Age: 125
7606 days old here
Total Posts: 9535
Points: 0
Location:
United States, United States
agar bilfarz tum aisa samajhtay ho k main hoon kaj ada meri wafa jhoti hai dhoka hai tou jaanan such samajhtay ho k main tou kya yahan her shaks jaan-e-jaan kabhi mukhlis nahi hota jo hona chahta bhi ho tou phir bhi ho nahi sakta hamaray khoun mein shamil hai awal bound se ik tishnagi jis ko mitanay ki nahi tadbeer koi bhi bus ik he aakhri hal hai wafa aur be wafai ki hadain phir se muqarar hon
Age: 125
7606 days old here
Total Posts: 9535
Points: 0
Location:
United States, United States
kisi ne bhi to na dekha nigha barh k mujhe gaya phir aaj ka din bhi uddass kar k mujhe zara si baat pe itni bari saza di mujhe zameen pe penkh diya aasmaan se mujhe doori ne kar diya hai tujhe aur bhi kareeb teri yaad aa k na jaye to main kya karun us ne bhool kar bhi humain yaad na kiya aik hum hi theh jo us ki yaad ma aanso bahate rahe aik qayamat hai jo har roz guzar jati hai tum ne dekha nahin aalam meri tanhaiyon ka ab hawain hi karengi roshni ka faysla jis diye ma taqat ho gi woh reh jaye ga
Age: 125
7606 days old here
Total Posts: 9535
Points: 0
Location:
United States, United States
"jo such poochti ho ae jaan-etamana tou hum donon mein se kisi ko kisi se muhabat nahi hai diya hai jisay naam hum ne muhabat wo mehroomi-e iltefaat-enazar hai hai jo aarzo hum ko ik doosray ki nahi kuch siwaye faraib-e-tamana kisi tor tanha na rehnay ka dharka hamaray khameeron mein jo rukh diya hai hai aankhon mein jo khwab hum ne basaya hain hum bakhabar is ki tabeer se bhi khabar hai k khushbu na aaye gi laikin faqat aabro-e-baharan ki khatir hain kuch kaghzi phool hum ne sajaye