Logo

~ Poet of the Month ~ (July 2007)


Posted on 7/22/2007 9:50:10 PM


Posted on 7/22/2007 9:50:56 PM


Posted on 7/24/2007 10:29:41 PM


Posted on 7/24/2007 10:33:40 PM


Posted on 7/24/2007 10:37:10 PM

Wo Aksar Dinn Main bachon Ko Sulaa Daiti Hai Iss Darr Say
Gali Main Phir Khilonay Baichnay wala na Aa Jaey


awesome

Posted on 7/25/2007 6:17:55 PM


Posted on 7/25/2007 9:36:25 PM


Posted on 7/25/2007 9:37:08 PM


Posted on 7/25/2007 9:38:24 PM

Am not gonna continue it..aur koi aata hi nahin yahan

Posted on 7/27/2007 12:11:20 AM

new_beau:
Fairy Girl Saheba..kuchh hissa bhi daalainn
mujhe lagta nahi hai jaga hai yahan lolz
hain kia??/ap bol rahay hai to karna hi paray ga

Posted on 7/27/2007 4:42:24 AM



Zulam seh kar bhi samajhta hoon keh tu maira hai
Mairay dushman tiaray chehray pay lahoo maira hai

Subh'e'dam shehar ke shoorish tairay dam say ho gi
Raat kay pichlay pehar alam e hoo maira hai

Mairay hathoon mein chupay zakham say pehchaan mujhay
Tairay daman pay bhi ehsaan e rafoo maira hai

Ghir gaya hoon talatum mein bhi zindaan ke tarhaan
Halqa e mouj e rawaan tooq e galoo maira hai

Itnee shoohrat bhi kaha chahee thee khud say mein nay
Apnay hee shehar ka har shakhas adoo maira hai

Dhoop chahoon ke yeah rutt dil mein thehar janay dai
Aks taira hai tu sayaa lab e joo maira hai

Pathroon say hai mohababt mujhay youn bhi mohsin
Sungdil shehar mein aik aaina roo maira hai


Posted on 7/27/2007 7:26:36 AM




Kal Raat Bazam Mein jo Milla Gulbadan Saa Tha
Khushboo Say Uss kay Lafaz Thai Chehra Chaman Sa Tha

Daikha Ussay Tu Bool Paray Uss Kay Khud o Khaal
Poocha Ussay Tu Chup sa raha, Kam Sukhan Sa tha

Tunhaiyoon Kee Rutt Mein Bhi Lag'ta Tha Mut'mayeen
WOh Shakhas Apni Zaat Mein Ik Anjuman Sa Tha

SOocha Ussay Tu Mein Kaiee Rungoon mein Khoo Gaya
Alam Tamaam Uss Kay Haseen Payr'han Saa Tha

Jo Shaakh Shaakh Thee woh Ussi Kay Laboon See Thi
Jo Phool Khil Gaya Tha Woh Ussi Kay Dehan Saa Tha

Woh Sadgi Pehan Kay Bhi Dil Mein Utar Gaya
Uss Ke Har Ik Ada Mein Ajab Bhoolpan Saa Tha

Asaan Samajh Rahay Thai Ussay Shehar e Jaan Kay Loug
Mushkil Tha Iss Qadar Kay Mairay Apnay Fun Sa Tha

Woh Guftagoo Thee Uss Ke, Ussi Kay Liyeah Hee Thee!
Kehnay Ko Youn Tu Mein Bhi Shareek e Sukhan saa Thai

Taray Thai Chandini mein Keh Tuhmat Kay Daagh Thai
Mohsin Kal Asmaan Bhi Mairay Kafaan Sa Tha

Posted on 7/27/2007 7:35:57 AM



Dil howa jab say sharamsaar e shakast
Ban gai dost pursa dar e shakast

Har koye sar nagoon hai lashkar mein
Har kissi ko hai intazaar e shakast

Keh rahi hai thakan dalairoon kee
Aab kay Chamkay Ga karoobar e shakast

Aainay ke faza tu ujleee hai
Mairay chehray pay hai ghubaar e shakast

Kamrani ka Gur sikha mujh ko!
Ya ata kar mujhay waqar e shakast

Mount fatah o zafar ke manzil hai
Zindagani hai rahguzaar e shakast

Posted on 7/27/2007 7:40:36 AM

new_beau:
Am not gonna continue it..aur koi aata hi nahin yahan


haan main bhi yahi soch rahi thi

Posted on 7/27/2007 9:31:29 PM

Fairl_Girl:
new_beau:
Fairy Girl Saheba..kuchh hissa bhi daalainn
mujhe lagta nahi hai jaga hai yahan lolz
hain kia??/ap bol rahay hai to karna hi paray ga


jagha tou baohat hai
koi interest tou lay
main akaili hi chal arahihun topic

Posted on 7/27/2007 9:34:10 PM

interest layna cchahiye
jo unknown poet hai unke shairy to read kartay hai
per jo asal poet hai unki read nahi kartay
shayd samjh nahi ata kyonke inki shairy samjhna bi asan nahi hai

jo deepnes jo likhaye jo lines kia bat karay

main sath ho QV

Posted on 7/28/2007 7:29:40 AM

tou aur share kero shabash

Posted on 7/28/2007 10:04:11 PM

ORDER MAI NAHI LAYTI




zikr-e-shab-e-firaaq se wehshat use bhi thi
meri tarah kisi se mohabat use bhi thi

mujh ko bhi shauq tha naye cheharon ki deed kaa
rasta badal ke chalane ki adat use bhi thi

us raat der tak wo raha mehv-e-guftagu
masruf mien bhi kam tha faragat use bhi thi

sunta tha wo bhi sab se purani kahaniyan
taza rafaqaton ki zarorat use bhi thi

mujh se bichar ke sheher mien ghul mil gaya wo shakhs
halanke sheher bhar se raqabat use bhi thi

wo mujh se barh ke zabt ka aadi tha ji gaya
verna har ek saans qayamat use bhi thi
MOHSIN

Posted on 7/29/2007 4:52:23 AM

it was not an order

Posted on 7/29/2007 3:39:26 PM