Logo

~ Poet of the Month ~ (May 2007)

Dear Members.

Salam & Khush Aamdeed

Poetry Section mainn yeh aik naya silsila shuru kiya ja raha hay. Umeed hay aap ko pasand aaye ga. Her maheenay aik Poet ki Poetry is stopic mainn post kerainn. Aap poetry per comments bhi ker saktay hainn..Aur yeh bhi bata saktay hainn keh agar yeh ghazal ya shair aap nay kaha hota tou kaisay kehtay.

~ Poet of the Month - May 2007 ~


~ Bashir Bader ~

Posted on 5/4/2007 11:38:41 PM


Posted on 5/4/2007 11:59:12 PM

mujhay maloom hai us ka thikana phir kahan ho ga
parinda asman chhoonay main jab nakaam ho jai

Posted on 5/5/2007 12:01:22 AM


Posted on 5/5/2007 12:10:44 AM

IN ANKHON SAY TERAY NAAM KI BARISH HO
PATHER HUN INSAN BANA DAY YA ALLLAH

Posted on 5/5/2007 10:24:16 PM


Posted on 5/5/2007 10:27:25 PM


Posted on 5/7/2007 12:30:02 AM


Posted on 5/7/2007 12:33:59 AM


Parakhna Mutt, Parkhnay Main Koi Apna Nahee Rehta
Kisi Bhee Aainay Main Dair Tak Chehra Nahee Rehta

Baray Logon Say Milnay Main Humaisha Fasila Rakhna
Jahan Darya Samundar Say Mila Darya Nahee Rehta

Tumhara Shaher Too Bilqul Naiy Andaaz Wala Hai
Humaray Shaher Main Bhee Abb Koi Hum Saa Nahee Rehtaa

Muhabat Aik Khushboo Hai Hamaisha Saath Chalti Hai
Koi Insaan Tanhai Main Bhee Tanhaa Nahee Rehtaa

Koi Badal Haray Mousam Ka Phir Elaan Karta Hai
Khizaan Kay Bagh Main Jub Aik Bhee Pata Nahee Rehtaa

Posted on 5/7/2007 1:06:07 PM

Kabhi yun bhi aa meri aankh mai
Ke meri nazar ko khabar na ho.......
Vo bada rahim-o-karim hai
Mujhe ye sifat bhi ata kare
tujhe bhoolne ki dua karun
magar us dua main asar na ho.....

Posted on 5/8/2007 12:22:17 AM

Bus Yoon Hi Chup Ho Jati Hoon
Wo Akser Muj Say Pochta Hai
Kyun Chup Ho Jati Ho
us kay Is Sawal pay
Kahin Door Kho Jati Hoon
K Kaisay Batyoon usay
Koi Baat Bhi Nahi hai
Bas Yoon Hi Chup Ho Jati Hoon
usay Shikyat Rahti Hai Akser Mujh Say
Phir us Kay Ruoth Jana Say Darti Hoon
Per Kuch Bol Nahi Pati us Say
Wo Sun Na Chahta Hai
Jo HalChal Meray Andher Hai
Kasiya Batyoon Ousa
Koi Baat Bhi Nahi
Bas Yunhi Chup Ho Jati Hoon

Posted on 5/8/2007 12:24:23 AM

Ek umer ke baad uss ko dekha !
Aankhoon mein sawaal thay hazarooon
Hontoon pe magar wohi tabbassum !
Chehrey pe likhi hui udaasi
Awaaz mein gunjti judaiiiii
Baanhein theen magar wasaley samaa !
Simtee hui uss ke baazuoon mein
Ta dair sochtee rahi thee
Kisi abr-e-guraiz paa ki khatir
Main kaise shajar se katee rahi thi
Kiss chaoon ko tarq kar diya tha
Mein uss ke galey lagi hui thi
Woh ponch raha tha aansoon merey
Lakin bohot dair ho chukii theeeee.

Posted on 5/8/2007 12:26:06 AM

alaam-e-tnhai mein dherkanein bhi pukarein tumhein
dil-e-nadan ko behlaein to behlaein keysey

Posted on 5/8/2007 12:27:12 AM


Posted on 5/8/2007 1:05:13 AM

Vey Good QV..and Rehan M Din..this is my MOST FAV ghazal...

CF Jee taliyan bajanay ka shukriya

Please memebers/...do post..

Posted on 5/8/2007 10:09:39 AM

pasand haaiiiiii pasand hai
hum ko pasand hai



yunhi besabab na phira karo
koi shaam ghar bhi raha karo
woh ghazal ki sachi kitaab hai
usse chupa chupa k parha karo

koi haath tak na milaae ga
jo galay milo ge tapaak se
yeh naae mizaaj ka shehr hai
zaraa faasle se mila karo


adaab arz hai

Posted on 5/8/2007 12:00:02 PM

sunn li jo Khuda ne voh duaa tum to nahi ho
daravaze pe dastak ki sada tum to nahi ho

in ajanabi raahon mein nahi koi bhi mera
kis ne mujhe yuun apana kaha tum to nahi ho




Posted on 5/8/2007 12:02:57 PM


Koi lashkar hai keh barhtay huway gham atay hain
Shaam kay saaye bohat taiz qadam atay hain

Dil woh darwaish hai jo ankh utha'ta hee nahi
Is kay darwazay pay so ehal e karam atay hain

Mujh say kya baat likhaani hai keh ab mairay liye
Kabhi sonay kabhi chandi kay qalam aatay hain

Main nay do chaar kitaabain tu parhi hain laykin
Shehr kay toor tareeqay mujhay kam aatay hain

Khobsorat sa koi hadsa ankhoon mein liye
Ghar ki dehleez pay dartay howay hum atay hain


