Agar Tu Ungliyan Apni Meri Ankh Par Rakh Deti
Zamana Dukh Bhari Bato0n Ki Meli Potli Le Kar
Andhere Samandar Main Utar Jata
Mujhe Iss Sham Sahil Par
Teri Khusbu
MukamalJism Ke Malbo0s Main Millti
Kayee Sadiyoun Ki Jigrati Huwee Banho0n Main So Jati
Zara Si Lehat Pani Ki, Kinaaro0n Ko Bhigo Jati
Agar Tu Nugliyan Apni Meri Hath Par Rakh Deti
Tu Likhta Main Shahdat ApneHone Ki
Kissi Bargad Ki Shakho0n Par
Sulagti, Zard, Barani Zameen Ki Khushak Chhati Par
Puraane Gumshuda Rasto0n
Faramoshi Ki Neend Oudhe Safar Par
Kisi Bholi Huwee Tareekh Ke Malbe Tale
Soye Huwe Ghar Par
Agar Tu Ungliyan Apni Meri Ankh Par Rakh Deti
Hamare Dor Tak Phele Huwe Sehrao0n Par Aik Din
Ghane Badal Utar Aate
Khuda Ki Meharban Barish Achanak Taiz Ho Jati
Kinaare Dopehar Ke Donoon Dhal Jate
HAmare Dukh Zameen Par Asman Ki Tarhan Khul Jate
Agar Tu Ungliyan Apni Meri Ankh Par Rakh Deti
Main Deewar-E-Badan Ki Dosri Janib
Tujhe Har Sham Ko Milta
Teri Bato0n Ki Khusbu Chai Main Ghul Kar
Udassi Taiz Kar Deti
Humari Guftugu Ke Darmiyan
Aik Nazam Chubke Se Dabe Paoon Chali Aati
Ishq ke bhi kuch andaz hote nahi,
Jagti ankhon mein bhi khawab hote hai,
Zaroori nahi k gam mein ansu nikle,
Muskurati ankhon mein bhi sailab hote hain
door wadiyo me dhundhle badal chupkar,
parvat se milne ka intzaar karte hai....
dil me hasratein aur tamanna liye
hum apke aane ka intzaar kiya karte hai
Duaoun ki bheed mai ek dua hai hamari....
Jisme maangi humne har baar khushi aapki..
jab bhi muskayegi aap., to samjh lena ki..
ek aur dua kabool hue hamari....