Logo

share ur poetry...

tuh kiski yaad main rone ki khwaish rakhta hai
vo tuh khamosh hai sab jaan ke bhi, teri aur takta hai
ki kyun karta hai tuh beaabru khudko zamane ke samane Humtum
ki tera chahne wla tuh bas teri barbadi ki khwaisah rakhta hai

Posted on 5/14/2005 10:55:26 PM

ek bikhri si zindagi ka bojh uthaye jaa rahe hain
Apni laash ko apne kaandhe per dhoye jaa rahe hain

tutta sa sheesha, murjhaye se phool, aur kuch yaadein
nishaniya bitey hue waqt ki hum sanjoye jaa rahe hain

jabh zindagi bikhri thi ushke solah tukde hue they
abh aanchal mein samet unhi ko uthaye jaa rahe hain

ush haadse ki yaadon mein kuch tabahiya milli hain
tabaahi ke us dariya mein hum khoye jaa rahe hain

armaan ban gaye aanshu, aur aanshu ki barsaat hain
ann mein bheege lamho ko aaj sukhaye jaa rahe hain

zindagi bhi lutt gayi aur khoya kya pucch rahe hain "HumTum"
dekho! apni laash ko apne kaandhe per dhoye jaa rahe hain

Posted on 5/14/2005 10:58:42 PM


Posted on 5/15/2005 9:05:20 AM

Aansoou Ko Bohat Samjhaya ..
Tanhai Mein Aaya Karo..
yun Mehfil Mein aa k Hamara Mazaq Na Uraya Karo ..
Is Par Aansoo Tapak Kar Bolay..
Itnay Logon Mein bhi Aap Ko Tanha Paatay Hain..
isi liay apka saath dainay Chalay Aatay Hain !!

(i think someone have posted this one before.. not so sure)

Posted on 5/15/2005 9:07:20 AM

Yeh Jo Zindagi Ki Kitaab Hai,
Yeh Kitaab Bhi Kia Kitaab Hai,
Kahin Ek Haseen Sa Khawaab Hai,
Kahin Jaan Leva Azaab Hai,

Posted on 5/15/2005 9:10:57 AM

Very nice Paki and sunny

Posted on 5/15/2005 9:35:10 AM

Sukria janab
hey paki bahto khob wapsi ke saath kafi achay achay
sheer lay hoooo

Posted on 5/15/2005 7:50:18 PM

dil aaj khush bhi magar udaas bhi hai
tu door sahi magar mere paas bhi hai
ek honge na kabhie magar iski aas bhi hai
bujhegi na kabhie magar yeh pyaas bhi hai

Posted on 5/15/2005 7:54:02 PM

Kaanton ki sej thi aur charon taraf andhera chaya tha,
Lash-e-armano ki kami na thi, maut ka mandra raha saya tha,

Kab tak chalte rehte aisi rah-e-zindagi pe aye Khuda,
Jisko meri haanton ki lakeeron me tumne hi sajaya tha,

Zindagi se haar kar bhi jeet gaye aaj zindagi ki baazi hum,
Jo kabar aur kafan ko inam ke taur pe humne jo paya tha!

Posted on 5/15/2005 7:55:25 PM

tum zindagi ki baazi haar kar bhi jeet gaye,
kuch aise bhi hain jo toot kar bikhar gaye,
wo kahe to kiss se kahe apni daastan e ruswai,
ki unke zindagi ki shama jalne k baad bujh gaye.

Posted on 5/15/2005 7:55:33 PM

Ab uski moout pe afsosh kisleae yaro
jab usko marne pe majboor kiya hai bahot

Posted on 5/15/2005 7:55:57 PM

Lagta hai ab zindagi ki shaam hone ko hai,
Bas ek shikwa tujhse kehne ko hai,
HUmne to haath thama tha tumhara zindagi bhar ke liye,
Tum to chad gaye ho hume jeeteje marne ke liya......

