Mujrim said:jee sach kaha aapne
rapunzel said:aj hum ne hmm dhair sa kam kiya ghar ka
Miss mine said:Mera Chand Baadalon Mein Kyon Jaake Kho Gaya Hai
Ab Door Is Kadar Woh Kyon Mujhse Ho Gaya Hai
Kyon Ji Rahe Hoon Tanha Yeh Yaad Bhi Nahin Hai
Bas Itna Yaad Hai Ke Woh Yaad Aa Raha Hai..
rapunzel said:
v.nice
Miss mine said:
~CHANDNI~ said:
Jeena hamein bhi aata hai.
Aajkal har shaks hamein “kaise jiyen”,
Ye sikha kar jaata hai
Are kuchh khwab abhi adhure
hain hamare,
Varna jeena to hamein bhi aata hai.
Maante hain ki zindagi ko apni,
Us had tak to hamne swara nahin Lekin,
Un khwabon ko adhura chod kar,
Hame jeena shayad gwara hi nahin
Jeete waqt ae mere dost,
Apno ke khwabon ka khayal
ham rakhte hain,
Sirf apne liye hi jeena ho to,
Hum Aaj bhi jee sakte hain.
Har wo shaks jo aaj apne,
Jeene par itna itraata hai
Waqt aane par batayenge use,
K jiya kis tarah se jaata hai.
bahut khub jani
Miss mine said:Ek weham sa thaa dil mein
Shayad kabhi milo tum
Kuch dair ruk ke poocho
Beetay dinoo ke mausam
Awaaz mein ho larzish
Aankhoon mein ek tajassus
Maazi ka koi lamha
Shayad attak gaya ho
Sab bhool kar bhi shaayad
Kuch yaad aagaya ho
Phir mein tumhein bataoon
Apni khushi ki baatain
Har dukh chuppa ke dil mein
Aasoodgi ki baatain
Woh chaand chaudween ka
Taaroon bhari woh raatain
Dilkash haseen shaamain
Masoom waardaatain
Woh pyar ka tassavur
Aur bandagi ki baatain
Woh roz roz marna
Aur zindagi ki baatain
Tum achanak yun muskurao
Dheeray se paas aaoo
Sar ko jhuka ke apne
Chup chaap laut jaaoo
Phir mein muskuraoon
Dil ke deyey bhujaoon
Dhuraoon apne dil mein
Ek talkh si haqeeqat
Ek khwaab zindagi ka
Hai umer bhar jo dekha
Jo ho saka na poora
Yunhi raha adhoora
Haan reh gaya adhoora
Ek khwaab zindagi ka..