Logo

Fairl_Girl’s Collection + OWN


HAMSAFAR
yeh bhi mujh per ehsaan kia hay tum nay
hamsafar gham jo mohabbat may dia hay tum nay
jab bhi takraaiee mairay jism se yeh shohk hawa
mujh ko mehsoos hooa yeh keh chooa hay tum nay
aik muddat say issi din ki thi hasrat dil may
aaj main khush hoon keh deewani kaha hay tum nay
kia meray dil ki dharakhnay ki hi awaz hay yeh
ya yeh phir kaan may kuch aa ke kaha hay tum nay
hichkiyaan bhi to kambakht nahi aati hain
jo yeh sochoon keh mujhay yaad kia hay tum nay


Posted on 5/2/2007 4:58:30 AM

WELcome


NIce

Posted on 5/2/2007 4:59:03 AM

Fairl_Girl:
cutefriend:
Fairl_Girl:

suno qismet se larrny ki
kabhi koshish nahi kerty


muqader jab mukhalif ho
duain be-aser jain
sabhi manzar bikher jain
to esy main baghawat ki
kabhi koshish nahi kerty


kisi key sath chalny ki
kisi ke dil main basny ki
kabhi khuwahish nahi kerty


kisi ik shakhs ki khatir
sabhi se door ho jana
kahan ki yeh mohabbat hai?
mohabbat yeh nahi hoti
muhabbat dil main hoti hai


muhabbat aks hai rab ka
kabhi yeh mer nahi sakti
hamesha sath rehti hai
hamesha sath chalti hai


miley jo humsafr tum ko
usi key sath chalna tum
usey dharkan bana lena
usey dil main basa lena
mager qismet se larne ki
lakeron se uljhahny ki
kabhi koshish nahi kertey
kabhi koshish nahi kertey


nice workkk

per me ne suna ke kismet apnye hath man hoti hai

maine bi suna hai
chalo usko dhondhay jiss ne yeh kaha hai usse hi pata chalay ga ab

chaloo theek hia phir subha se hi kaam per lag jatye hain
per wesye main apni kismet khud change keron ga

Posted on 5/2/2007 10:51:45 PM

Fairl_Girl:


Ek SHAB-e-WaSaL kay dhukay main
Ek SHAB-e- HiJaR kay dhukay main
Hum nay khoodia KHUD ko kisi kay NAAM kay dhukay main

Kabhi AGAZ-e-SaFaR kay dhukay main
kabhi ANJAAM-e-SaFaR kay dhukay main
Hum nay khoodia KHUD ko kabhi MaNziL kay dhukay main

ANJANAY Bay-AaiTaiBaR LoGooN main
ANJANAY kHooF kay dhukay main
HUM nay khoodia KHUD ko kabhi SIRF uN' kay dhukay main

Ek PaL IQRAR kay dhukay main
Ek PaL INKAAR kay dhukay main
HUM nay khoodia KHUD ko un KAHEE BAAT kay dhookay main

KaBhI DOSTII kEE gHaNeE cHaAonN main

USS Kii YAADOO kay SAyIeNN main
hum nay khodiyaa khud ko FAKAD ChUnD lAfZoOn kay DhoOkAy main



zaberdastttttt

really see bari changi ladi hai dil ko

and woh hosh wali bhi bahut fit hai

Posted on 5/2/2007 10:55:31 PM

Maine jis ko chaha mujhe woh mil gaya hai

Mohabbat ka aisa nagar mil gaya hai



Khushi main Jhoomti hoon main aaj kal

Maine jis ko chaha woh Hamsafar mil gaya hai



DUA maine ki thi Sanam Mujh ko chahe

DUA main bhi itna Asar mil gaya hai



Dar Dar ke maine maangi thi thori si chahat

Mujhe chahaton ka Shajar mil gaya hai

Posted on 5/3/2007 1:47:39 AM

wow

Posted on 5/3/2007 5:27:11 PM


Posted on 5/4/2007 3:55:46 PM

han sunayae

Posted on 5/7/2007 4:09:25 AM



Her ek Chehare ko Zakhmon kaa Aainaa na kaho
Ye Zindagii to hai Rehmat ise Saza na kaho



