Age: 45
6815 days old here
Total Posts: 102
Points: 0
Location:
Swat, Pakistan
us ki gali phir mujhe ik baar le chaloo Koi lejata hai us tak, na Qaza ati hai aap uth kar mujhe jane mein haya ati hai Majboor kar k mujhko mere yaaar le chaloo us ki gali mein phir mujhe ik baar le chaloo shayad yeh mera wahem ho mera khayal ho mumkin hai mere baad usay Mera Malaal ho pachta raha ho ab mujhe dar se utha k woh betha ho meri yaad mein aankhein bicha k woh us ne bhi to kia tha mujhe pyaar , le chaloo us ki gali mein phir mujhe ik baar le chalo ab us gali mein koi na aaiga mere baad us dar pe koon khoon bahaye ga mere baad mein ne to sang o khaiz se takra k apna sar gulzaar kardiye thay lahoo se woh baam o dar phir muntazir hain woh dard e yaar le chaloo us ki gali mein phir mujhe ik baar le chaloo diwana keh k logon ne har baat taal di dunia ne mere paaon mein zanjeer daal di chaho jo tum to mera muqaddar sanwar do yaroon yeh mere paaon ki airi utar do ya khenchte hoye sar e bazaar le chaloo us ki gali phir mujhe ik baar le chaloo
Age: 45
6815 days old here
Total Posts: 102
Points: 0
Location:
Swat, Pakistan
Jab koi baat kerta hon tera khial aata hai jab koi baat kerta hon tera khial aata hai jabb kuchh sochnay lagta hon tera khial aata hai meri aankhon meri nazar main tum aisay samaay ho jabb kuchh dekhnay lagta hon tera khial aata hai koi bhi kaam mujh se abb to kia nahi jaata jaabb kuchh kernay lagta hon tera khial aata hai main saari raat tujhay sochtay bita deta hon main jabb bhi sonay lagta hon tera khial aata hai kabhi jabb hansi aati hai to dil ronay lagta hai main jabb bhi hasnay lagta hon tera khial aata hai
main pal pal merta rehta hon nahi abb jia jata main jabb bhi jeenay lagta hon tera khial aata hai
Age: 45
6815 days old here
Total Posts: 102
Points: 0
Location:
Swat, Pakistan
TUM CHAHAY NA MUJH SAY BAAT KARNA MAGAR AIK ILTIJAA HAI TUM SAY SUNO SIRF AIK BAAR MERA NAAM LAY KAR KOI BHI ACHAY SAY KAPRAY PEHANANA AUR PHIR HALKA HALKA SA SINGHAR KARNA MEIN TO NA TUMHAIN DAIKH PAAOONGHA LAIKIN SUNO SIRF AIK BAAR MERA NAAM LAIKAR AANKHON KO BAND KARNA DONO HAATHON MEIN CHUPA KAR GHUMAAN KARNA KAY MEIN TUMHAIN DAIKH RAHA HOON FORAN AAINA DAIKHNA AIK TABDEELI HO GHI TERAY HUSN MEIN JAISAY PHOOL SHABNAM SAY THODA JHUK GAYA HO SUNO SIRF AIK BAAR MERA NAAM LAI KAR SEENAY PAY HAATH RAKHNA DADHKAN TO SAAF SUNAAEE DAY GHEE MAGAR US KI SHIKAAYAT KO BHI MEHSOOS KARNA SUNO SIRF AIK BAAR........ .... APNAY HAATH PAY MERA NAAM LIKHNA
Age: 45
6815 days old here
Total Posts: 102
Points: 0
Location:
Swat, Pakistan
Mohabbaton ki jo kitab likhna, Mera bhe us main hisab likhna, Jo kab ki neendein luta chuka hai, Woh aj bhi hai bekhwab likhna, Mujhey tasalli na de sakein ge, Ye chand taarey shahab likhna. Jo tujh se lamhe chura liye the, Baney hain ab woh azaab likhna Sada khataein na ginte rehna, Koi tu mera sawab likhna.
Age: 45
6815 days old here
Total Posts: 102
Points: 0
Location:
Swat, Pakistan
kabhi chaho gay to chahat se bulaen gey tumhe Dard e dil hota hai kiya ye dikhaen gey tumhe Muhabbat hoti hai kiya muhabbat kar k dikh lena Phir mere pass anna kuch or bataen ge tumhe Kabhi na aaen ankh main ansu to aisa karna Ek shaam mere pass aana buhat rulaen ge tumhe Hr pal raho gey bechain muhabbat me Khayal ban kar pal pal sataen gay tumhe Pochtey ho jo zinda rahne ka sabab Chalo kisi roz zindgi se milwae ge tumhien.
