Logo

~ Poet of the Month ~ (July 2007)

As Salam-o-Alaikum Dosto....

July 2007 ka Topic lay ker Haazir hoon....Dair say aanay kay liyey Ma'azrat, kiyun keh, "Tujh say bhi dilfareb hainn Ghum Rozgaar kay",,,,


Umeed hay Maa'azrat qabool fermayee jaye gi...


~ Poet Of the Month for July 2007~


~ Mohsin Naqvi ~



Posted on 7/7/2007 7:35:50 PM



Posted on 7/7/2007 11:33:04 PM



Posted on 7/7/2007 11:35:36 PM


Posted on 7/9/2007 10:13:51 AM



Posted on 7/9/2007 10:12:25 PM


Posted on 7/9/2007 10:13:34 PM



Posted on 7/9/2007 10:15:44 PM



Posted on 7/9/2007 10:27:00 PM

AADAAB ARZ HAI....

qv ne baja farmaya. Mohsin Naqvi mere most Favourites main aatay hain... his poetry is awesome.. aik aik lafz... aise poets bohat kamm hain...





Posted on 7/9/2007 11:47:34 PM




Posted on 7/9/2007 11:48:54 PM

aaj k liye buss itna hi.. baqi phir sahi. Insha ALLAH...

Posted on 7/9/2007 11:49:59 PM

Hamainn pata tha ..aap zaroor aayenn gay Welcome

Posted on 7/10/2007 6:26:17 PM

bulaya tha na me nay tabhi

thankuuuu dr sb

Posted on 7/10/2007 9:26:55 PM

zikr-e-shab-e-firaaq se vahashat use bhii thii
merii tarah kisii se muhabbat use bhii thii

mujh ko bhii shauq thaa naye cheharo.n kii diid kaa
rastaa badal ke chalane kii aadat use bhii thii

us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftaguu
masruuf mai.n bhii kam thaa faraaGat use bhii thii

sunataa thaa vo bhii sab se puraanii kahaaniyaa.N
taazaa rafaaqato.n kii zaruurat use bhii thii

mujh se bichha.D ke shahar me.n ghul mil gayaa vo shaKhs
haalaa.Nke shahar bhar se raqabat use bhii thii

vo mujh se ba.Dh ke zabt kaa aadii thaa jii gayaa
varnaa har ek saa.Ns qayaamat use bhii thii

Posted on 7/10/2007 9:32:30 PM

Thahar jaao ke hairaanii to jaaye
tumhaarii shakl pahachaanii to jaaye

shab-e-Gam tuu hii mahamaa.N ban ke aajaa
hamaare ghar kii viraanii to jaaye

zaraa khul kar bhii ro lene do ham ko
ke dil kii aag tak paanii ho jaaye

balaa se to.D Daalo aa_iino.n ko
kisii suurat ye hairaanii to jaaye

Posted on 7/10/2007 9:34:00 PM

ret par likh ke meraa naam miTaayaa na karo
aa.Nkhe.n sach bolatii hai.n pyaar chupaayaa na karo

log har baat kaa afsaana banaa lete hai.n
sab ko haalaat kii rudaad sunaayaa na karo

ye zaruurii nahii.n har shaKhs masiihaa hii ho
pyaar ke zaKhm amaanat hai.n dikhaayaa na karo

shahar-e-ehasaas me.n pattharaav bahut hai.n 'Mohsin'
dil ko shiishe ke jharo.nkho.n me.n sajaayaa na karo


Posted on 7/10/2007 9:36:43 PM

jab se us ne shahar ko chho.Daa har rastaa sun_saan huaa
apanaa kyaa hai saare shahar kaa ik jaisaa nukasaan huaa

mere haal pe hairat kaisii dard ke tanhaa mausam me.n
patthar bhii ro pa.Date hai.n i.nsaan to phir i.nsaan huaa

us ke zaKhm chhupaa kar rakhiye Khud us shaKhs kii nazaro.n se
us se kaisaa shikavaa kiije vo to abhii naadaan huaa

yuu.N bhii kam aamez thaa "Mohsin" vo is shahar ke logo.n me.n
lekin mere saamane aakar aur hii kuchh a.njaam huaa


