Age: 125
7921 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Malika-e-Dasht-e-Wafa
Emaan ke liye daulat-e-bedar hai fizza Batil ke liye raah ki deewar hai fizza Darbani sadaat ka mayaar hai fizza Horoon se fuzoon sahib-e-kirdar hai fizza Itna bara ezaaz kanizi mein kahan hai? Zehra ne behan keh diya husnain ki maan hai
Ismat ke liye shama shabastan hoon to aisi Seerat ke liye daulat-e-irfan ho to aisi Taseer dar-hazrat imran ho to aisi Zehra ki haweli ki nigheban ho to aisi Fizza jo na chahe to kali tak nahi khilti Jibreel-e-amin ko bhi ijazat nahi milti
Paband amal,fiqar ki amil rahi fizza Emaan-o-aqidat mein bhi kamil hia fizza Ta-umar ibadaat ka hamil rahi fizza Quran ki satron bhi shamil rahi fizza Jab soorat kaaba hamein nazar aae Fizza bhi gilaf sar-kaaba nazar aae
Chamka hai malaik se bhi barh ker tera maqsoom Agoosh mein palte rahe husnain se masoom Tazeem ko uthte rahe konain ke maqdoom Har daur mein ki tu ne madad-gari mazloom Har yaad mughe “hin-um-minad-dahar”ka qissa Sadaat ne aayat mein baksha tughe hissa
Faaqe ke siwa tu ne basar raat nahi ki Phir bhi kabhi taqeer munajaat nahi ki Tu ne to kabhi fiqar-e-makanat nahi ki Quran ki siwa tu ne koi baat nahi ki Kiya baat hai fizza teri tauqeer gari ki Chadar teri masnad hai zamane mein nabi ki
Rutba wooh tughe mila hai khatoon ke gher mein Jachti nahi dunya ki bulandi bhi nazar mein Ejaaz hai wooh teri duaoon ke asar mein Tasbeeh malaik mein na jibreel ke par mein Yun bhi tere ezaaz ki takmeel hoi hai Jannat mein bhi ahkam ki tameel hoi hai
Shamil tere hisse mein mohammad ki dua hai Islam ko tu ne bhi sar-faraz kiya hai Hai laik-e-tauqeer kabhi aabla-pa hai Yeh bhed to mehshar mein khule ga ke tu kiya hai? Jannat mein jab aae gi sharifon ki aamari Tu lae gi khatoon-e-qayamat ki sawari
Khatoon ka gher tu ne to abad bhi dekha Konain ke maqdoom ka dil shad bhi dekha Iss dehar ko majmoa izdad bhi dekha Kis tarah huwa gher wahi barbaad bhi dekha Tughe ko to khabar hai kis kis ne rulaya hai? Haan tu ne to zehra ka janaza bhi uthaya!
Age: 125
7921 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
han raja
Alvida
Na tujh pay jafa ka koi ilzaam Na main apni ulfat pay sharamsaar Tagaaful na pashaymaani na koi shikayat Bus zindgi ko daikha apnay apnay andaaz say humnay Main ishq ko samjhtaa huiN zindgi ka muqaddar Toonay muqqadar ko bus zindgi samjhaa MaiN jin zulmatoN pay uthaata raha barbat-I-bagaawat Toonay unhee Aqaayud ko raushni samjhaa MaiN banaataa hi raha haseeN khwaaboN kay ghroNday Mujhko na tha pata ki tera guzar inmaiN kahaN Tu to dhooNdhti phirti thi ik kafas sandli Maray tassuvar main tha teray liyay ik aazaad jahaN MaiNnay to chahaa tha tum humqadam ho kay chalo Tumnay virsay main paya hai magar aqeedat ka bharum Meri ulfat to thi braabar ki dosti Teri ulfat rahi meri mohtaaj-i-karam Meri tamanna thi ki tu mujhay “tu” ho kay milay Toonay khudi ko apni biknay kay liyay paalaa tha Meri hasrat ki tu isay apnay ahsaas main rakh kar kay jiyay Toonay parastish kay liyay jisay ab talak saMbhaalaa tha Na tujhsay thi mujhay parastish ki aarzoo Na khud mujhay tha shauq-I-aqeedat MaiN tujh main dhooNdhta phirtaa tha ik khuddaar mehboob Aur tumko piyaari thi apnay purkhoN ki viraasat