Logo

yaad rakhne ke liye yaad suhani le ja

yaad rakhne ke liye yaad suhani le ja
appni nagri main mohabbet ki kahani le ja

dil ka kiya hai yeh dharakta hai mohabbet ke liye
koi ikrar na ker yaad dahani le ja

kaun kehta hai mohabbat ke nagar sune hain
ik dharakta hua dil saath nishani le ja

sang dil ban ke hi jeene ki zarurat kiya hai
dil to pather na bana ankh main pani le ja

koi taseer nahin hai tere lafzoon main ager
likhne wale koi pegham zubani le ja

abb to badle hue halat main badla chehra
appne dil main koi tasweer purani le ja


Posted on 3/2/2004 5:13:21 PM

ik dharakta hua dil saath nishani le ja


too goood

Posted on 3/2/2004 5:51:39 PM

wawooo ... nice haan

Posted on 3/3/2004 4:41:38 AM

thanks....app bhi kuch sunao na apni na sahi kisi aur ki

Posted on 3/3/2004 9:05:40 PM

kiran goto laffs n lines n wahan per kiddoz choice mein bohat kuch hai ..    

Posted on 3/3/2004 10:07:31 PM

kia matlab???

Posted on 3/4/2004 9:19:12 PM

thanks....app bhi kuch sunao na apni na sahi kisi aur ki

aray hum aap ko apni bhi suna dein gay :) aysi koi baat nahi :) hum bhi kisi zamanay mein ... farigh ... woh walay nahi (baykar) free howa kartay thay :$ hehehe

kia matlab???

kiran bibi ... JB par k main page par aap ko laugh and line milay ga wahan par kiddo ji ka topic hay :) woh check karnay ko keh raha hay :) ;)

Posted on 3/5/2004 8:43:46 AM

mughey abhi b samagh nahe aye wol please phir se batana.

Posted on 3/5/2004 2:17:02 PM


Posted on 3/5/2004 2:36:14 PM

acha ok if you can tell me than i would be gratefull.

Posted on 3/5/2004 3:05:14 PM

Tum ko chahtey hoey bhi bhool jana acha laga

Ansoon ko chupa kar muskurana acha laga....

Tum ajnabi they meray liey mager apna jaan kar acha laga

Pehchan to ik pal ki thi,mager sadiyon se jaan kar acha laga

Khaboon main yadoon main tum thay mager tum ko bhulana acha laga

Meri rooh ka ik hissa thay mager khud se juda karna acha laga

Meri zindagi ka sarmaya thay mager tum ko lutana acha laga

Meray armanon ka sawan thay mager tum ko barsana acha laga

Meri khushiyon ka jahan thay mager tum ko mitana acha laga

Khud ko bhool jana aur tum ko yaad karna acha laga

Sab khahishon ko mitana sirf tumhin pana acha laga

Logon k kehney main aana aur sab kuch bhulana bolo kissey acha laga

Yehi to rasm-e-duniya hai isay nibhana acha laga

Posted on 3/5/2004 3:57:46 PM

kiran i think do u like poetry...

Posted on 3/5/2004 4:00:15 PM

yes buhat zayada buhat zayada ishq hai humain poerty se

Posted on 3/5/2004 5:26:26 PM

hmm mujh ko bhi kaafi pasanad hay

Posted on 3/5/2004 11:37:17 PM


Posted on 3/7/2004 12:13:33 AM


Posted on 3/7/2004 12:13:27 PM

is main hanse ki kiya baat hai poerty sunne se dil sakoon milta hai yah jab kabhi dil udas hoto dard lafzoon main utar jata hai really tum bhi azmaoo

Posted on 3/7/2004 4:03:39 PM


thanks fragi...

Posted on 3/7/2004 9:18:19 PM

ya r welcome

Posted on 3/7/2004 9:28:20 PM

abb main kiya kahoon....

Posted on 3/7/2004 9:29:04 PM

kuch na kahooo

Posted on 3/7/2004 9:30:12 PM

kuch to kehna hai tumse.....

Posted on 3/7/2004 9:30:59 PM

haan kehdo mager .......... khafa na hoona

Posted on 3/7/2004 9:32:14 PM

hum khafa nahin hote itne jaldi fiker na karo tum kafi samagh dar ho

Posted on 3/7/2004 9:33:16 PM

samajhdar na hotey to yahan tak na hotey ... aab hian to kabhi proud nahi kiya

Posted on 3/7/2004 9:34:44 PM

achi baat hai..

Posted on 3/7/2004 9:35:45 PM

tu meri baatien bori hee kab hoyee thee..    

Posted on 3/7/2004 9:37:21 PM

maine kab kaha ke buri thin

Posted on 3/7/2004 9:38:25 PM

haan yeh bhi hai :p

Posted on 3/7/2004 9:46:50 PM

abb kiya kahoon koi baat nahin a rahi

Posted on 3/7/2004 9:49:17 PM