~CHANDNI~ said:
Yaad ata hai bohut woh guzra huwa zamana
Woh School ki life woh bachpan ka yarana
Left right kehtay hoey hathon ko uthana
woh Iqbal ki dua woh asambli ka taranaa
Woh ghanti bajtay he classes say nikalna
Woh lunch mai ja kar cholay chaat kahana
Woh gurmiyon ki chutiyo mai ghumnay ko jana
Woh mastian karna aur mouj manana
Woh tapti hoi dhoop mai cricket khailna
Woh ratoon ko der tuk jagna
Her khuff say azad zindagi guzarna
Woh baat baat par Ammi say zid karna
Woh ghaltioon pay maasomiat say sorry karna
Woh ghusay mai Ammi ka dantna aur raat mai Abbu say shikayetain karna
Woh har shaam ko apnay time pat ghar say nikalna
Aur mahallay mai cricket khailna
Maghrib hotay he ghar ko loutnaa
Werna dadi ji say dant sunnna
Woh dadi ko baat baat par satana
Aur dadi ka shafqat say samjhana
Woh raat ko homework k waqt bahanay karna
Aur class mai miss ka murgha banana
Woh subha mai Ammi ka humko UThana
Aur hamara Ammi ko kahaniya Sunanaa
Late school pohchnay par Madam ka gusse me ana
Aur kehna Madam ka kal Ammi ko bulana
Woh Ammi Abbu ka be ghurz pyar
Woh chacha phopho ka dular
Woh sharatain woh kahaniyan
Lougoon ka jin ko kehna shetaniyan
Moud kar dekhta hoo tu sochta hoo k
Kiya zamana tha woh jo guzar gaya
Woh zamana kitna suhana tha
Waqai kia zamana tha waqai kia zamana tha
Rapunzel said:
Teri yaad mein jeete jeete aik zamana beet gaya
Hum ko apne aap se bichre aik zamana beet gaya
Paani ke parde par tum ne naam wafa ka likha tha
Paani ki lehron ko takte aik zamana beet gaya
Ankhon mein kuch khwab basa kar hum ne jeena chaha tha
Ankhon mein khwabon ko sulagte aik zamana beet gaya
Jate jate phir milne ki aas na dete acha tha
Phir milne ki aas mein jalte aik zamana beet gaya
Kon sune faryaad kisi ki, kon kisi ka dard sahe
Apne aap se baten karte aik zamana beet gaya
~CHANDNI~ said:
Pyaar
Main Ne Parindo Se Pyaar Kya To,,
Woh Urh Gaya
Main Ne Sooraj Se Pyaar Kya To,,,
Woh Gharoob Ho Gaya
Main Ne Chand Se Pyaar Kya To,
Woh Badlon Main Chup Gaya
Main Ne Pani Se Pyaar Kya To,
Woh Beh Gaya
Main Ne Baraf Se Pyaar Kya To,
Woh Pighal Gaya
Main Ne Barish Se Pyaar Kya To,
Woh Baras K Thum Gaya
Main Ne Aag Se Pyaar Kya To,
Woh Bujh Gai
Main Ne Phoolon Se Pyaar Kya To,
Woh Murjha Gaya
Main Ne Kanto Se Pyaar Kya To,
Wo Toot Gaya
Main Ne Janwaron Se Pyaar Kya To,
Woh Meri Zaban Na Samjh Sakay
Or Jab..Main Ne Insaan'on Se Pyaar Kya To,
Woh Be-Wafa Niklay