Age: 45
6815 days old here
Total Posts: 102
Points: 0
Location:
Swat, Pakistan
Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyar mile, Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Jo b Taqdeer banata hoon, Bigar jaati hai, Dekhte Dekhte Dunya hi Ujar jaati hai Meri Kashti ne Tera Toofaan se Wada kya hai Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Tu ne jo Dard dya, uski Qasam khata hoon Itna zyaada hai ke, Ehsaas daba jata hoon ; Meri Taqdeer bata, Aur Takaaza kya hai? Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Mai ne Jazbaat k Sang khelte Daulat dekhi ; Apni Aankhon se Mohabbat ki Tijaarat dekhi Aisi Dunya mai Mere waaste rakha kya hai? Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Aadmi chahe to Taqdeer badal sakta hai ; Poori Dunya ki wo Tasveer badal sakta hai; Aadmi soch to le, uska Iraada kya hai? Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyaar mile ; Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Age: 45
6815 days old here
Total Posts: 102
Points: 0
Location:
Swat, Pakistan
Like flowers they need to bloom slow Allowing loving friendships to grow Friendships can be a lifetime treasure Allowing growth without pressure
Just as flowers need attention Friendships need love, not contention As flowers of all shades Loving friendships won't fade
Friendships need to connect In time they earn respect Just as flowers have roots In time developed strong shoots
Friendships are like the ivy vine Becoming stronger they entwine Truest colors of the rose True sincerity friends expose
I love and appreciate all my friends Thankful to God above love transcends Rather have my friends then gold, diamonds or jewels All of my friends live by the Golden Rule.
Greater love hath no man than this, that a man lay down his life for his friends.
Age: 45
6815 days old here
Total Posts: 102
Points: 0
Location:
Swat, Pakistan
Main ho khamosh Mere alfaz suno Meri sanson me gujti apne Payal ki jhankaar suno Main ho madhosh Mere jazbaat suno Meri ankhon me basi khawabo ka Kaun hai fankaar suno
Ab to parchaiyan bhi saans leti hai Mere kamre mein Har ek shai par naya Noor nazar aata hai Kanch ke sheesho par jami Barish ki boondon ki tarah Jahan ka kona kona bhi Tumse hai aabaad suno
Bus to tanhayon par nahi Phir bhi hai Ab bhi kuch ikhtiyaar Apni ankhon par Dekh leta ho kabhi jo Khile khile in phoolon ki rangat Boojh leta ho tumhare Dil ki har baat suno
Main Bad-Dua To Nahi Day Rah Lekin.. Dua Yeh Hai kay Ab Ussay Mujh Jaisa Naa Milay
Age: 45
6815 days old here
Total Posts: 102
Points: 0
Location:
Swat, Pakistan
Har ikk lamha naya imtahan hai Boohat nameharba yeh Asma hai Dilo per baraf girti jarahi hai Badan ka tajziya b raaiga n hai Main uss se baat karna chahti ho Batao tu sahi vo ab kahan hai Aana ki rait shamil ho gayi hai Hawa se guftagu aab raaygha n hai nujhay iska yaqeen hargiz nahi tha mere janib se itna badguman hai
Age: 45
6815 days old here
Total Posts: 102
Points: 0
Location:
Swat, Pakistan
Koon kehta hai mughay thaiss ka ahsass nahi Zindaghi aik udasi hai jo tum paas nahi Mang keh na piyun yeh mere khudari hai Iss ka yeh matlab nahi k mughay payas nahi
Age: 45
6815 days old here
Total Posts: 102
Points: 0
Location:
Swat, Pakistan
-paas reh k juda si lagti hai zindagi bewafa si lagti hai main tumhare beghair bhi jee longa yeh dua,bad dua si lagti hai naam us ka likha hai aankhon per aansuon ki khata si lagti hai who abhi is tarf se guzra hai yeh zameen asman si lagti hai pyar kerna bhi jurm hai shayed aj duniya khafa si lagti hai
Age: 45
6815 days old here
Total Posts: 102
Points: 0
Location:
Swat, Pakistan
geele kagaz ki tarah hain zindagi apni, koi jalata bhi nahin koi bahata bhi nahin, is qadar hain akale rahaon mein dil ki, koi bulata bhi nahi koi batlata bhi nahin
Age: 45
6815 days old here
Total Posts: 102
Points: 0
Location:
Swat, Pakistan
-kuch khwab khwab reh jaate hai kuch sapne adhure reh jaate hai chahat ka wada wafa ki kasmein kagaz pe chand tehrerein reh jaati hai tujhse milna tujhe paane ki aarzoo kuch khwahishein hasratein reh jaati hai tere saath bita waqt tere sang guzre lamhe maazi k faqt yaadein reh jaati hai
Age: 45
6815 days old here
Total Posts: 102
Points: 0
Location:
Swat, Pakistan
Wo Mera Tha Ye Batana Ajeeb Lagta Hai , ab un se ankh milana ajeeb lagta hai ,jo kabhi zindagi mai mera na ho paya ab Us Ka Khuab Main Ana Ajeeb LAgta hai,BAray Khuloos Se Dawat TO bjheji Hai Unhon Ne, Per Un Ki Mefil Main Jana Ajeeb LAgta hai, Tha Jis ka Hath HAmesha Hamaray Hathon main Ab Un Say Hath Milana Ajeeb Lagta hai
Age: 45
6815 days old here
Total Posts: 102
Points: 0
Location:
Swat, Pakistan
KOi TUM SY POOCHY KON HOON MAiN TUM KAH DYNA KOi KHAS NAHiN AiK DOST HAI KACHA PAKKA SA AiK JHOOT HAi ADHA SACHA Sa JAZBAT KO DHANPY AiK PERDA BAS AiK BAHANA ACHA SA JEEVAN KA AiK AYSA SATHi HAi JO DOOR NA HO K PASS NAHiN KOi TUM SY POOCHY KON HOON MAiN TuM KEH DYNA