Posted on 7/11/2007 11:06:50 PM

hamaaraa kyaa hai


hamaaraa kyaa hai ke ham to chiraaG-e-shab kii tarah
agar jale bhii to bas itanii raushanii hogii
ke jaise tund andhero.n kii raah me.n juganuu
zaraa sii der ko chamake chamak ke kho jaaye
phir is ke baad kisii ko na kuchh sujhaa_ii de
na shab kaTe na suraaG-e-sahar dikhaa_ii de
hamaaraa kyaa hai ke ham to pas-e-Gubaar-e-safar
agar chale bhii to bas itanii raah tay hogii
ke tez havaao.n kii zard maa_il naqsh-e-qadam
zaraa sii der ko ubhare ubhar ke mit jaaye
phir us ke baad na raastaa na rah_guzar mile
hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar mile
hamaarii simt na dekho ke ko_ii der me.n ham
qabiilaa-e-dil-o-jaan judaa hone vaale hai.n
base basaaye huye shahar apanii aa.Nkho.n ke
misal-e-khaanaa-e-viiraan uja.Dane vaale hai.n
havaa kaa shor ye hii hai to dekhate rahanaa
hamaarii umar ke Kheme.n ukha.Dane vaale hai.n

Posted on 7/11/2007 11:09:08 PM

ye dil ye paagal dil meraa kyo.n bujha gayaa aavaaragii
is dasht me.n ik shahar thaa vo kyaa huaa aavaaragii

kal shab mujhe be-shakl sii aavaaz ne chau.Nkaa diyaa
mai.n ne kahaa tuu kaun hai us ne kahaa aavaaragii

ik tuu ki sadiyo.n se mere ham_raah bhiii ham_raaz bhii
ik mai.n ki tere naam se naa_aashnaa aavaaragii

ye dard kii tanhaa_iyaa.N ye dasht kaa viiraa.N safar
ham log to uktaa gaye apanii sunaa aavaaragii

ik ajanabii jho.nke ne jab puuchhaa mere Gam kaa sabab
saharaa kii bhiiigii ret par mai.n ne likhaa aavaaragii

le ab to dasht-e-shab kii saariii vusate.n sone lagii.n
ab jaaganaa hogaa hame.n kab tak bataa aavaaragii

kal raat tanhaa chaa.Nd ko dekhaa thaa mai.n ne Khvaab me.n
'Mohsin' mujhe raas aayegii shaayad sadaa aavaaragii

Posted on 7/11/2007 11:11:55 PM

tumhain jo roo baroo daikha karain gay
yeh socha hai, bohat socha karain gay

na aay ga koi ilzam tum per
hum apnay app ko ruswa karain gay

woh busti say udher "bargar" akaila
hum us kay say main bhaita karain gay

iss uljhan main kati hai umer MOHSIN
kay pal do pal main hum kia kia karain gay

Posted on 7/13/2007 10:18:20 PM

Maa,rika ab kay hua bhi toh phir aisa hoga
Tere darya pay meri pyaas ka pehra hoga

Uski aankhain teray chehray pay bohot bolti hain
Us nay palkon say tera jism taraasha hoga

Kitnay jugnoo isi khuwaahish pay meray saath chaley
Koi rasta teray ghar ko bhi toh jaata hoga

Main bhi apnay ko bhulaaye huay phirta hun bohot
Aaina us nay bhi kuch roz na daikha hoga

Raat jal thal meri aankhon mai utar aaya tha
Soorat-e-abr koi toot kay barsa hoga

Ya masheehaayi usay bhool gai hai *Mohsin*
Ya phir aisa hai--mera zakhm hi gehra hoga

**Mohsin Naqvi**

Posted on 7/13/2007 10:24:07 PM

1- shab ko gar jaagiir-e-harf-e-haq yuu.N hii luTate rahe
subah tak sach bolanaa bhii ek hunar ho jayegaa


2- Wo Aksar Dinn Main bachon Ko Sulaa Daiti Hai Iss Darr Say
Gali Main Phir Khilonay Baichnay wala na Aa Jaey


Posted on 7/16/2007 10:57:00 PM


Posted on 7/16/2007 11:19:23 PM

Lahuu say dill, kabhi chehray ujaalnay kay liyeh
main jee raha hon andheron ko taalnay kay liyeh

Utar paray hain parindon kay ghoul saahil par
safar ka bojh samandar main daalnay kay liyeh

sukhan libaas pay the'hra to jogioon nay kaha
kay aasteeN hai faqat saanp paalnay kay liyeh

main sochta hon kabhi main bhi koh'kunn hota
teray wujood ko pathhar main dhaalnay kay liyeh

kissay khabar kay shabbon ka wujood laazim hai
fizaa main chaand sitaray uchhalnay kay liyeh

