may bhi koch sonaooon
![](/forum/smileys/smiley36.gif)
Mohsin Hassan
Ziadtee
Her phone per mein kehty hoon jaan tum itraatay bohat ho
Itratay tow bohat ho , dil ko bhaatay bhi bohat ho
Soochty hoon keh tum ko khaanay per invite keroon
Mager kia keroon keh tum khaatay bhi bohat ho
Locket:
Paish locket kia tow farmaya
Yeh tow mujh se bhi ziadah khoobsoorat hai
Jab dil diya tow bolien rehne do
Is takalluf ki kia zaroorat hai
Reject :
Mein ne diye they theek sawaaloon ke jawaab
Per us ke bawajood bhi reject ho
Afser ka rishtedaar tow hazir bhi na tha wahan
Interview mein phir bhi who select ho
Sartaaj:
mere pyare sertaaj suniye zara..
mohabbat mein mujh ko piro daaliye
agar rooty shooty paka lee ho tow
lagay hathoon bartan bhi dho daaliye
kalam
Khitabat bilbilanay ke liye hai
Sahafat munh charhaanay ke liye hai
Tujhe likhne ki aadat kis ne daali
Kalam tow ser khujaanay ke liye hai
Chat patay
Apne jootoon ko na paa ker sheikh farmaanay lagay
Bhaiyon dhundhoo yahin hoongay yahin mil jaiengay
Yeh sada aayi keh jab hai aakbat per yakeen
Eik jootay ke ouz sattar wahan mil jaiengay
Dinner:
Khanay ki maze thi keh tha maidaan-e-hashar
Biryaani aur qourmay ki kia lootmaar thi
Meday bharay tow khush nazar aanay lagay Mohsin
Werna sabhi keh chehroon per Allah ki maar thi
Jootay:
Raat ka wakt hai aur masjid bhi hai kareeb
Sun lo keh main paighaam laaya hoon
Gher mein filhaan jitne bhi hain puraanay jootay
Aap bhi ja ke badal lein main tow badal laaya hoon
Doo bahray shanasaaon ki mulaakaat
1..aadaab kerta hoon kaho kia haal hain?
2..thailay mein doo romaal hain ek thaal hai
1..insaan mein kuch zok-e-hamdardi bhi hai
2..hum kia karein khaansi bhi hai sardi bhi hai
1..manjhlay chacha kia ab bhi hain multaan mein
2..derd sa rehta hai baaien (left)kaan mein
1..beemaar hai begum guzishta raat se
2..achi kahi dil khush hua is baat se
saalgirah ka tohfaa:
tumhari saalgirah pe jaana kia bhejoon
apni jaan bhejoon keh apna dil bhejoon
phir soochta hoon jaana kion na
tumhare liye kee hui shopping ka bill bhejoon
self made:
naam, tareekh, zaat, pedaaish
jane kia kia bhara nisab mein hai
merne waale tow mer gaye kab ke
perhne waalon ki jaan azaab mein hai
haseen humsai:
ae haseen humsai!
mujh ko begum ke aagay
bol dulha bhai….
Be hijab baho
Qabool kaise ker letay be hijab baho<o:p></o:p>
Mujhe tow khauf tha abba miyan se pehle he<o:p></o:p>
Wohi hua na..humein gher se bhi nikal diya<o:p></o:p>
“zameen” ne zulm kia “aasman” se pehle he