Logo

Fairl_Girl’s Collection + OWN

Fairl_Girl:
umeed karne walo ko bad mai both dukh uthana parta hai cf isliye main nahi lagati baqi apka ishara kis tarufhai



acha kerti ho . bahut acha kerti ho
aur ager koi laga laye tu ????????

ishara yar kia .. ishara ham kis ki taraf ker saktye hain.kisi ki taraf nahi kiya . jis ne samjhna hia samjh laye jo bhi samjhna hai

jin pe takiya tha wohi patye hawa denye lagye

Posted on 3/3/2007 2:33:25 AM

mojoo:
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Hoo

Tum Jahan Pay Baith K Jaati Hoo

Jis Cheez Ko Haath Lagatay Ho
Main Waheen Pay Betha Rehta Hoon
Us Cheez Ko Choota Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Jis Say Hans K Milti Hoo


Main Us Ko Dost Banata Hoon
Tum Jis Rastay Par Chalti Hoo
Main Us Say aata Jaata Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Hoo


Tum Jin Ko Daikhti Rehti Hoo
Woh Khaab..... Sarhanay Rakhta Hoon
Tum Say Milnay Jhulnay K
Main Kitnay Bahanay Rakhta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Hoo


Tum Jahan Bhi Baith K Jaati Hoo
Jis Cheez Ko Haath Lagati Hoo
Main Waheen Pay Baitha Rehta Hoon
Us Jagha Ko Choota Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Hoo


Kuch Khaab Saja Kar Aankhoon Main
Palkoon Say Mootti Chunta Hoon
Koi Lams Agar Choo Jaata Hai
Main Pehroon Us Ko Soochta Hoon
Main.. Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum.. Kaisi Mohabbat Karti Hoo

mera bhi yehi sawal hia ???
per answer kerne wala koi nai

Posted on 3/3/2007 2:35:22 AM

Fairl_Girl:
Main Chunti Rahi, Bikhri Pattiyaan Gulaab Ki
Nishaniyaan Hain, Mairay Khaas Ehbaab Ki

Kay In Say Wabasta Hain Kuch Purani Yadain
Sawan Main, Ashk-e-Faraq Say Bheegi Batain

Mairay Dil Kay Sang, Gungunati Wairanyaan
Waqt-e-Mukhtasar Main , Dilgudaaz Kahanyaan

Us Gali Main Shayed Hawa Bhi Makhmoor Ati Thi
Jo Zara Si Baat Pey Ye Zubaan Larhak Jati Thi

Dhundhli Raatain, Mehki Fizain Misl-e-Saraab
Jagti Ankhain Tairay Roobroo, Mehw-e-Khawaab

Madhham Roshni Main Mairi Palkoon Ki Larzaish
Beikhtyaar, Rait Pey In Ungliyoon Ki Junbish

Guzartay Lamhoon, Judaiey Ka Andaza Na Kiya
Hamraaz Gulaboon Say, Waada Wafa Na Liya

Ab Sisakta Hay Dil Tanhaiey Kay Andhairoon Say
Aur Behlati Hoon Esay Yadoon Kay Basairoon Say

Sookhi Howiey Pattiyaan Hain Yoon To Berang-o-Baas
Kay Jin Kay Say, Ab Wo Mehakta Hay Mairy Aas Paas


Posted on 3/3/2007 2:35:45 AM

Fairl_Girl:
cutefriend:
Fairl_Girl:
Khuda karay tairi aakhain kabhi
Ansoon kay zaikay say aashna na hoon
Khuda karay keh dhoop lamhoon main
Meri duwaoon ka saya rahay
Tum jo zeest ki rah main kabhi
Akailay nikal jawoo tou
Khuda karay tujhay rastay na bhatkain
Khuda karay tujh ko manzilain mil jain
Meray pass tumaray liyee
Duwaoon kay kuch phool hain
Khuda karay keh yeh phool kabhi na murjhain
Meray pass tou bas tumharay liyee
Chahatoon kay jugnou hain
Inn jugnoun ko sambhal kar rakhn
Meray pass mohabaat ki titli hay
Khuda karay keh yeh titli tujhay
Khusyoon kay gulshan main mehkati rahay
Tum zindagi main har lamha muskurati rahoo
Is titli ko ambhal kar rakhna
Zindagi main har lamha tum apna khyal rakhna

wah jee wah

yup apun titli ko sambhal ker rakhye ga
sambhal ke titliya kati bi hai pata chalay ki
cf ka hath hathora ban gaya

koi nai jis muhabbat se titli bhejye gi jo
itna bardasht ker layen gayen

Posted on 3/3/2007 2:36:40 AM

niza ki akhri hicki ko zara ghor se sun
zindagi bhar ka khulasa is awaz main hai

Posted on 3/4/2007 11:56:21 PM


Posted on 3/16/2007 3:06:03 AM

cutefriend:
Fairl_Girl:
umeed karne walo ko bad mai both dukh uthana parta hai cf isliye main nahi lagati baqi apka ishara kis tarufhai



acha kerti ho . bahut acha kerti ho
aur ager koi laga laye tu ????????

