Age: 125
7891 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
heart_hacker said:
Main yahan tu wahan zindagi haii kahan tu he tu haii sanam daikhta hon jahan neend ati nai yaad jati nai bin tery abb jiya jaye na
Main yahan tu wahan zindagi haii kahan teriii surat abb aik pal b nazar say koyo hatti nai raat din tu kat jatain hain umar tanha katti nai chaha kay b na kuch kah sakon main dard kaisy karoon bayan
Main yahan tu wahan zindagi haii kahan jub kaheen b ahat howi yohon laga kay tu aa gyi khushbo kay jhonko ki tara meri sanso ko mahka gia
teri baatain yad ati hain jub akela hota hon main bolti hain khamosiya sub say chup kar rota hon main
main yahan tu wahan zindagi hai kahan tu he tu hai sanam daikhta hon jahan nend ati nai yaad jati nai bin tery abb jia jaye na
Age: 125
7891 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
olldman said:
~CHANDNI~ said:
>To phir aao muj ko satao To phir aao muj ko rolao hum rehain na rehain ghum sehain na sehain shamien dhalien na dhalien ye raatien katien na katien To phir aao muj ko satao To phir aao muj ko rolao oooooooooooooooooooo abhi jao abhi jao abhi jao
hum rehain na rehain dil ki sunien na sunien yeh tufan thamien na thamien ye ansoo rukien na rukien To phir aao muj ko satao To phir aao muj ko rolao oooooooooooooooooooo abhi jao abhi jao abhi jao
sapno kai samander main doob kai chalai jana hai in rahon main jo khuwab hain un khuwabon ko mujai pana hai oooooooooooooooooooooooo abhi jao abhi jao abhi jao
Age: 125
7891 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Humne mehboob ki aankhon par Haathon ko apne rakh kar dekha… Nafraat ke aangaaro ko jab unkii Nazaron mey dehekta dekhaa…. Aur Unhii haathon ko dil par rakh kar, Apnii Hasraton ko khud apnii Aankhon se Jaltaa dekhaa… Chand ki tarah humne Pyar ko bhi marrtaa dekha…
Ek ajnabii si nazar deewar ko bhedtii hui, Ek ukhdii hui saans jigar ko chedtii huii… Khud ki talaash mey bhatak rahii hai ruhh, Do pal ka bhii nahin jaise mere naseeb mey sukoon… Ghar ke saajo-samaan ko khud par Humne haste dekha… Apne Wajood ko bhi sajawat ka saamaan Bante dekha…
Harr rishte par ek maut khud ki paayii hai, Bazaar mey jaise bolii khud apni lagayii hai… Koii zeher jaise apne haathon pee liya humne, Zehar pee ke bhee magar kaise jee liya humne… Khulii aankhon sey kaisa khaufnaak yeh sapnaa dekha… Kaii Zehreele naagon ko kadmon sey lipatt.tey dekha…
Ek hi manzar yeh har raat ka hota hai, Chand bhi aakar meri chhatt pe rota hai… Palkon mey namii hoti hai bikhrii bikhrii… Dil phir bhi nayii umeed koi pirotaa hai… Woh toh takkiye ko aangosh mey le lete hai, Jaane kaise woh chain ki neend so lete hai… Raat ki raani ko kabhii khidkii pe Mehekta dekha… Humne raaton ko aankhon aankhon mey guzartaa dekhaa…