Kash main terre haseen haath ka kangan hota
tu baray pyaar se chaho se baray maan ke saath
apni nazak se lalayi charhati mujh ko
aur betabi se furkat ke khizan lamho mein
tu kissi soch mein dobi jo ghomati mujh ko
main terre haath ki khusshbo se mehak sa jata
jub kabhi mode mein a kar mujhay chooma karti
terre hontoon ki hiddat se dehak sa jata
raat ko jub bhi tu nendoon ke safar par jati
Marmari haath ka ik takiya banaya karti
main terre kaan se lag kar kayi batein karta
terri zulfoon ko terre gaal ko choma karta
jub bhi tu band kaba kholne lagti Jana
apni ankhoon ko terre hussan se khera karta
mujh ko betab sa rakhta terri chahat ka nasha
main terri roh ke gulshan mein mehakta rahta
main terre jisam ke angan mein khanakta rahta
kuch nahi to ye hi benaam sa bandan hota
Kash main terri haseen haath ka Kangan hota
Mohabbaton Ka Safeer