Logo

share ur poetry...

niceee

Posted on 4/29/2005 12:08:22 AM


Yea Mera Doosh Nahi.......!!

Qalam Ki Nook Per Ab Tak Lahoo Key Qatrey Hain.....

Khabar Key Hath Per Likha Huwa Hay Sabar Abhi.......

Samay Ki Aankh May Ab Tak Safar Ki Uljhan Hay.......

Bikharta Hoon May Kabhi Aur Kabhi Saanwarta Hoon....

Na Tootta Hoon Mukammal Na Pura Jourta Hoon.......

Main Darmiyain Say Aagay Jo Baar Nahi Paya........

Yea Mera Doosh Nahi Raastoon Ki Saazish Hay.......

Kisi Bhi Semt Chaley Ab Huwa Yea Sabit Hay.......

Abhi Dukhoon Ko Meri Zindagi Ki Haajat Hay........


Posted on 4/29/2005 12:22:33 AM


Posted on 4/29/2005 1:42:03 AM


Posted on 4/29/2005 1:54:09 AM

thanks guys

Posted on 4/29/2005 4:05:08 AM

very nice sunny, deja and janubaby

Posted on 4/29/2005 4:05:38 AM

sachayi chup nahi sakti, banawti usulon se
khushbu aa nahi sakti, kagaz ke phoolon se

Posted on 4/29/2005 4:08:10 AM

tumse hame bas chaah thi wafa ki
khataa hamse kya hui, jo wafa bhi na kar sake

Posted on 4/29/2005 4:08:27 AM

sukria janab

Posted on 4/29/2005 6:19:17 AM

sapne dekhne ki adaat hoti hai sabko
ye aankhen band karte hi aaaa jate hai
hum jante hain ke sapne poore nahi hote
issi dar se aaj kal hum sootay he nhi

Posted on 4/29/2005 6:32:22 AM


Posted on 4/30/2005 12:36:45 AM

Aankhain Khoob Rooti Hain "

Tumhain Dil Say Bhulatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain,
Dard Dil Main Jagatay Hain Tu Aankhain Khoot Rooti Hain..
Tumharay baad Chahat K Sabhi Punchi Uray Janaan,
Kahin Bhi Dil Lagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
Teri Tasweer, Adhooray Khat Tu Jala Diey Hum Nay,
Ab Paani Pay Naqsh Banatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
Ghata Aawargi Main Jab Siyah Choola Pehanti Hai,
Parenday Jab Satatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
K Jab Bhi Shaam Dhalti Hai Meri Qismat K Sab Taray,
Falaq Par Jagmagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
Sard Tareek Raaton Main Siyah Sawan Ki Barish Main,
Dard Jab Muskuratay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
Sahil Ki Woh Mitti K Jis Pay Khoon Hathoon Say,
Wafa Likh Kar Mitatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Posted on 4/30/2005 12:38:49 AM


Posted on 4/30/2005 2:43:26 PM

Dil kissi yaar e bawafa ki tarah
Bakhaber hai bahut khuda ki tarah

Zindagi bher tumhara naam meeray
Dil say nikla kissi dua ki tarah

Main nay her maur per tujhay dhoonda
Hijar k shaher ki hawa ki tarah

Umar bhar tera dukh uthaya hai
Waqt ki dee hui saza ki tarah

Kuch nahi soojhta mohabbat main
Khauf aur gham ki inteha ki tarah

Posted on 4/30/2005 2:49:19 PM

very nice JB and DEJA

Posted on 4/30/2005 7:26:01 PM

mout ki kise parvah hai
hum to marne ke liye jite hain
zindagi mhoot se kam nahi
mhoot hi zindagi ka sach hai

Posted on 4/30/2005 7:26:29 PM

koi rona mat mayyait pe meri
armaano ki hogi wo doli
sath dena do kadam
karna nahi mera koi gahm

Posted on 4/30/2005 7:27:46 PM


JB ke SIGNTURE ke liye

labo pe muskan hai
aur ankhe apki saaf hain
iska matlab ye to nahi
ki dil me apke dard nahi

Posted on 4/30/2005 7:28:35 PM

bilkul samjh gaye hai mujhay app sunny

Posted on 5/1/2005 2:11:20 AM

Very nice sunny

Posted on 5/1/2005 2:18:21 AM

   Sukrai janab Sukria

Posted on 5/1/2005 6:31:45 AM

Sataoo ghe humko,Rulao ghe humko
magar kis tarah bhool paoo ghe humko?
Khuda jane kya haal hoga tumhara,
Jab kisi aur ki bahoon me paoo ghe humko !!!   

Posted on 5/1/2005 6:32:59 AM

Paki where are you

Posted on 5/1/2005 7:59:34 PM


Posted on 5/2/2005 12:24:39 AM

sukria

Posted on 5/2/2005 12:31:57 AM

very nice guys

Posted on 5/2/2005 4:02:03 AM

wafakadard:
Paki where are you


yahan hoon janab

Posted on 5/2/2005 4:02:24 AM

Dhoondtey hein apney kuch gumshuda iraadon ko .......
Ham hein k apne khaaboon ki kirchioon mein rehtey hein
Kioon bicherney waaalon kay aks mar nahi saktey .......
Kioon yeh ashk aankhoon kay aaenoon mein rehtey hein

Posted on 5/3/2005 3:16:52 PM


Posted on 5/4/2005 12:56:19 AM


Khowaaaab..................................@!

Jeysay neelai ambar sai,

Surkh sitaray girtay hain

Jeysay bayhtay darya sai

Khushk kinaarey girtay hain

Jeysay makaaan kai hilnai sai

Qaien saharey girtay hain

Aysay he kabhi ankhon sai

Khowaaab hamarey girtay hain

@!@!@!@!@!@!@rsh!

Posted on 5/4/2005 12:57:08 AM

Copyright © 2025 Janubaba.com. All rights reserved.