Logo

Fairl_Girl’s Collection + OWN

tujh bin jeeney ki koi aass nahin hai
hai saamney samander per piyaas nahin hai


miltey hain hazaron wafa ke dewedar
lakin merey mahboob tuj sa koi khas nahin hai


her arzoo wafa ho gayi lakin jiya
aik arzoo baaqi hai key kiun tu merey pass nahin hai

Posted on 10/4/2006 4:24:21 AM

What should I do
to make your day
change my life
and put yours in my way

Where my feelings fall
are all out of place
taken away by your hate
and hidden by your face

When is it my time
to break through and see
broken down by your words
that you've put upon me

Why is it me
that receives all your pain
when you've been hurt
it's me that you blame

How can I change
what's already been said
you've vanished my strength
and left my soul to be dead.

Posted on 10/4/2006 4:25:07 AM

mmja wrote:
haye main sadqy jawan
ap dono ko rona a raha hai chelo ab koi dosri ksim ka padr kay mood acha karo





yaar tum sadqy na jana tum taxi per chala jao yaar

taxi ka karyia boht hai isliay sadqay hi ja skata hon

Posted on 10/4/2006 3:14:10 PM

wah wah
Itnay farib khaye hain habab kay tafel
Ab humko dushmano ki zarrorat nahin rahi
Dum bhar raha hai jisko bhi daykho
Dil ko magar khalos ki adat nahin rahi
Han asman par ab bhi shafiq photti to hai
Insaan ko nizaray ki forsat nahin rahi

Posted on 10/4/2006 3:17:55 PM


Posted on 10/4/2006 8:24:53 PM

thanko

Posted on 10/5/2006 4:17:07 PM


Posted on 10/5/2006 11:17:19 PM


Posted on 10/6/2006 3:47:52 AM

sari dunya jeet sakta hoon
teri yadon ko maat kesye ho



Posted on 10/6/2006 3:54:33 AM

2 good

Posted on 10/6/2006 4:26:24 PM

na janay hogi hon is qadar ehsas main kab say
kisi say bat karta hon to ankhayn bheeg jati hain
hazaron musmon ki hukmarani hai meray dil pay
wasi main jab bhi hansta hon to ankhayn bheeg jati hain

Posted on 10/6/2006 5:39:36 PM

romal rakha karay sath apne
nice

Posted on 10/7/2006 3:47:51 AM

She is Far from the Land

She is far from the land, where her young hero sleeps,
And lovers are round her, sighing;
But coldly she turns from their gaze, and weeps,
For her heart in his grave is lying!

She sings the wild song of her dear native plains,
Every note which he lov'd awaking
Ah! little they think, who delight in her strains,
How the heart of the Minstrel is breaking!

He had lov'd for his love, for his country he died,
They were all that to life had entwin'd him,
Nor soon shall the tears of his country be dried,
Nor long will his love stay behind him.

Oh! make her a grave, where the sun-beams rest,
When they promise a glorious morrow;
They'll shine o'er her sleep, like a smile from the West,
From her own lov'd Island of sorrow!

Posted on 10/7/2006 4:05:44 AM

~*~Teri Rahoon Main Kab Say~*~


Teri Rahoon Main Aankhein Bichhaye Baithay Hain
Is Dil Kay Tufan Main Mohabbat Ki
Shamma Jalaye Baithay Hain


Aai Zalim Kis Mor Pay Lakar Chora Hai Tumnay Mujh Ko
Abhi Bhi Milnay Ki Hasrat Say
Teri Yaad Ko Dil Say Lagaye Baithay Hain


Dil Ko Aadat Si Ho Gaye Hai Chout Khanay Ki
Bhigi Hui Palkon Kay Saath Muskuranay Ki


Kash Anjaam-e-Wafa Pehlay Say Jaan Jaatay Tou
Koshish Bhi Nahi Kartay Dil Lagaanay Ki

Posted on 10/7/2006 4:09:46 AM

zabardast jee
oye hoye bechari kitni masom hai gana bacha jisnay iskay sath esa kyia

Posted on 10/7/2006 10:08:41 AM

meri raat chupi hoye din main hai,mera din chupa kisi raat main
meri zindgi koi raz hai koi raz hai meri zaat main
main jab bhi kahin bhatak geyia girtay girtay sambhal geyia
mughay thokron say pata chela koi hath hai meray hath main

Posted on 10/7/2006 10:09:26 AM

gud work fg and jawad

Posted on 10/7/2006 10:22:21 PM

mmja:
zabardast jee
oye hoye bechari kitni masom hai gana bacha jisnay iskay sath esa kyia