Na jane kaun si Majaburiyon ka Qaidi ho
Wo saath chor gaya hai to BeWafa na kaho



Tamaam Shahar ne Nezon pe kyun uchhala Mujhe
Ye Ittefaq tha Tum is ko Haadsa na kaho



Ye aur Baat ke Dushman hua hai Aaj magar!!
Wo Mera Dost tha Kal tak use Buraa na kaho



Hamaare Aib Hamein Ungkiyon pe ginwao
Hamari Peeth ke peeche Hamein Buraa na kaho



Mai Waqiyaat ki zanjeer ka nahi Qaayal
Mujhe bhi apne Gunahon ka silsila na kaho



Ye Shahar wo hai jahan Raakshas bhi hai
Her ek Taraashe huye Boott ko Devta na kaho

Posted on 5/7/2007 4:12:22 AM



Suraj Bhi Thak Haar Ke Aakhir Doob Gaya Armaanoun Ka

Koya Madaawa Kar Na Saka Tootey Hoye Insaanoun Ka

Khud Gham Ki Tasveer Baney Thay Shehr Ke Hanstey Bastey Laug

Zikr Bhala Ham Kis Se Kartey Dard Bharey Afsaanoun Ka

Tark-e-Taalluq Par He Aakhir Ahl-e-Wafa Majboor Hoye!

Kaun Uttha Sakata Tha Kab Tak Baar Terey Ihsaanoun ka

Mein Ne Jab Bhi Haath Lagaya Rang Barangi Shamaoun Ko

Ek Hujoom Lapak Kar Aya Meri Taraf Parwaanoun Ka

Jism Ke Ander Ek Basti Hey, Uss Basti Ka Naam Hey Dil

Yeh Basti Veerana Bhi Hey, Shehr Bhi Hey Armaanoun Ka

Mera Naam Jali Huroof Mein Terey Saamney Aayega

Zikr Teri Mehfil Mein Hoga Jab Bhi Sokhta-Jaanoun Ka

Tor Diya Hey Mein Piyar Ke Saarey Jhootey Rishtoun Ko

Jab Se Naseer Ho Gaya Hey Khoon Merey Armaanoun ka


Posted on 5/7/2007 4:15:41 AM

nice work


Posted on 5/7/2007 5:41:34 AM


Posted on 5/7/2007 11:15:57 AM

ap ham ko chahyen yeh dua hai rab se
na koi ap ko chahye yeh ilteja hhai sab se
ham bhi hon ap ke chahnye walon main shamil
najanye ham ne yeh aas lagai hai kab se
ab tu yehi tamana hai meri khuda se aye sameer
ban ke wafa bahye lahoo meri rag rag se

Posted on 5/7/2007 3:48:10 PM


Posted on 5/8/2007 5:44:02 AM

   

Posted on 5/8/2007 12:34:10 PM

thxxxx

Posted on 5/9/2007 2:12:31 AM

agar ham hasraton ki kabar main hi dafan ho jayen
tu yeh katbon per likh dena ke muhabbat mar nahi sakti

Posted on 5/9/2007 2:14:45 AM

ufff

Posted on 5/9/2007 8:32:48 AM


TUM HAMARA ARMAAN HO
IN HONTON KE MUSKAN HO
HUMTO EK ZINDA LAASH HUN
TUM HUMARI JAAN HO
TUMNE DIL KO BOHOT TODA
DIL NE PHIR BHI TUMME POOJA
NA JANE TUM MEIN KYA HAI
JO IS DIL NE TUMHE ITNA CHAHA
SHAYAD TUM EK AAHSAS HO
IN ANNKHO KA KHWAAB HO
KABHI MUJHE NAA MILNE WALA
UN SAWALAON KA JAWAB HO
TUM SAMNE KABHI AATE NAHI
AUR DIL SE KABHI JATE NAHI
DARD ITNA DIYA HAI
DAWA KYON DATE NAHI
TUM MERE IS DIL KA KARAR HO
TUM MERE DIL MEIN SAMAYE HO
MAI KAISE TUMSE KEHDUN
KI TUM MERE KYA HO.......