ishara yar kia .. ishara ham kis ki taraf ker saktye hain.kisi ki taraf nahi kiya . jis ne samjhna hia samjh laye jo bhi samjhna hai

jin pe takiya tha wohi patye hawa denye lagye

laga lay to laga lay boht dhara rishta jise ban jata hai usse hi umeed lagti hai na cf
mere se koi umed hai apko to main hon baithe apke liye

Posted on 3/16/2007 3:08:15 AM

cutefriend:
mojoo:
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Hoo

Tum Jahan Pay Baith K Jaati Hoo

Jis Cheez Ko Haath Lagatay Ho
Main Waheen Pay Betha Rehta Hoon
Us Cheez Ko Choota Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Jis Say Hans K Milti Hoo


Main Us Ko Dost Banata Hoon
Tum Jis Rastay Par Chalti Hoo
Main Us Say aata Jaata Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Hoo


Tum Jin Ko Daikhti Rehti Hoo
Woh Khaab..... Sarhanay Rakhta Hoon
Tum Say Milnay Jhulnay K
Main Kitnay Bahanay Rakhta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Hoo


Tum Jahan Bhi Baith K Jaati Hoo
Jis Cheez Ko Haath Lagati Hoo
Main Waheen Pay Baitha Rehta Hoon
Us Jagha Ko Choota Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Hoo


Kuch Khaab Saja Kar Aankhoon Main
Palkoon Say Mootti Chunta Hoon
Koi Lams Agar Choo Jaata Hai
Main Pehroon Us Ko Soochta Hoon
Main.. Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum.. Kaisi Mohabbat Karti Hoo

mera bhi yehi sawal hia ???
per answer kerne wala koi nai
apne phocha kisse hai yeh to batao?

Posted on 3/16/2007 3:11:33 AM

cutefriend:
Fairl_Girl:
cutefriend:
Fairl_Girl:
Khuda karay tairi aakhain kabhi
Ansoon kay zaikay say aashna na hoon
Khuda karay keh dhoop lamhoon main
Meri duwaoon ka saya rahay
Tum jo zeest ki rah main kabhi
Akailay nikal jawoo tou
Khuda karay tujhay rastay na bhatkain
Khuda karay tujh ko manzilain mil jain
Meray pass tumaray liyee
Duwaoon kay kuch phool hain
Khuda karay keh yeh phool kabhi na murjhain
Meray pass tou bas tumharay liyee
Chahatoon kay jugnou hain
Inn jugnoun ko sambhal kar rakhn
Meray pass mohabaat ki titli hay
Khuda karay keh yeh titli tujhay
Khusyoon kay gulshan main mehkati rahay
Tum zindagi main har lamha muskurati rahoo
Is titli ko ambhal kar rakhna
Zindagi main har lamha tum apna khyal rakhna

wah jee wah

yup apun titli ko sambhal ker rakhye ga
sambhal ke titliya kati bi hai pata chalay ki
cf ka hath hathora ban gaya

koi nai jis muhabbat se titli bhejye gi jo
itna bardasht ker layen gayen
wah wah kia bat kahe hai
yeh peom apke liye thi cf

Posted on 3/16/2007 3:12:17 AM


Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...
Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain
Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko...
Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain
Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...
Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain
Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain
Zindagi ek sulgati see chita hai `Dosto'...
Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain
Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain..!!


Posted on 3/16/2007 5:20:03 AM


SarDiyon ka Mausam Hai...

Gul-e-zaban pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Tumhari "HAAN" pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Darakht per jo kabhi chooriyon se daala tha...
Us aik nishaan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Ye aik hum ke nayi boliyan sada bolein...
Teri zaban pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Sulag rahi hain zehan mein qubayein lafzon ki...
Magar zuban pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Tumhare aane pe Sooraj ke haath chamkenge...
Mere makaan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Har aik simt pighalne lage hain Sannate...
Tere bayan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Jahan jahan teri khushbu ke Rang bikhrey hain...
Wahan wahan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Teri judayi ke pal se hoa hai ishq hunoot...
Ke is jahan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Woh "HAAN" karegi baharon mein us ka wada tha...
Us aik "HAAN" pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Woh mujh ko sonp gaya furqatein december mein...
Darakht-e-jaan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Hamare lab to Duayein jalaye rakhte hain...
Per Asmaan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...

