Miss mine said:
~CHANDNI~ said:
duniya ki nazroon mein girna mere kis kaam aaya
apno se bichad kar, voh bewafa geron k kaam aaya
main bhool chuki thi apne hi bewafai karte hain
duniya meri barbaad karte, use jara bhi rehem na aaya
gar voh wafadaar hota to uoon bewafai na karta
mujhe uska intezaar raha, par voh lout kar na aaya
zindagi to qaafiro sang gujar hi jaayegi
bas jise dost samjha, voh dushmani karne aaya
qatla hi karna tha toh samne se karta
humdard bankar kyon usne, peeth main khanjar chalaya
dost bana kar fir humse dushmani na ho saki
kyon ki bewafaai usne, kyon use mujh par pyar na aaya
nazro mai uski ab sharm ke cheente hai
ab tanhaai ne sataya, toh mere pas chala aaya
fakat mujhe uski jarurat bhi kya hai ''ISHQ''
ab zanaza mera dekhkar 'kyon use rona aaya'....!!!!
wow
Itna toota hoon ke choone se bikhar jaonga
ab agar aur dua doge to mar jaonga
Har tarf dhund hai jugnu hai na chirag hai
kaun pehchaanega basti mein agar jaonga
Zindagi mein bhi musafir hoon teri kashti ka
tu jahan mujhse kahegi main utar jaonga
reh jayenge guldano mein yaadon ki nazar
main to khushboo hoon fizaon mein bikhar jaonga...
Miss mine said: