posts: 95
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Khwabon ko Sanbhak Rakhna Dekho kahin yeh Tot na jaien Jo Khwab Mil kar dekhy hain Woh Qeemti hain Bohat Nazuk bhi hain Bohat Inn Khwabon ko Sach karna Baqi hai abhi Mohabbat ko Ammar Karna Baqi hai abhi Dekho Abhi Mushkilain Bohat Aaien gi Toofan Uthaingay Andhiyan bhi bohat Aaiengi Tum Inn Mushkilon se Magar Ghabrana nahi Khwabon ko sach karna Asan nahi Itna Bas Mujh par Yaqeen Rakhna Tera Yaqeen he Mujh ko Dayta hai Agy Barhna ka Hosla Tujh ko Pany ki Chah mein Barhta jata hoon Mein Yeh Khushi Dil mein Liye K Manzil pay Tu Banhon k Har liye Tu Swagat karryga mera Mein Takkan sari Bhool kar Chupa loonga khud ko Teri Aghosh mein
Age: 124
7222 days old here
Total Posts: 95
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Tum Kahti ho k Masroof karloon Khud ko Kissi Kaam mein Duniya k Tam Jham mein Kiya Samjhti ho aissa nahi kiya hogga mein nay? Mein nay jo Kama bhi kiya uss mein tumhain Paya Har Awaz mein Tumhain Goonjta Paya Bohat Chaha Ji ko Bahlana Magar Bay Bas apne aap ko Bohat Paya Sochon par apni Pehry Laggay magar koi Faida nahi Hawa k Jhonkon ki Tarhan hoti hain Yaadien Hawa pay kiss ka Zor chalta hai Bhala Jab Ubharti hai Teri Tasveer Dar-o-Deewar par To Tum he Battao kiya karoon mein Jab Apne he Wajood mein Tera He AKS dekhoon Jab Apni he Sansoon se Teri Mehak aye Jab Dharkain Tera he Naam Pukkarain Jab Nas Nas mein Tera Pyar Dorta ho To tum he Battao JANNA! Mein yeh Kaisse na kahoon K MERE DIL PAR MERA ZOR NAHI!
Age: 124
7222 days old here
Total Posts: 95
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
KABHI JO GUZRO
Kabhi jo guzro meri galli se to dekhna Aik Saal Khorda sa Makkan Dhool se atta hoa Jabaja Deewaron par Deemak laggi hoi Zang allod Darwazy Tarakhti hoi Deewarain hongi Kissi khandar ki Tarhan Wirran Ibrrat k kissi Nisha ki Tarhan Aaj bhi kharra hai Makino ki Talash mein!
Age: 124
7222 days old here
Total Posts: 95
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
JUDDAI
Barra ajeeb tha sama woh juddai ka Ansoo Bhari Ankhon se Dekhna tujh ko Labon pay jaisse Mohar laggi thi Alfaz bhi kho gay thy sarry Jazb kar raha tha mein Yujh ko apni ankhon mein Dharkanain Doobny laggi thin Or Akhri Lamhy mein Jab hum dono Apni Apni Manzil ki Taraf chal parry Mein nay Mur k jo dekha woh tab bhi Sar Jhukkaye Ro rahi thi