Posted on 5/15/2005 7:56:15 PM

Dard gairo ko sunane ki jarurat kya hai..
apne saath auro ko rulane ki jarurat kya hai..
waqt you hi kam hai mohabbat ke liye..
ruth kar waqt gawane ki jarurat kya hai

Posted on 5/15/2005 7:56:50 PM

Paki yar yeh Arbab ko ap nay KUCH kahaa
aj kal kohi Nazar nhi aa raha hai

Posted on 5/15/2005 7:57:14 PM

chain cheen lete hai ye husan vale
Hasin sitam dhahte hai ye husn vale
inhe waffa kya hai ye malum bhi nahi hai
dard deke dua dete hai ye husn vale

Posted on 5/15/2005 7:57:49 PM

kabhi kisi ko mukammal jaha nahi milta
kahi zameen to kahi aasman nahi milta

jise bhi dekhhiye wo apne aap mai goom hai
zuban mili hai magar hum zuban nahi milta

bujha saka hai bhala kaun waqt ke sholey
ye aisi aag hai jisme dhuaan nahi milta

tere jahaan mai aisa nahi ke pyaar na ho
jaha umeed ho iski waha nahi milta

kabhi kisi ko mukammal jaha nahi milta
kahi zameen to kahi aasman nahi milta

Posted on 5/15/2005 7:58:15 PM

Koi to dilaasa de mujhe koi to mujhse baat kare
Koi to mera humraaz bane koi to meri baat sune
Koi aisa hai jo yahan apni baton kii bouty se
Mere dil ke zakhmon ko apne hathon se wo bhare
Koi to mere maazi kii yaad mujhe na aane de
Wo kuch apni kahe aur kuch meri sune
Nikalti hai aisi lakhon saada har ek tute dil se
Na hoge barbad ye tute dil GaR ye sadaa koi sune

Posted on 5/15/2005 7:58:24 PM

Dost tuh hote hai dard ko bhaatne ke liye
tu apne dil ka haal jara keh ke tuh dekh
mil jayega tuffan main kashti ko "Sahil"
tu dost ki bhaah pakadke tuh dekh

Posted on 5/15/2005 7:58:35 PM

bujha saka hai bhala kaun waqt ke sholey
ye aisi aag hai jisme dhuaan nahi milta "

Posted on 5/15/2005 7:58:56 PM

good bas last wala hi read kar saki .......... coz i m in hurry.....

Posted on 5/15/2005 11:23:09 PM

aap agar ham ko mil gaye hote
baaG mein phol khil gaye hote

aap ne yuN hi ghuur kar dekhaa
honTh to yuN bhi sil gaye hote

kash hum aap is tarah milate
jaise do waqt mil gaye hote

ham ko ahal-e-Khirad mile hi nahi
warna kuch munfa dil gaye hote

us ki aaNkhen hi kaj-nazar thi
dil ke parde to hil gaye hote

Posted on 5/15/2005 11:25:11 PM

Cahlo kuch read to kiya na

Posted on 5/17/2005 1:25:22 AM

very guud queen ji

Posted on 5/17/2005 3:28:00 PM

kia baat hai sunny bhai app ki..
very nice

Posted on 5/18/2005 2:35:24 AM

Queen of jb:
aap agar ham ko mil gaye hote
baaG mein phol khil gaye hote

aap ne yuN hi ghuur kar dekhaa
honTh to yuN bhi sil gaye hote

kash hum aap is tarah milate
jaise do waqt mil gaye hote

ham ko ahal-e-Khirad mile hi nahi
warna kuch munfa dil gaye hote

us ki aaNkhen hi kaj-nazar thi
dil ke parde to hil gaye hote

nice sis

Posted on 5/18/2005 2:35:38 AM

Teri tasweer meri ankhon main basee kyun hai
Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai

Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai liken
tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai

Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil kerna
phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai

Barson guzar gaye meray tanhayee main liken
Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai

Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon
Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai

Khatam hua mera yeh afsana ek baat batadon liken
Anjaam tha malooom mujh ko phir yeh mohabbet ki kyun hai

Posted on 5/18/2005 2:38:16 AM

paki_fan:
kia baat hai sunny bhai app ki..
very nice


oh sukria ji sukira

Posted on 5/18/2005 3:36:11 AM

HAR ROZ NIKLTA HOON TERI TLASH MEIN
HAR ROZ HI TUJHE DHOONDTA HOON DEEWANO KI TRAH
NAHIN KUCH BHI AHSIL MUJHAY IS DEEWANGE MEIN
TU NA JANE KHA BAS GI HAI CHUP K IS TRAH

Posted on 5/19/2005 12:52:17 AM

woow wafa ji

Posted on 5/20/2005 11:25:10 AM

zabt k tot gay ajj tou saray bandhan
aaj tarpa hai woh jo kabhi dhakha na tha

Posted on 5/20/2005 11:57:03 PM