Logo

share ur poetry...


Posted on 12/22/2004 5:03:10 AM

thnxx janu

hmmmm really really nice ones



MUSHKIL HOGI

Tum Ager Mujh Ko Na Chaho To Koi Baat Nahi...
Tum Kisi Aur Ko Chaho Gay, To Mushkil Hogi..

Ab Ager Meil Nahi Hai To Judayi Bhi Nahi...
Baat Tori Bhi Nahi Tum Ne Banayi Bhi Nahi...
Ye Sahara Bhi Buhat Hai Meray Jeenay K Liye...
Tum Ager Mere Nahi Ho, To Paraye Bhi Nahi...
Meray Dil Ko Na Saraaho, To Koi Baat Nahi...
Ghair K Dil Ko Saraho Gay, To Mushkil Hogi...

Tum HaseeN Ho, Tumhein Sab Pyar Hi Kertay Hongay...
Main Jo Mertee Hoon, To Kya Aur Bhi Mertee Hongeen ?...
Sab Ki Aankhon Mein isi Shoq Ka ToofaaN Hoga ?..
Sab K Seenay Mein Yahi Dard Ubhertay Hongay ?..
Meray Ghum Mein Na karaaho, To koi baat Nahi..
Aur K Ghum Mein karaho gay To Mushkil Hogi...

Phool Ki Tarah Hanso, Sab ki Nigahon Mein Raho...
Apni Maasoom Jawani Ki PanahoN Mein Raho...
Mujh Ko Wo Din Na Dikhana, Tumhein Apni Hi Qasam...
Main Tarastee Rahoon, Tum Ghair K BaanHoN Mein Raho..
Tum Jo Mujh Se Na Nibhao, To Koi Baat Nahi..
Kisi Dushman Se Nibaho Gay To Mushkil Hogi...

Tum Ager Mujh Ko Na Chaho, To Koi Baat Nahi
Tum Kisi Aur Ko Chaho Gay, To MUSHKIL HOGI .


kesi hai

Posted on 12/22/2004 6:19:10 AM

bohat achi hain dost both oof them
and janubaby well donee

Posted on 12/22/2004 7:13:22 AM

thnxx paki...abb app bhi poems post karien

Posted on 12/23/2004 1:42:35 AM

hmmm ok janab ..

Posted on 12/23/2004 4:59:49 AM


Posted on 12/23/2004 5:00:48 AM



Posted on 12/23/2004 5:02:05 AM

one of my fav...
"DIL KI DARO DEEWAR PER KIYA DEKHA"

"DIL KI DARO DEEWAR PER KIYA DEKHA
BAS TERA NAAM LIKHA DEKHA

TERI AANKHON MAIN HUM NE KYA DEKHA
KABHI QATIL KABHI HUMRAZ DEKHA

APNI SURAT LAGEY PIYAARI SI
JAB KABHI HUM NE AAEINA DEKHA

HAY ANDAAZ TEREY ROKHNE KA
WAQT KO BHI ROKHA ROKHA DEKHA

PHIR NAYA AAYA KHIYAAL MOHABBET KA
JAB TERE GHER KA RASTA DEKHA

TERI AANKHON MAIN HUM NE KYA DEKHA
KABHI QATIL KABHI HUMRAZ DEKHA


Posted on 12/23/2004 5:10:39 AM

really really cool

Posted on 12/24/2004 1:57:09 AM

Benaam Sa Ya Dard...Thehar Q Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai...Woh Guzar Q Nahi Jata...

Sab Kuch Tu Hai...Kia Dhundti Rehti Hai Nigahein
Kia Baat Hai...Main Waqt Pe Ghar Q Nahi Jata...

Woh Ek Hi Chera Tu…Nahi Saray Jahan Mein
Jo Dur Hai Woh Dil Se Utar Q Nahi Jata...

Main Apni Hi Uljhi Hoi...Raho Ka Tamasha
Jatay Hain Jidhar Sab...Main Udhar Q Nahi Jata...

Woh Naam Jo Na Jane Kab Se…Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawaab Agar Hai Tu Bikhar Q Nahi Jata...

Posted on 12/24/2004 2:15:27 AM

Yaad Karta Hoon Tumhein Yaad Aati Hi Nahi
Kasay Aaye Woh Cheez Jo Jati Hi Nahi...

Tum mujhay bhool bhi jaao tu ya haq hai tum ko
Meri baat aur hai main ne to muhabbat ki hai...

Judaye ka pata hota agar pyar se pehlay
Tu maut ki dua mangtay hum deedar se pehlay...

Peetay hain sharab hum jinhein bhoolane kay liye
Wo hi aa jatay hain yaad hamein roolane kay liye...

Manzilon pe aa kay lutay hain dilon kay karvaan
Kashtiyan sahil pe aa kay dobti hain pyar ki...

