When I say I love you I
do But this with you will not
do I need someone I can lean
on Someone I can count on
too Yes you are there sometimes
For that I am grateful to you
But I need someone there full time
And that you can not do You told me
once you loved me
That I could believe in you
I was there when you needed someone
Where were you when
I needed someone, too?
The time has come for me to let go
Never to expect you to care again People
may come and people may go But my love.........
Yaadon ke khuwaab dikhati hain
Mujhe saari raat jagati hain
Kab Dil ke raaz chhupati hain
Palkon ke dareeche kholti hain
Kuch apni zaban main bolti hain
Bas apni baat manwati hain
YEH AANKHEN BUHAT SATATI HAIN,
Ek aan mein faisla karti hain
Yeh kab ruswayi se darrti hain
Yeh ghungroo baandh nachati hain
Her waqt yeh jaagti rehti hain
Ek khoj mein bhaagti rehti hain
Thak haar ke wapis aati hain
YEH AANKHEN BUHAT SATATI HAIN,
Chupke se kahin larr jaati hain
Phir khuwabon se bhar jaati hain
Jab toote shor machati hain
Yeh royen to Dil bhi rota hai
Kab in se judda yeh hota hai
Yeh Dil ko rog lagati hain
Kyun pyaar kiya pachtati hain
YEH AANKHEN BUHAT SATATI HAIN,
Aihad nibhaney waley akser
Majboori ki thaken sey lota kertey hien
Tum jaao aur daria daria piyaas bhoojaao
Jin aankoun mey doobo
Jis dil mey bhi utro
Mey awaz na doungi
Lekin jab meri chahat aur meri khawish
Itni teiz aur itni oonchi ho jaiey
Jab dil ro dey
TAB LOT ANA
AEY MERI MOHABBAT TUM SUN RAHEY HO NA????
HAAN TUM SUN RAHEY HO
KUEN KEY MERA DIL JO RO RAHA HEY
GooD FriendS......!!!!!!
Good Friends Are Hard To Find.
Good Friends Are Easy To Love.
Good Friends Are Presents That
Last Forever And That Feel
Like Gifts From Above
Good Friends Are One In A Million.
Good Friends Are Stories To Share.
Good Friends Know The Path To Your
Happiness, And They Walk With You
All The Way There.
Good Friends Are Lives Overlapping.
Good Friends Are Laughter And Tears.
Good Friends Are Emotions So Deep
That The Trust Just Keeps Growing
Over The Years.
Good Friends Are Hard To Find.
Good Friends Are Easy To Adore.
And You've Been
Such A Good Friend To Me
...That I Could Ask
For Nothing More.
mere aehbab aaye hain
merey paas meri jaan
bohat hamdardion ki aar main
tanz k nashtar chubhone ko
teri chahat se mujh ko bad guman karne
teri khamoshiyon ko bewafaey naam dene
ko
magar kese samajh paian ge yeh nadan
k jis din bad gumani dil main aaye gee
yeh daharken bhi wahin mer jaye gee
an jaoon agar Tum sa, kesa lagega?
Her Pal rahoon Tum se Khafa, kesa lagega?
Parhte ho Mujhe Tum Namazon ki tarah se
Ho jaoon agar Tum se Qaza, Kesa lagega?
Tum Pyar mai khood ko mitaane per ho Raazi
Ban jaye agar Pyar Saza, Kesa lagega?
Khud se b ziada ho Yaqeen Tum ko kisi per
Wo Shakhs hi de jaye Daga, Kesa lagega?
Tum auron ki Mehfil mai Diya ban k jalo
Aur Tanhai mile Tum ko To phir, Kesa lagega?
Ajab pagal si larki hai
Ajab pagal si larki hai
Mujhay her roze kehti hai
Batao kuch naya likha?
Kabhi is say yeh kehta hoon
K main nay nazam likhi hai
Magar unwan daina hai
Bohat baytab hotti hai
Woh kehti hai
Sunao
Main issay acha sa ikl unwan daiti hoon
Woh meri nazam sunti hai
Aur iss ki boalti ankhain
Kissi missra kissi tashbeeh per un muskurati hai
Mujhay lafzoon say kirnain phoothti mehsoos hotti hai
Woh phir iss nazam ko acha sa ik unwan daiti hai
Aur is k akhiri missra k neechay
Ik adaay baynayazi say
Woh apna naam likthi hai
Main kehta hoon
Sunoo
Yeh nazam meri hai
To phir tum nay appnay naam say mansoob ker li hai
Meri yeh baat sun kar uss ki ankhain muskurati hai
Woh kehti hai sunoo
Sadda sa rishta hai
K jaisay tum meray ho is terhan yeh nazam meri hai
Ajab pagal si larki hai
Mein hoon tera khayal hai aur chaand Raat hai...
Dil dard se nidhaal hai aur chaand raat hai...
Aankhon mein chubh gayein teri yaadon ki kirchiyan...
Kandhon pe gham ki shaal hai aur chaand Raat hai...
Dil tor ke khamosh nazaron ko kiya mila...