Posted on 3/16/2007 5:25:45 AM


Muskara Kar Naza'a Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya

Un Ke Sadqey, Mujh Pe Khuddari Ko Qurbaan Kardiya

Youn Bhi Sahil Tak Phohanch Jatey Hein Ahl-e-Etibaar

Mein Ne Kashti Ko Sapurd Mauj-e-Toofaan Kardiya

Aur Ab Kya Chahti Hey Mujh Se Dunya Ba'ad Marg

Mein Ne Raushan Manzar-e-Gor- e-Gharibaan Kardiya

Maut Ab Aajaye, Mein Jam-e-Mohabbat Pi Chuka

Mein Ne Apne Hashar Tak Jiney Ka Samaan Kardiya

Kayenaat-e-Husn Ka Ek Harba-e-Masoom Tha!

Woh Tabassum Jis Ne Peda Zauq-e-Esyaan Kardiya

Rakh Diya Zer-e-Zameen Mulzim Bana Kar Maut Ka

Mujh Ko Naseer Un Ke Jalwe Ne Jo Hayraan Kardiya


Posted on 3/28/2007 8:51:06 AM

nice

Posted on 3/29/2007 1:10:45 AM

thxxxxx kooler

Posted on 3/29/2007 6:27:24 AM

most WELcome

Posted on 3/29/2007 6:33:12 AM




Hum Unhi per sab se zyada Aitbar kartey hain
Jo sab k samne Saadgi ikhtiyar kartey hain



Itna kya Intizaar k bus Thak gaya hoon
Yeh kese Log hai jo Be-Qarar kartey hain



Chahtey hain jo Had se Zyada kisi ko..
Wohi to sab se zyada Takrar kartey hain



Rakha Qadam Bazaar mai, to Ghabra gaya Mai
Kya itne Log Ishq ka Biopaar kartey hain



Karo na Fikar agar wo Naraz ho gaya
Naraz hotey hain wohi jo Pyar kartey hain

Posted on 3/29/2007 6:35:19 AM


Nazar Mila Na Sake Us Se Us Nigaah K Bad
Wohi Hai Haal Hamara Jo Ho Gunaah K Bad


Mai Kese Aur Kesi Simt Mor Tha Khud Ko
Kesi Ki Chah Na Thi Dil Mai Teri Chah K Bad


Zamer Kanp To Jata Hai Aap Kuch Bhi Kahein
Wo Ho Gunah Se Pehle Ke Ho Gunah K Bad

Kati Howe Thi Tanaabein Tamaam Rishton Ki
Chupata Sar Mai Kahan Tujh Se Rasm-o-Raah K Bad


Khatoot Kar Diye Wapis Magar Meri Nendein
Inhein Bhi Chorr Do Ek Raham Ki Nigah K Bad

Posted on 3/29/2007 6:39:27 AM

wah

Posted on 3/29/2007 6:43:40 AM

WOW!


nice work!

Posted on 3/29/2007 8:00:57 PM

thx both of u

Posted on 4/1/2007 3:28:21 AM



Apni aankhoon ko kabhi ik bond ansoo se na bhegney dena ..
Apney luboon ko kabhi ik aah se na sujney dena...
Apny dil main kbhi is husti ki na koi yaad busny dena.
is mahtaab se chery pe na kabhi udsi sijona..

yeh tu kismet ki thi mehrbani"ke tha tujh se milna..
beti rata ke un lamohonmain isy bhi bhula dena...
teri hesrtaoon ka hasil tha yehi waqas.....
bujhey dil se bhi usey her mour pe dua dena..

khutum ker gay jo sarey rishtey ik ana ki kahtir..
baad merny ke bhi usey is ka kabhi ilzam na dena..
Khuda ra khush reho tum apni khushgawar zindgi mai..
is beety hue kull ko kabhi yaad na kerna ..

ihktatam-e-shame- ulfet ko bahi bujha dena..
is nakam si kahnii ko koi unwaan na dena...
ub tu muntzir-e-shaam ka ho chuka waqet..
nizah mainjerha hoon ub awaz na dena
jatey jatey in khataoun ko kerdena durguzer

rouz--e-mehsher mujhy is jurm ka ilzam na dena
main tu chah ker na rouk paya apny thumtey ansoo
kasme-e-ulfet hai ke in ko tum pehchan na lena
Ya Khuda ub tu ik akhir hi hai dua..
umerbehr khsuh reho tumm.
mera naam na lena..

