Logo

Fairl_Girl’s Collection + OWN

thx mg

Posted on 8/5/2006 12:38:10 AM

danie:
FG AAPNE TO HAMEN APNA MUREED BANA DIYA. GO AHEAD.
thanks

Posted on 8/5/2006 12:38:42 AM

Samandar ki hawaa-oN per tumhara naam likh dooN ga
maiN saahil per, maiN lehroN per, tumhara naam likh dooN ga

mehak utthay ga aangan phir mera, aangun kay phooloN sey
main jub aangun kay phooloN per tumhara naam likh dooN ga

asan hoga na meray haath maiN jub paar kernay ko
maiN derya kay kinaaroN per tumhara naam likh dooN ga

Khala maiN jaaoN ga maiN aik shab aur apnay haathoN sey
falak kay sub sitaaroN per tumhara naam likh dooN ga

tumhara naam haatoN maiN jo qudrat nay nahiN likha
to maiN khud apnay haathoN per tumhara naam likh dooN ga

dhanak ubhray gi jub hanza ek gehray sey baadal per
dhanak kay saaray rungoN per tumhara naam likh dooN ga

Posted on 8/21/2006 4:04:07 AM


Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker
Meri Jaagi Hoe Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker
Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai To Naghma Banker
Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Giya Hai Woh Ujala Banker
Mera Kiya Hall Hai Yeh A Kay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vadah Banker
Dhoup Main Khou Giya Woh Haath Chhura Kar Angel
Gher Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker
Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

Posted on 8/21/2006 4:05:18 AM



gud jOB

Posted on 8/22/2006 3:14:33 AM

Fairl_Girl:

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker



Posted on 8/22/2006 6:40:08 AM

Fairl_Girl:

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker
Meri Jaagi Hoe Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker
Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai To Naghma Banker
Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Giya Hai Woh Ujala Banker
Mera Kiya Hall Hai Yeh A Kay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vadah Banker
Dhoup Main Khou Giya Woh Haath Chhura Kar Angel
Gher Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker
Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker



Good wotk FG

yeh Rashid ki ghazal hai
mujh ko khud b buhut pasand hai

Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vadah Banker
Dhoup Main Khou Giya Woh Haath Chhura Kar Rashid

yahaan per Rashid Ata hai Dear FG

anyway good work
and thanx for sharing

Posted on 8/22/2006 11:46:33 AM

Baqi sub b achai hai good

Posted on 8/22/2006 12:22:40 PM

*Humsafar na sahi dost to ho na*
*Ha kehkar de tu mere dil ko sakoon*
*Tez chal raha hai rago mein Khoon*
*Zalim,na karwaon ab intezaar*
*Ek baar khedo ke kiya hai tumne bhi kabhi mujse pyaar*
*Humsafar na sahi,hawa banker to chu jauw*
*Tum kya jaano kitne muskil hai ansoo ko chupana*
*Muskurake sub ko ek jhuth batana*
*Tere hi khatir liya hai yeh qadam*
*Ek bar khedo ke hum bhi tumhare te kabhi sanam*
*Humsafar na sahi,yaad banker zandagii mein rehjau*
*Dil tumne tora nahin lekin phir bhi toothgaya*
*Jaise koi apna hamesha ke liya rooth gaya*
*Wapis to ab kabhi ane nahin who haseen pal*
*Ek bar khede ke tum bhi kabhi yaad karage koezera howwa kal*
*Humsafar na sahi,dost banker to saath deta*
*Dost na sahi,ajnabee banker hi baat karlo*
*Humsafar na sahi,humsafar na sahi*

Posted on 8/25/2006 1:30:31 AM


Posted on 8/26/2006 11:58:23 PM


Posted on 8/27/2006 12:29:24 AM

cutefriend:


Cf Bahi main apna haath jis pa rbhi rakhoon woh cheez achi he hoo jati hai



Yeh Loo aik aur (mere dost nay book par likh kar diya tha)
gum
Rooth janay ki Aada hum ko bhi aa he jati
Manany wala kaash hamain bhi kohi miltaaaa

Posted on 8/27/2006 1:43:59 AM

ha ha ha
apnye moun miya mithoo bana ja raha hia

bahut khoob


Posted on 8/27/2006 2:13:51 AM

nice samjha gaye

Posted on 8/27/2006 6:21:36 AM



jaab sawan mein tanha bheego gaye...
jaab angan khali paoo gaye.......
jaab saahil se takraati lehroon... mein..
apni tanhai mein kho jaoo gaye.....
jaab raat k tanha daaman mein.....
tum chand ko adha paoo gaye....
jaab khud se bateen karte karte....
tum door kaheen khoo jaoo gaye....
jaab dil ki baat chupane ko......
hum se nazer tum churaoo gaye....
"Mein Tum Se Mohabaat Kartii Hoon"
haar baar yeh suna chahoo gaye...
in saab lamhoon mein jaan lena
tum...tum nahi "HUM" baan jaoo gaye...

