hi to all member of janubaba.
Ussay apnay faida ki fiker thi wo jo mera wakif-e-kaar tha
Wo jo us ki subh-e-urooj thi wohi mera wakt-e-zawal tha...
Kahan jao gaye kahan aao gaye mein ye pooch pooch ke thak gaya
Wo jawab mujh ko na day saka wo tu khud hi sarapa sawal tha...
Meri baat kaise wo manta mera derd kaise wo janta
Wo tu khud fana kay safer mein tha ussay rokna bhi mahal tha...
Wo jo us ke samnay agaya wohi roshni mey naha gaya
Ajab us ki hebat-e-ishq thi ajab us ka rung-e-jamal tha...
Dum-e-wapsi arey kya hua na wo roshni na wo taazgi
Wo sitara kaise bikhar gaya wo jo aap apni misal tha...
Wo mila tu sadiyon ke baad bhi mere lub pe koi gila na tha
Ussay meri chup ne rula diya jisay guftugu mein kamal tha...
Mere saath lag ke wo roo diya mujhay sirf itna he keh saka
Jise janta tha mein zindagi wo tu mera wehm-o-khayal tha...