Posted on 5/8/2007 1:15:25 PM

kabhii yoN bhii aa merii aaNkh main ke merii nazar ko Khabar na ho
mujhe ek raat navaaz de magar uske baad sahar na ho

vo baDaa rahiim-o-kariim hai mujhe ye sifat bhii ataa kare
tujhe bhuulane kii duaa karoN to duaa main merii asar na ho


mere baazuon main thakii thakii , abhii mahav-e-Khvaab hai chaa.Ndanii
na uThe sitaaron kii paalakii, abhii aahaTon kaa guzar na ho


ye Gazal ki jaise hiran kii aa.Nkhon main pichhalii raat kii chaaNdanii
na bujhe Kharaabe kii roshanii, kabhii becharaaG ye ghar na ho


vo firaaq ho yaa visaal ho, terii yaad mahakegii ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa, jo chiraaG ban ke jalaa na ho


kabhii dhuup de, kabhii badaliyaaN, dil-o-jaaN se donon qubuul hain
magar us nagar main na qaid kar jahaaN zindagii kii havaa na ho


kabhii din kii dhuup main jhuum ke kabhii shab ke phuul ko chuum ke
yoN hii saath saath chalen sadaa kabhii Khatm apanaa safar na ho


mere paas mere habiib aa zaraa aur dil ke qariib aa
tujhe dhaDakanon main basaa loN main ke bichha.Dane kaa kabhii Dar na ho

Posted on 5/8/2007 11:06:18 PM


Posted on 5/8/2007 11:23:52 PM


Posted on 5/8/2007 11:25:05 PM


Posted on 5/8/2007 11:34:02 PM


Posted on 5/8/2007 11:36:41 PM

aur koi nahin

Posted on 5/9/2007 12:16:22 AM

Saaye ki tarah tere hum,sath chalte rahey
Yeh sila acha diya hai tu ne dil ko behlane ke baad
~~~

Apni nazroon se jo gir jaye woh chehra na bana
Mujh ko Lamhe_a_Fursat ka khilona na bana
~~~

Is zamane say na hum koi gilla rakhain gein
Dil lagayein gein to na Shart_e_Wafa rakhain gein
~~~

Toot bhi jaayegi umeed jo tere aanay ki
Ek diya phir bhi hawaaon main jala rakhain gein

Posted on 5/10/2007 12:01:01 AM

Khuda hum ko aisi Khudai na de
k apne sivaa koi dikhai na de

khatavaar samjhe gi dunya tujhe
ab itni bhi zyada safai na de

hanso aaj itna k iss shor mei
sadaa siskiyon ki sunai na de


abhi to badan mei luhu hai bohot
kalam cheen le roshnaee na de


mujhe apni chaadar se yuun dhaanp lo
zameen aasman kuch dikai na de


gulami ko barkat samajhne lagein
aseeron ko aisi rihai na de

mujhe aisi jannat nahi chaiye
jahan se madina dikhai na de

me ashkon se naam e Muhammad likhu
kalam cheen le roshnai na de

Khuda aise ahsas ka naam hai
rahe saamne par dikhai na de

Posted on 5/10/2007 12:06:36 AM

jahaa.N pe.D par chaar daane lage
hazaaro.n taraf se nishaane lage


hu_ii shaam yaado.n ke ik gaa.Nv me.n
pari.nde udaasii ke aane lage


gha.Dii do gha.Dii mujhako palako.n pe rakh
yahaa.N aate aate zamaane lage


kabhii bastiyaa.N dil kii yuu.N bhii basii.n
dukaane.n khulii.n, kaaraKhaane lage


vahii.n zard patto.n kaa kaaliin hai
gulo.n ke jahaa.N shaamiyaane lage


pa.Daa_ii likhaa_ii kaa mausam kahaa.N
kitaabo.n me.n Khat aane-jaane lage


Posted on 5/10/2007 12:09:18 AM

Gam chhupaate rahe muskuraate rahe
mahafilo.n mahafilo.n gun_gunaate rahe

aa.Nsuo.n se likhii dil kii tahariir ko
phuul kii pattiyo.n se sajaate rahe

Gazale.n kumhalaa ga_ii.n nazme.n murjhaa ga_ii.n
giit sa.Nvalaa gaye saaz chup ho gaye

phir bhii ahal-e-chaman kitane Khush_zauq the
naGmaa-e-fasl-e-gul gun_gunaate rahe

terii saa.Nso.n kii Khushbuu labo.n kii mahak
jaane kaise havaaye.n u.Daa laa_ii.n thii

vaqt kaa har qadam bhii bahakataa rahaa
zaqt le paa.Nv bhii Dag_magaate rahe


Posted on 5/10/2007 12:10:10 AM

Taliyaan for al;l...Be sure to post only Bashir Bader Poetry pls...


SRK...Ghazal Ehsaas hay, Ehsaas ka maatam nahin hota

Posted on 5/10/2007 12:41:43 AM


Posted on 5/10/2007 6:55:56 AM

aa chaa.Ndanii bhii merii tarah jaag rahii hai
palako.n pe sitaaro.n ko liye raat kha.Dii hai

ye baat ki suurat ke bhale dil ke bure ho.n
allaah kare jhuuTh ho bahuto.n se suunii hai

vo maathe kaa matalaa ho ki ho.nTho.n ke do misare
bachapan kii Gazal hii merii mahabuub rahii hai

Gazalo.n ne vahii.n zulfo.n ke phailaa diye saaye
jin raaho.n pe dekhaa hai bahut dhuup ka.Dii hai

ham dillii bhii ho aaye hai.n laahaur bhii ghume
ai yaar magar terii galii terii galii hai


Posted on 5/10/2007 11:32:12 PM