Soochta hon kay tum say pyar hi kyon kiya
har lamha dil ko beqarar hi kyon kiya
jantay howay bhi teray jhotay wadoun ki sachai
un wadoun par hamesha aaitebar hi kyon kiya"
mujhey ghale se laga lo bohat udaas hoon main
gham e jhan se choora lo bohat udaas hoon main
yeh intaizar ka dukh ab saha naheen jata
mujhey paas bula lo bohat udaas hoon main
meri har saance main milne ki pyaas palti hai
sulgh raha badan aur rooh jalti hai
bachaa sakoo toh bachaa lo bohat udaas hoon main
bhatak chooka hoon bohat zindgi ki raahoon main
mujhey aa ke choopa lo tum apni baanhoon main
bin tere mar na jaey kaheen tera saad
mera sawal naan talo bohat udaas hoon main