Posted on 12/24/2004 2:18:15 AM

agar poetry na ho to

Posted on 12/24/2004 3:40:07 PM


Posted on 12/24/2004 11:47:09 PM


Posted on 12/25/2004 12:03:46 AM


Posted on 12/25/2004 12:08:28 AM

haan yaar:
agar poetry na ho to


to.. phir to kuch bhi nahin hai

Posted on 12/25/2004 4:08:25 AM

want to dedicate this one to my Mother...

samander ne kaha ! maa aik aisy hasti hai
jo aulaad ke lakhoon raaz seenai main chupa laitti hai

badal ne kaha ! maa aik dhanak hai jis main her rang nomaya hotta hai

shaier ne kaha ! maa aik aisy ghazal hai jo sunne walay ke seenay main uttar jatti hai

musannif ne kaha! maa woh hasti hai jiski tareef ke liyeh duniya mian alfaaz naheen miltte

dua ne kaha ! maa woh shaksiyat hai jo her waqt apni aulaad ke liyeh khush hali ki dua mangti hai

jannat ne kaha ! maa main woh hasti hai ke main bhi is ke qadmoon talay hoon

KHUDA ne kaha ! maa meri taraf se qeemti aur nayaab tohfa hai

maine kaha ! ke mujhe maa aur phool main koi farak nazar naheen aata
MAA TO AZEEM HAI




Posted on 12/25/2004 4:19:56 AM

WAHHHHHHHHHHHHHHHHHHH

Posted on 12/25/2004 11:41:31 PM


Posted on 12/26/2004 12:03:38 AM


Posted on 12/26/2004 12:37:47 AM

HUM NE KUCH IS TARAH SE MOHABAT KI HAI
                           
Hum ne kuch is tarah se mohabat ki hai

Kay mohabat mein tumhari parisdish ki hai…

Tumharay bhagir zindagi ka koi tasawar nahi       

Mein ne kuch is tarah se tumhari tamanna ki hai…

Humeray darmiyan hail rahein sadiyon ki khamoshiya

Mein ne kuch is tarah tum se guftugu ki hai…

Meray dil mein bass jaoo tum ruh-o-mohabat ban kay

Mein ne dil ki gahriye se yah iltija ki hai…    

Tumharay milnay se phelay mein khud se naashna tha

Sumjha hai pyar ko jab tum se mohabat ki hai…

Meri zindagi ki khushiya tum se hi hein wabasta

Mein ne Rab se tumhein panay ki dua ki hai…

Mein tumhein chain lon ga duniya ki rasmon se

Mein ne tumharay liye zamanay se bagawat ki hai…
                    

Posted on 12/26/2004 5:41:39 PM


Posted on 12/27/2004 12:03:09 AM


Posted on 12/27/2004 6:26:23 AM


"AATEMAAD WO SHEESHA HAI JO IK BAAR TOTH JAYE TO WAPAS NAHIN JURRTA"
"APNI SHAKHSIAT KO SOORAJ KI TARHAN CHAMAK DAR BANAO JO DOOSRON KO HAMEESHA KIRANE BHIKERTA HAI"

Posted on 12/27/2004 7:46:07 AM


yeh duniya to ik sarae kahana hai
jahan aa kar insaan ko chale jana hai
log to apne amaal le kar jate hain
or mujhe teri yaad k sahare chale jana hai
KHUDA jab pooche ga naamaazo ka
to mujhe apna sir jhukae chale jana hai
jab sawal uthe ga INSAANO KA
to mujhe ik bemaeni hansi hanse chale jaan hai
or akhir main!
jab zikar hoga sajjado ka
to mujhe tera naam liye chale jana hai........


Posted on 12/27/2004 7:53:30 AM


Udaas jagti aankhon k khwab laya hoon.
Me patharon me chupa k gulab laya hoon.
Jo ho sake ise tanhaaaiyon me parh lena ...
Tumhare wastey dil ki kitaab laya hoon .
Wo ek sawal ,jo tum ne kabhi nahi poocha.
Saja k palkon par us ka jawab laya hoon.

Posted on 12/27/2004 7:57:42 AM


Posted on 12/28/2004 12:20:50 AM


Posted on 12/28/2004 12:27:26 AM

nicee

Posted on 12/28/2004 3:43:18 AM

Rishtoon ki zanjeeron ma jakre paon
Bebasi k siwah rakha kia
Ajnabi hai raste
Darare pare dewaren
Nah khatam honey wala aik lamba
Manzil ki talash me sargardan musafir
Tanha musafir
Muhabat k mare
Nafratoon ma jalen
Kahan ka hai yeh insaf
Yeh ristoon k bandhan
Kartey hai juda
Tarey marey raste
Hai dua yeh marey
Rab kare ahsan ho jewan
Terah naam rahe mujh se rooshan
Jab dam nikley to
Qadmoo ma tarey
Rishton ka kia hai
Khune kabhi juda howa??
Muhabat kabhi fana hoey??
Rishtoon ki zanjeeron ma jakre paon
Bebas nahi hotey
Tanha nahi hotey
Manzilen mushkil sahen
Magar judah nahi hoten

Posted on 12/28/2004 3:45:00 AM