Age: 124
8301 days old here
Total Posts: 6584
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
paki_fan said:
aur haan ager pyar really sacha hai to koi dialouges ki zaroorat nahin...
nahin paki fan zarori nahin kay pyar sacha hai tu apko lazmi mil bhi jaay... i agree k dialoges ki zarorat nahin hoti but kabhi kabhi ap kisi say sacha pyar kar bhi baitho tu bhi nahin milta.... kabhi kabhi aaisa hota hai kay ap dosray insaan ko khud say bhi zada chahtay ho but woh apka nahin hota.... maray nazdeek sacha pyar woh hai jo apko na bhi milay tab bhi ap us insaan ki khushi kay liyay kuch bhi karo jis say woh insaan khush rah sakay...chahay aaisay karnay say apko kitna hi dukh kyon na ho kitni hi taqleef kyon na ho but woh aik insaan jis say ap buhat pyar kartay ho woh khush rahay....
Age: 124
8301 days old here
Total Posts: 6584
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
maray nazdeek batanay ki koi ahmiyat nahin hai... agar aap pyar kartay ho tu apnay tak rakho agar kismat main ho ga tu mil jaay ga batanay ki kiya zarorat hai....
dosri bat ya hai k farz karo ap nay bata diya but kiya pata woh insaan apko mana kar day tu kitna dil dukhay ga jab dil tot ta hai tu buhat dard hota hai... is liyay ya acha nahin k na hi batao....aur haan kabhi kabhi aaisa hota hai kay aap bata bhi daitay hain aur us insaan ko bhi lagnay lagta hai kay wph ap say pyar karta hai coz its natural jab apko pata lagay k koi ap say pyar karta hai tu ap us ki taraf attract hotay ho tu kiya pata woh insaan waqti toor pay apki taraf attract ho aur baad main kuch arsay baad woh realize karay k us ko ap say pyar nahin tu kitna dil dukhay ga hana....is liyay pyar karo tu khud tak rakho na batao....but haan jin logon ki kismat achi hoti hai woh kamyab bhi hotay hain....