Posted on 10/7/2006 10:26:13 PM


Tum hum say yeh kahtay hoo, Mohabbat Nahin Rahi

Tum he Badal Gaye ho, Ya Woh Ulfat Nahin Rahi



Har Baat Pay Taana, har Andaaz main Gussa

Kyun Saaf Nahin Kahtay, Mohabbat nahin Rahi



Gheron pay Karam, Apnon pay Sitam kartay Hoo

Phir Shaan say kahtay, ho Qurbat nahin Rahi



Sahra main Tapish main, jab Tum nay Humain Choora

Is Husan kay Bazaar main, woh Qeemat nahin Rahi



Maana kay Hum say, bhee buhat Galatiaan howee

Shayad kay Dar-Guzar, ki Tumhain Aadat nahin Rahi



Manzar too wohee hai, halat hain Badlay

Shayad kay Ishaq-e-Yaar, ki Zaroorat nahin Rahi

Posted on 10/8/2006 5:12:06 AM


     Yadein

Aisi waisi nahin pariyon jaisi thi wo
Machalti ghataoon ki badliyon jaisi thi wo

Shoukh rang manchali tabiyat say bher poor
Chaman chaman phirti titliyon jaisi thi wo

Ik ehsas-e-tazgee ik mehek ka gumaan
Ik sarapa ghazal kaliyon jaisi thi wo

Chamak thi bala see sitam maar dala
Sawan main berpa bijliyon jaisi thi wo

Wasta na raha zindagi main dukhon say
Hamesha ko hasil khushiyon jaisi thi wo

Naaz-o-andaaz shaiki us kay juda they
Kahan aam c lerkiyon jaisi thi wo

Posted on 10/8/2006 5:15:22 AM

gud JOB
subah subha poetry
kiya baat hia

Posted on 10/8/2006 5:16:45 AM

fg boht achi hain lakin mughay pehlay wali zeyiada pasned aye hai

Posted on 10/8/2006 4:01:46 PM

c f kyia huwa

Posted on 10/8/2006 4:02:32 PM

Itnay farib khaye hain habab kay tafel
Ab humko dushmano ki zarrorat nahin rahi
Dum bhar raha hai jisko bhi daykho
Dil ko magar khalos ki adat nahin rahi
Han asman par ab bhi shafiq photti to hai
Insaan ko nizaray ki forsat nahin rahi

Posted on 10/8/2006 4:03:49 PM

mmja:
c f kyia huwa


kuch hona tha kia

Posted on 10/8/2006 4:28:17 PM

uper ap aik replay kay jawab main badra nazray utha utha kay daykh rahay thay na

Posted on 10/8/2006 4:32:05 PM

thx both of u

Posted on 10/9/2006 3:36:14 AM

~*~*~*~*~*~
Tum Ho Hamesha Kaamyaab Tumhaari Her Khwaahish Ho Poori
Buss Ye Chaahta Hoon Aur Tumhari Khushi Maangta Hoon
~*~*~*~*~*~
Main Jaanta Hoon Ke Tum Mayri Nahin Ho Lekin
Main Hamesha Khuda Se Tumhaara Saath Maangta Hoon.

Posted on 10/9/2006 3:38:48 AM




Main Darta Hoon!
In Aankhon Se
Jo Hamari Taraf Uthti Hain
Aur Humein....
Tamasha-e-Nigah Bana Deti Hain
Main Darta Hoon!
Taqdeer k Zalim Jhonkoo Se
Jin Ki Zad Mein MusalSal
Meri Chahtoon Ka
Mery Armanoon Ka
TimTimata Houa Diya Hay
Main Darta Hoon!
Apnay Aap Se
k Kahin BeKhudi Mein
Tery Pakeeza Wajood Se
Lipat Kar
Dunya Ki Najs Nazaroon Mein
Tery Taqaddus Ko
Tamasha-e-Ruswaii Na Bana Doon
Main Darta Hoon!
Faraaq Ki Kaali Ratoon Se
Jin Mein Chaand Sitary Nahi
Faqat Andhery Ka Safar
BeBasi aur BeChaini k Sang-e-Meel Hain
Main Darta Hoon!
Haqeeqat k Safar Se
Jo Dasht Se Zayada KarbNaak
Aur Samandar Se Zayada Gehra Hay
Jahan Pyaas k Jungle
Mayoosi k Saaye
Aur Shayed
Umeed Ki Ik Kali Hay
Jo Kabhi Khilti Hay
Aur Kabhi Murjha Jati Hay
Aey Jaan-e-Tamanna
Main Tumhary Paas Hotay Hoye b
Tum Se Door Hoon
Yeh Tark-e-Talluq Nahi,BeWafayii Nahi
Magar Main Majboor Hoon
Kiun k..!
Main Darta Hoon...!!!
COOOLL I LIKE THIS

Posted on 10/9/2006 4:06:45 AM

zabardast jee
Main Darta Hoon!
Haqeeqat k Safar Se
Jo Dasht Se Zayada KarbNaak
Aur Samandar Se Zayada Gehra Hay
Jahan Pyaas k Jungle
Mayoosi k Saaye
Aur Shayed
Umeed Ki Ik Kali Hay
Jo Kabhi Khilti Hay
Aur Kabhi Murjha Jati Hay
yeh to boht acha he

Posted on 10/9/2006 4:12:28 PM