Posted on 4/1/2007 4:25:09 AM

woooow

Posted on 4/1/2007 10:49:20 PM

thx

Posted on 4/2/2007 4:19:56 AM

Fairl_Girl:
cutefriend:
Fairl_Girl:
umeed karne walo ko bad mai both dukh uthana parta hai cf isliye main nahi lagati baqi apka ishara kis tarufhai



acha kerti ho . bahut acha kerti ho
aur ager koi laga laye tu ????????

ishara yar kia .. ishara ham kis ki taraf ker saktye hain.kisi ki taraf nahi kiya . jis ne samjhna hia samjh laye jo bhi samjhna hai

jin pe takiya tha wohi patye hawa denye lagye

laga lay to laga lay boht dhara rishta jise ban jata hai usse hi umeed lagti hai na cf
mere se koi umed hai apko to main hon baithe apke liye

yehi na bahut gehra rishta ban jata hia
per kismet kharab hai na kuch meri ke jo bhi bstfrnd banta hia chor jata hai... shaid mujhye dosti kerni nai atti

jee jee ap tu ho baithi thxx alot

Posted on 4/5/2007 1:02:09 AM

Fairl_Girl:
cutefriend:
Fairl_Girl:
cutefriend:
Fairl_Girl:
Khuda karay tairi aakhain kabhi
Ansoon kay zaikay say aashna na hoon
Khuda karay keh dhoop lamhoon main
Meri duwaoon ka saya rahay
Tum jo zeest ki rah main kabhi
Akailay nikal jawoo tou
Khuda karay tujhay rastay na bhatkain
Khuda karay tujh ko manzilain mil jain
Meray pass tumaray liyee
Duwaoon kay kuch phool hain
Khuda karay keh yeh phool kabhi na murjhain
Meray pass tou bas tumharay liyee
Chahatoon kay jugnou hain
Inn jugnoun ko sambhal kar rakhn
Meray pass mohabaat ki titli hay
Khuda karay keh yeh titli tujhay
Khusyoon kay gulshan main mehkati rahay
Tum zindagi main har lamha muskurati rahoo
Is titli ko ambhal kar rakhna
Zindagi main har lamha tum apna khyal rakhna

wah jee wah

yup apun titli ko sambhal ker rakhye ga
sambhal ke titliya kati bi hai pata chalay ki
cf ka hath hathora ban gaya

koi nai jis muhabbat se titli bhejye gi jo
itna bardasht ker layen gayen
wah wah kia bat kahe hai
yeh peom apke liye thi cf

realy
shukrya

Posted on 4/5/2007 1:03:58 AM

Baar baar tamanna mitayi jaati hai,
Har tarah se wafa aazmayi jaati hai,
Jab unhi ko meri mohabbat ka aitbaar nahi,
Phir kyun nazar se nazar milayi jaati hai.

Posted on 4/5/2007 9:51:10 PM


Posted on 4/10/2007 3:44:01 AM




WO SAHIL KI HAWA JAISY LADKI

Gulab Chehray PAy muskrahit...
Chamkti ankhoon Main Shokh JAzbay
Wo jab bhi College ki serioon Say
Sehelion ko liye utarti...
KE JAisay Dil Main uter rahy ho
Wo apnay Rastay main dil bechatai Hoi

nighahoon Se HAns ke kahty...
Main Sahil ki hawa
hoon...

Neelay Samndroon ke liye bany hoon....
Wo Apni Rahoon Main Sir bichati hoi

Nigahon Say hans ke kahty...
Tumharay JAisay bohat Say larkon Say main yeh batien...
bohat Se barsoon se sun rahi hoon...
Main Sahil ki hawa hoon...

neelay samndroon ke liye bani hoon...


Wo Sahilloon ki hawa JAisy larki...
Wo kal mily thi usi tarah thi...
Gulab chehray pe muskarhit...
Chamkti ankhoon main shokh JAzbay...
KE jaisay Dil main uter rahi ho...
Magar jab Wo Boli To

us ke lehjay main Wo thuken thi...
Ke JAisay Sadioon Say Dasht_E_Zulmat MAin Chalty rahi ho

Posted on 4/10/2007 3:52:20 AM

thx

and gud work FG

Posted on 4/10/2007 11:02:35 PM

aji kahan good work apke work ke samne to humara bad work ho gaya hai

Posted on 4/10/2007 11:55:53 PM