Shabnam ka ye sawal hai aur chaand Raat hai...
Phir titliyan si urne lagein dasht-e-khuwaab mein...
Phir khuwahish-e-wisaal hai aur chaand Raat hai...
Campus ki nehar per hai tere haath haath mein...
Mausam bhi lazawal hai aur chaand Raat hai...
Har aik kali ne orh liya matami libaas...
Har phool per malaal hai aur chaand Raat hai...
Meri to por por mein khush si bas gayi...
Us per tera khayal hai aur chaand Raat hai...
Chalka sa par raha hai 'wasi' wehshaton ka rang...
Har cheez pe zawwal hai aur chaand Raat hai...
Na koi khuwaab na koi saheli thi...
Is muhabbat mein, mein akeli thi...
Ishq mein tum khaan ke sache the...
Jo azziyat thi hum ne jheli thi...
Yaad ab kuchh nahin raha lekin...
Aik darya tha ya haweli thi...
Jjis ne uljha ke rakh diya dil ko...
Woh muhabbat thi ya paheli thi...
Mein zara si bhi kam wafa kerti...
Tum ne to meri jaan leli thi...
Waqt ke saanp kha gaye us ko...
Mere aangan mein aik chanbeli thi...
Is shab-E-gham mein kis ko batlaoon...
Kitni Roshan meri Hatheli thi...
kal ajab saniha hoa Rait per...
Naam tera likh nahin saka Rait per...
Kis ki awaaz se tham hain qadam...
Phir se kis ne mujhe di sada Rait per...
Us ki aankh se sholey nikalte Rahe...
Naachti reh gayi kal ghata Rait per...
Tu ne jo bhi hawa se kaha Reh gaya...
Mit gaya mein ne jo bhi likha Rait per...
Mein tumhein choomna chahta hoon abhi...
Us ne mujh se ye aik din kaha Rait per...
Ab ye sehra hi tere muqaddar mein hai...
Tune maangi hi kion thi duaa Rait per...
Aik shola utha us jaga se 'wasi'...
Mera ansoo jahan gir gaya Rait per...
Hum tere khuwaab ke darwaze se lag ker soye...
Shehar betaab ke darwaze se lag ker soye...
Aate jaate hoe sab ne humein dekha aur hum...
Dukh ke mehtaab ke darwaze se lag ker soye...
Hum to sehraon ke mausam mein bhi tere baa-is...
Khuwahish-o-khuwaab ke darwaze se lag ker soye...
Maal daron ko bhala chen kahan tha woh to...
Maal-o-asbaab ke darwaze se lag ker soye...
Hum bhi masoon buhat the so buhat muddat tak...
Ya ehbab ke darwaze se lag ker soye...
Mustaqil roti hoi aankhon se liptey hoe khuwaab...
Jaisay selaab ke darwaze se lag ker soye...
Baad mein tera ghum soche ga aakhir ik din...
Kis ke aasaab ke darwaze se lag ker soye...
Gul-e-zaban pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Tumhari "HAAN" pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Darakht per jo kabhi chooriyon se daala tha...
Us aik nishaan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Ye aik hum ke nayi boliyan sada bolein...
Teri zaban pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Sulag rahi hain zehan mein qubayein lafzon ki...
Magar zuban pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Tumhare aane pe Sooraj ke haath chamkenge...
Mere makaan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Har aik simt pighalne lage hain Sannate...
Tere bayan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Jahan jahan teri khushbu ke Rang bikhrey hain...
Wahan wahan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Teri judayi ke pal se hoa hai ishq hunoot...
Ke is jahan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Woh "HAAN" karegi baharon mein us ka wada tha...
Us aik "HAAN" pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Woh mujh ko sonp gaya furqatein december mein...
Darakht-e-jaan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Hamare lab to Duayein jalaye rakhte hain...
Per Asmaan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Har zara-e-umeed se khushbu Nikal aaye...
Tanhayi ke sehra mein agar tu Nikal aaye...
Kaisa laga is baar agar mausam-e-gul mein...
Titli ka badan orh ker jugnu Nikal aaye...
Phir din teri yaad ke munderon pe guzara...
Phir shaam hoi aankh se aansoo Nikal aaye...
Bechain kiye rehta hai dharka yehi jee ko...
Tujh mein na zamane ki koi khoo Nikal aaye...
Phir Dil ne kiya tark-e-taalluq ka irada...
Phir tujh se mulaqat ke pehloo Nikal aaye...
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...
Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain
Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko...
Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain
Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...
Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain
Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain
Zindagi ek sulgati see chita hai `Dosto'...
Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain
Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain..!!
x............x............x
Dil ki baat dil mein na rahe
aankhon ke khwaab aankhon mein na rahe
Dil ki baat isi liye keh di aap ko...
Ke galti se aap kisi aur ke dil mein na rahe..!!
tujh se bicharne ka khayal seh nahi paata
phir bhi dil ki baat keh nahi paata
kyun hain aakhir zindagi mein is qadr majbooriaan
maut bhi nahi aati, zinda bhi reh nahi paata ..!!
Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai
Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe
Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai..!!