Posted on 5/9/2007 8:38:19 AM



TUM MERI AANKH KE TEWAR NA BHULA PAO GE
AN-KAHI BAAT KO SAMJHO GE TO YAAD AOON GA

HUM NE KHUSHION KI TARAH GHAM BHI IKHATHE DEKHEN HAIN
SAFAH-E-ZEEST KO PALTO GAY TO YAAD AAOON GA

TUM ANDER SE BIKHAR JAO GE IS TARAH SE
KISI MA"ZOOR KO DEKHO GE TO YAAD AAOON GA

SHAAL PEHNAYE GA DECEMBER MAIN AB KON TUMHAIN
SARD RATON MAIN JO BHEEGO GI TO YAAD AOON GA

AAJ TO MEHFIL-E-YAARAN PE HO MAGHROOR BUHAT
KAL KABHI TOOT KE BIKHRO GI TO YAAD AAOON GA

IS MAIN SHAMIL HAI MERE BAKHT KI TAARIQI BHI
TUM SYAH RANG JO PEHNOGI TO YAAD AAOON GA

Posted on 5/9/2007 8:44:20 AM

Fairl_Girl:
ufff




kia hua ...............

soi chub gaye kia

Posted on 5/9/2007 12:53:04 PM

very nice workkkkkkkkkkkkkk     

Posted on 5/9/2007 12:53:50 PM

nahi kanta lagaaaaaaaaaaaaaaaa

Posted on 5/10/2007 8:08:21 AM

Fairl_Girl:
nahi kanta lagaaaaaaaaaaaaaaaa


banglye ke peechye teri beri ki neechye



yarrr fg
yarrrrrr

Posted on 5/10/2007 11:53:42 AM


Posted on 5/10/2007 12:44:42 PM


Posted on 5/12/2007 9:15:22 AM

esa khila woh phool sa chehera pheli sarye ghar khushboo
khat ko chupa ke parhnye wali raaz chupana bhool gaye

Posted on 5/12/2007 11:25:55 PM

ohho wah wah
kia hua bula rahe thay

Posted on 5/13/2007 3:04:34 AM



Us Ki Galiyoun Ki Khak Bana Dey Mujh Ko

Gungunatey Huye Aanchal Ki Hawa Dey Mujh Ko
Ungliyaan Pheir Kar Baloun Mein, Sula Dey Mujh Ko

Jiss Trah Faaltu Guldaan Parey Rehtey Hein
Apney Ghar Key Kisi Koney Sey Laga Dey Mujh Ko

Yaad Kar Key Mujhay Takleef Hi Hotti Ho Gi
Eik Qissa Houn Purana Sa, Bhula Dey Mujh Ko

Dubtey Dubtey Aawaz Teri Sun Jaoun
Akhri Baar Tu Sahil Sey Sada Dey Mujh Ko

Main Tery Hijar Mein Chup Chap Na Mar JAoun Kahein
Main Hun Saktey Mein, Kabhi Aaa Kar Rula Dey Mujh Ko

Dekh Main Ho Gya Hun Badnaam Kitboun Ki Tarha
Meri Tashheer Na Kar, Ab To Jala Dey Mujh Ko

Roothna Tera, Meri Jaan Liye Jata HAi
Aisey Naraz Na Ho,Hans K Dikha Dey Mujh Ko

Log Kehtey Hein K Yeh Ishq Nigal Jata HAi
Main Bhi Is Ishq Mein Aya Houn,Duaa De Mujh Ko

Yahi Auqaat Hai Meri Teray Jeevan Mein
Koi Kamzore Sa Lamha Houn,Bhula De Mujh Ko

Aur Kuch Nahein Manga Meray MAlik Tujh Sey
Us ki galiyun ki khak bana dey mujh ko.............

Posted on 5/13/2007 3:11:06 AM

Fairl_Girl:
ohho wah wah
kia hua bula rahe thay



arye han naaa kab se tu bula raha tha


Posted on 5/13/2007 3:17:45 AM