Age: 124
7009 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
QUEEN VICTORIA said:
Bin Dhaikhay usay ya Rabb yeh Eid na guzray Ker paida koi aisa sabab, yeh Eid na guzray Duniya ko dikhaya hay, ik chand jo too nay Mujh ko bhi dikha day abb yeh Eid na guzray
Aaye Khuda kar too unhain bhi Eid ki khushiyan naseeb Jin kay dam say ham bhi hain aour hay hamaari Eid bhi
Iss baras koi hassen khwab na tha Ankhon main Iss baras ham say bhi daikha na gaya Eid ka chand Eid aayi hay musarat ki payami ban ker Woh musarat jo teri deed say wabasta hay
Eid ka din bhi shab-e-matam hay meray wastay Jis khushi main woh na aaye woh khushi achi nahein Iss Eid par bhi mil na sakay ham to kaya hooa jazbon main jo khaloos to Eidain hazar hain Phir aa gayi hay Eid magar dill udas hay Khushiyon ki hay naveed magar dill udas hay
Eid kay din na sahi Eid kay kuch ba'ad sahi Eid to ham bhi manayein gay teri deed kay ba'ad
Yeh Eid kiya hay keh duniya ki her musarat ko Tumhari yad par qurban ker diya main nay
Un kay abroo-e-khameeda ka tarah teekha hay Apni aankhon main barhi daer chubha Eid ka chand Ghairon main hay jo shad usay Eid mubarak Ham jis ko nahein yaad usay Eid mubarak
Khat main likha tha Eid kab hogi Ham ko tareekh likh kay bhijwayein Choonkeh jhagrha tha iss liye ham nay Likh diya Aap jabb bhi aa jayein
Aaj kay din saaf ho jata hay dill aghiyar ka Aao mill lo Eid, yeh maoqa nahein takraar ka
Khoob roya main lipat kar gham-e-tanhai say Koi bhi aa kay galay say na laga Eid kay din
Meray aangan main dabay paaon naye rog liye sall kay sall koi Eid chali aati hay
Kab tery milnay ki taqreeb bana Eid ka chand Teri yaad aayi to dekha na gaya Eid ka chand
Dekha hilal-e-Eid to aaya tera khiyal Woh Asman ka chand hay to mera chand hay
Kuch musarat mazeed ho jaye Iss bahanay say Eid ho jaye Eid milnay jo aap aa jayein Meri bhi Eid, Eid ho jaye
Moyasar jin ko apnay doston ki deed hoti hay Jo sach poocho to duniya main unhi ki Eid hoti hay
Kitni palkon say fizaon main sitaray tootay Kitnay afsanon ka unwan bana Eid ka chand
Chand jab aaya nazar uss bam par Rashk aaya apni her ikk sham par
Eid ka din hay galay aaj to mil lay zaalim Rasm-e-duniya bhi hay, maoqa bhi hay dastoor bhi hay
Yeh Eid kay pakwan ka kuch aisa asar hay Mehbob ki zulfain bhi lagti hain sawayan....
Age: 124
7009 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Assalam O Alaikum
*Oh khwabon se nikal kay tu ajaa hawaon pe chal k Tu aa jaa bay rang hain zindagani Rangon main dhal kay tu ajaa Mujhay tera Intezaar Mujhay Tujh se hain pyaar tere Liye bekaraar dil hain mera ...!