Age: 125
7906 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
9. Wafat and rafay : Surah Al Imran ki ayat no. 55 main "inni mutawaffiqa wa rafioka alaiyya". Is main almutawaffa ka masdar tawaffa istimal hua hay aur is ka maada Wafa hay jiss key asal maani pura pura lainey key hain. Insan ki maut per jo wafat ka lafz bola jata hay woh is liay keh us key jismaani ikhtiaraat mukammal tor per salb (qabz) ker liay jatay hain. Is lihaz say maut is key maani ki mukhtalif surtoon main say eik surat hay. Neend (sleep) main bhi jo keh insani ikhtiaraat arzi tor per muattal kerdiay jatay hain. Is liay neend per bhiQuran ney Wafat ka lafz istimaal kia hay. E.g. Surat Al zumar ayat 42. "Allahu yatawaffal anfusa …. yatafakkaroon." Is say mallom hua key is key haqiqi aur asal maani pura pura lainay key he hain aur is ayat (alimran - 55) main isi apnay haqeqi aur asal maani main istimaal hua hay, yaani Eisa alaihissalam main tujhay yahoodion ki sazish say bacha ker pura pura apni taraf asmanoon per uthaloonga. Aur phir aisa he hua jaisa key mutawatir darja ki sahih ahadith say bhi sabit hay aur jaisa key surat Alnisa ki ayat no. 158 main tafseel arahee hay. Surat Alnisa Ayat 158 "Bar rafa'ahullahu alaihe wa kanallahu azizan hakeema"
Aur hatta key baaz ulama ney mutawafeeka main maut he murad lia hay aur sath unhon ney kaha hay key ayat key alfaz main taqdeem aur taakheer hay. Yaani main tujhay uthaloonga (taqdeem) aur phir tujhay maroonga (takheer, matlab tujhay uthanay key baad phir tujhay duniya main bhaijoonga aur phir maut doonga).
This tafseer was given by Ibn-e-kaseer and fatah-ulqadeer.