Age: 125
7900 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Iss baras koi hassen khwab na tha Ankhon main Iss baras ham say bhi daikha na gaya Eid ka chand Eid aayi hay musarat ki payami ban ker Woh musarat jo teri deed say wabasta hay
Age: 125
7900 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Bin Dhaikhay usay ya Rabb yeh Eid na guzray Ker paida koi aisa sabab, yeh Eid na guzray Duniya ko dikhaya hay, ik chand jo too nay Mujh ko bhi dikha day abb yeh Eid na guzray
Aaye Khuda kar too unhain bhi Eid ki khushiyan naseeb Jin kay dam say ham bhi hain aour hay hamaari Eid bhi
Iss baras koi hassen khwab na tha Ankhon main Iss baras ham say bhi daikha na gaya Eid ka chand Eid aayi hay musarat ki payami ban ker Woh musarat jo teri deed say wabasta hay
Eid ka din bhi shab-e-matam hay meray wastay Jis khushi main woh na aaye woh khushi achi nahein
Iss Eid par bhi mil na sakay ham to kaya hooa jazbon main jo khaloos to Eidain hazar hain
Phir aa gayi hay Eid magar dill udas hay Khushiyon ki hay naveed magar dill udas hay
Eid kay din na sahi Eid kay kuch ba'ad sahi Eid to ham bhi manayein gay teri deed kay ba'ad
Yeh Eid kiya hay keh duniya ki her musarat ko Tumhari yad par qurban ker diya main nay
Un kay abroo-e-khameeda ka tarah teekha hay Apni aankhon main barhi daer chubha Eid ka chand Ghairon main hay jo shad usay Eid mubarak Ham jis ko nahein yaad usay Eid mubarak /
Age: 125
7900 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Meri nazar se kabhi jo ek daffa dekho Apne liye pyar hi pyar chahat to dekho Tumko sab batane me lagegi muddat mujhe Ho sake to har lamhe ko mahsoos karke dekho Nahi chahiye mujhe apni chahat ka koyi sila Bas meri nazar me apne aap ko dekho.