Kate gi kab yeh zindage bereham
kabhi to milna hai tum ko sajan
woh rahain mere bighri hui tumse
woh bichra hua sa suhana angan
mere muqadar main tum nahin to
barsen ansoon jese barse sawan
main zinda hon is umeed per
kabhi to hansta hua ae ga mausam
suhane pal woh jo jaam dete
kab mila hai woh pyara gulshan
ke chair dete tum mughey yun
ke bajh uthte dil ke sargam
sitaroon ki baraat ati yun
ke jhum uthte baraste sawan
tum mere saath kab chale thai
yun hi guzerte hain tanha mausam
abb ke barsi he aise purwai kiran
ke zindagi hogai hai koi ugra chaman
hi khataeen kesi lagi mere ghazal mene khud likhi hai umeed he pasand aye gi ager achi na hui yah ager koi ghalti he to please tell me mind nahin karuun gi ok.