Posted on 8/27/2006 6:40:27 AM

musaafir ke raste badalate rahe
muqaddar mein chalanaa thaa chalate rahe

koii phool saa haath kaandhe pe thaa
mere paanv sholon pe chalate rahe

mere raaste mein ujaalaa rahaa
diye us kii aankhon ke jalte rahe

vo kyaa thaa jise hamane Thukaraa diyaa
magar umr bhar haath malte rahe

Posted on 8/27/2006 6:41:24 AM



Tum hum say yeh kahtay hoo, Mohabbat Nahin Rahi

Tum he Badal Gaye ho, Ya Woh Ulfat Nahin Rahi



Har Baat Pay Taana, har Andaaz main Gussa

Kyun Saaf Nahin Kahtay, Mohabbat nahin Rahi



Gheron pay Karam, Apnon pay Sitam kartay Hoo

Phir Shaan say kahtay, ho Qurbat nahin Rahi



Sahra main Tapish main, jab Tum nay Humain Choora

Is Husan kay Bazaar main, woh Qeemat nahin Rahi



Maana kay Hum say, bhee buhat Galatiaan howee

Shayad kay Dar-Guzar, ki Tumhain Aadat nahin Rahi



Manzar too wohee hai, halat hain Badlay

Shayad kay Ishaq-e-Yaar, ki Zaroorat nahin Rahi

Posted on 8/27/2006 6:46:46 AM

Tum hum say yeh kahtay hoo, Mohabbat Nahin Rahi

Tum he Badal Gaye ho, Ya Woh Ulfat Nahin Rahi
..............


nice FG

Posted on 8/27/2006 8:35:35 AM

Mujay to Halat nay mara hai
mere aduray kahyalat nay mara hai
tumain kya howa, tum kyon badal gaay
tumain sayaad tumaray jazbat nay mara hai

Posted on 8/27/2006 8:45:00 AM

nice work FG

and also gud work sunny

Posted on 8/27/2006 10:53:42 PM

mein lafzoon mein kuch bhi izhaar nahin karti
is ka matlab yeh nahin key mein tumse pyar nahin karti
chahti hoon tujhey aaj bhi maghar
teri sooch mein apna waqt barbaad nahin karti
[ tamasha na ban jaey mohabbat meri
is liey apney dard ko namoodaar nahin kart jo kuch mila hai khosh hoon mein
tere liey khuda se takraar nahin karti
par kuch tu baat hai teri fitrat mein zalim
warna mein tujhey chahne ki katha baar baar na karti...

Posted on 8/28/2006 6:05:35 AM


Posted on 8/28/2006 6:07:01 AM


haal usakaa tere chehare pe likhaa lagataa hai
vo chup chaap kharra hai teraa kyaa lagataa hai


yun to har cheez salaamat hai merii duniyaa main
ek ta'alluq hai jo toota huaa lagataa hai


main ne sochaa thaa ke aabaad hoon ek shahar mein main
yahan to har shaKhs kaa andaaz judaa lagataa hai


muddaten beet gaiin tay na huii manzil-e-shauq
ek aalaam mere raste mein parra lagataa hai


e mere jazbaa-e-dauron mujh me.n kashish hai itanii
jo khaataa hotaa hai vo teer bhii aa lagataa hai
this is too close to my heart

Posted on 8/28/2006 6:08:53 AM

bahut hi acah hai


Posted on 8/28/2006 6:11:32 AM



sorry pic saheee nhi aiii

Posted on 8/29/2006 4:33:23 AM

chori ki hai na isliye

Posted on 8/29/2006 4:51:19 AM


Na Woh Farishta Ho...!!!
Na Woh Farishta Ho Na Farishtey Jaisa Ho
Mujhay Talash Hay Us Ki Jo Meray Jaisa Ho
Meray Khaluos Ko Pehchanta Ho Bas Kafi Hay

Woh Koi Bhi Ho,Kahin Bhi Ho,Kaisa Bhi Ho
Jo Khuwab Denay Ko Qadir Ho Meri Aankhoon Ko

Meri Muhabbat Ko Pehchan Sakay Woh Aisa Ho
Meri Khatir Marney Ka Hosla Bhi Rakhta Ho
Agar Kabhi Rooth Jaoon May Us Say To
Muskra Kay Manayee, Woh Aisa Ho

Jo Baat Karey To Woh Nibha Bhi Sakey
Iradon Mein Woh Apney Chahtaoon Jaisa Ho

Dukhon Mein Hansney Ka Hunar Janta Ho
Ik Aisa HumSafar Jo Samander Ke Tarha Gehrah Ho

Us Kay Pyar Ke Thandak Ho Meray Liyae Aise
Key Woh To Bilkul Aasman Kay Chand Jaisa Ho

Woh Sirf Mera Ho Jo Nighaoon Main Haya Rakhta Ho
Umar Bhar Sath Chalay Woh Aisa Hooo...!!!
Mujhay Talash Hay Us Ke Jo Meray Jaisa Hooo...!!!

Posted on 8/29/2006 5:13:49 AM

main hoon na


nice work dear

Posted on 8/29/2006 12:39:05 PM

Meri khata ko tune wajah di
Bina baat ke bhi mujhko tune saza di

Shola tha dil main mere gum ka
Usper tune aur aag laga di

Samjh ke bhi tune etna na samjha
Mere pyaar ne bas tujh ko sada di

Dil ke tukde tukde kerke
Zid se tune her khwahish mita di

Main ne manga tha saath bas tera
Gayero ke pass jaker meri tune qimat hi gira di

Aansoo mere dil ke gum ke
Mange tujh ko aur tune mujh ko bas daga di

Samjhaye bhi tu kaise tujh ko
Tune tu her baat has ke uda di

Dil main hi reh gaye din wo pyaar ke
Her baat tere mere dil ki tune aye sangdil bhula di

Meri khta ko tune waja di
Bina baat ke bhi mujhko tune saza di


Posted on 8/29/2006 12:43:14 PM

pura dhuk aour adha chand
hijer ki shab aour asia chand

ghanai badaloon k pichai
kitna tan ha ho ga chand

sehra sehra batakta hai
aapnai esheq main sacha chand

mere zara si kerwet per jhak uthai
need ka kitna kacha chand

Raat k shaeid aik bajhai hain
sootha hooga mera chand

Posted on 8/29/2006 3:04:00 PM