Wo jesay sardiyon may garam kapray day faqeeron ko
labon pe muskurahat thi magar kesi haqarat se
meri ankhon meray honton pe ye kesi tamazat ha
kabootar k paron se reshmi uljhee hararat se
ankhon se meri is liye lali nahin jati
yadon se koi raat jo khali nahin jati
abb umer na mousam na wo rastay k wo loutay
is dil ki magar kham khayali nahin jati
magar tu agar jaan bhi hans k tujhe dedoon
teri to koi bat bhi tali nahin jati
aye koi akar ye teray dard sambhalay
hum se to ye jageer sambhali nahin jati
maloom hamain bhi hain teray buhat say kisay
ye bat teri hum se uchali nahin jati
humrah teray phool jo khilati thee jo dil main
abb sham wo dard se khali nahin jati
hum jaab se jain gay tabhi bat banay gi
tum se to koi rah nikali nahinjati
Jo tere Ishq main khoye to phir pata na raha
Zamaane bhar se mera koi waasta na raha
Bohat gehre marasim the Doston se mere
Tumhare baad kisi se bhi raabta na raha
Bohat the shikwe gile tum se bewafayi ke
Dekh ker saamne tum ko koi gila na raha
Junoon charha to is tarhan Ishq ka tere
Koi hudood phir koi zaabta na raha
Lagi jo aag Dil main to is tarhan phaili
Phir bach nikalne ka apne koi Raasta na raha