BAHA RAHI THEE WO SELAAB MAIN JAHEZ APNA
BADAN KI DOOBTI KISHTII SAMBHALNAY KAY LIYEH

wo mahtaab siffat, aaina jabeeN Mohsin..!
galay milay bhi to matlab nikalnay kay liyeh


Posted on 7/16/2007 11:35:12 PM

KaAsh! hum khul k zindagi kerte
Umr Guzri hai khud kushi kerte

Bijliaan is taraf nahin aain
wanra hum Ghar Mein roshni kerte

Kaun dushman teri tarah ka tha?
Aur hum kis se Doosti kerte?

bujh gaee Kitne chand se chehre
dil k sehra mein chaandni kerte

Ishq Ujrat talab na tha wanra
Hum teray dar pe nookri kerte

Is taManna mein ho gaee Ruswa
Hum bhi ji bhar k aashqi kerte

Husn us ka na khul saka Mohsin
Thak gae loag shairi kerte

Posted on 7/16/2007 11:36:24 PM


Posted on 7/18/2007 3:41:03 AM

Fairy Girl Saheba..kuchh hissa bhi daalainn

Posted on 7/19/2007 8:24:15 PM

Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra
Jallay Chiraagh tu Bujhnay Laga, Maira Chehra

Woh Tairay Hijar Kay Din woh Safeer Sadiyon Kay
Tu Un Dinoon mein Kabhi Daikhta Maira Chehra

Judaiyoon Kay Safar Mein Rahay Hain Saath Sada
Tairi Talaash, Zamanay, Hawa, Maira Chehra

Mairay Siwa Koi Itna udaas Bhi Tu Na Tha
Khizaan Kay Chand Ko Achaa Laga Maira Chehra

Kitaab Khool Raha Tha Woh Apnay Maazi Ke
Warq Warq Pay Bikharta Gaya Maira Chehra

Sehar Kay Noor Say Dhulti Hoe Tairi Ankhain
Safar Ke Gard Mein Lipta Howa Maira Chehra

Hawa Ka Akhri Boosa Tha Ya Qayamat Thi ?
Badan Ke Shaakh Say Phir Gir Para Maira Chehra

Jissay Bujha Kay Hawa Soogwar Phirti Hai
Woh Shama e Shaam e Safar Thi Keh Maira Chehra

Yeah Loug Kiyon Mujhay Pehchantay Nahi Mohsin
Mein Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Maira Chehra

Posted on 7/19/2007 9:32:17 PM

shaam e gham jab bikhar gaiee hoo gee
janay kis kis kay ghar gaiee hoo gee ?

itni larzaan na thee chiraagh ke loo
apnay saye say dar gayee hoo gee

chandini ik shab ke mehmaan thee
subah hootay hee mar gayee hoo gee

dair tuk woh khafa rahay mujh say
door tuk yeah khabar gayee hoo gee

aik darya ka rukh badaltay hee
aik nadee phir utar gayee hoo gee

jiss tarhaan woh safar pay nikla tha
saree rounaq udhar gayee hoo gee

raat souraj ko dhoondnay kay liyeah
ta ba hud e sehar gayee hoo gee

mairee yadoon kee dhoop chaoon mein
uss ke sourat nikhar gayee hoo gee

ya taluq na nibh saka uss say
ya tabiyaat hee bhar gayee hoo gee

tairi pal bhar ke dosti mohsin
uss ko bad'naam kar gayee hoo gee


Posted on 7/19/2007 9:33:42 PM

Ghazloon Ke dhanak oorh mairay shoola badan too
Hai maira sukhan tu.... maira mozooh e sukhan too

Kaliyoon ke tarhaan phoot sar e shaakh e tamana
Khushboo ke tarhaan phail chaman ta ba chaman too

Nazil hoo kabhi zehan pay ayaat ke sourat
Ayaat mein dhal ja kabhi jabril dehan tooo

Aab kiyon na sajaoon mein tujhay deeda o dil mein
Lagta hai andhairay mein sawairay ke kiran too

Pehlay na koye ramz e sukhan tee na kinaya
Aab nuqta e takmeel e hunar, mehwar e fun too

Yeah kam tu nahi tu maira mayaar e nazar hai
Aye dost mairay wastay kuch aur na ban too

Mumkin hoo tu rehnay dai mujhay zulmat e jaan mein
Dhoonday ga kahaan chandini ratoon mein kafan too



Posted on 7/19/2007 9:35:08 PM


Posted on 7/22/2007 9:49:09 PM