dil main sameta hua hai samundar humne dard ka
fir bhi jaane kaise muskura paa rahe hain hum
log kehte hain bade khush hain aap to
wo kya jaane is dil ko kaise jala rahe hain hum
socha tha na girne denge in ashkon ko kabhi
kahi humare ashk na de jaaye unko koi gum
magar kitna piye in ashkon ko
ab to inmain doobte jaa rahe hain hum
toote sapne, bikhri chahat aur bhi bahut kuch mila hume
in tohfon ko daman main samete bas jiye jaa rahe hai hum...
farz karo tum chat per baithe
apne baal sukhatey hoo.
farz karo ke dhoop
ka us din kuch kuch rang gulaabi hooo.
farz karo tum baithe
baithe gehri souch main kho jao.
baal sukhana choord ke sar
ghutnoon pe rakh kar so jao.
farz karo us neend main
tum ne dekha asai sapna hooo.
bekal hokar man ye chahey
kaash ye sapna apna hooooo.
farz karo tum khat likhne ko
kaghaz qalam uthatey hoo.
khat likhne se pehle kaghaz
ko khushboo khoob lagatey hooo.
farz karo alqaab pe aakar
qalam tumhara ruk jaey.
nazar tumhai dhak dhak
karke dil ki janib jhuk jaey.
farz karo aik naam likho
aur likh kar kato phir likho.
farz karo sapne afsane khat
ka naam muhabbat ho.
farz karo hum donon ke dil aik
hi saath dhardakte hooon.
farz karo ye saari baatain
FARZ na karni parti hoon
Mera aina mera aks bhi'
meray meherban ki nazer hua....
meri siskian, meri aarzoo,
meri justujoo, meri chashm e tar, mera her safer'
meri soch k sabhi zaviye'
wo diay jo us nay bujha diay'
meri hastian, meri bastian'
meri shairi, meri raagni'
Meray saath jin ka guzer hua"
MERAY MAHERBAAN KI NAZER HUA!
ye jo ham hijr mein divaar-o-dar ko dekhtey hain
kabhi sabaa ko kabhi naamabar ko dekhtey hain
vo aaye ghar mein hamarey khuda ki Qudrat hai
kabhi ham un ko kabhi apney ghar ko dekhtey hain
Ab koi kiya meray qadmon k nishan dhoonday ga
Tea aandhi main to khemay bhi ukher jatay hain
Shiddat e gham main zinda hun to herat kaisai?
kuch diyay tun hawaon say bhi lar jatay hain
x............x............x
Zara Sambhal kay!
Humare ladkhradene se aapko shikayat thi
Hume kahan girne ki koi chahat thi
Yeh raaste hi kuch dagmaga gayen honge
Varna hume to seedhe hi chalne ki aadat thi
'Dekh ke Chalo'- Yeh toh log sabhi kahte hain
Kuch Gir-ke-sambhalne ki bhi kasam lete hain
Zindagi ki chotton se bachna hai mushkil
Hum toh Sambhal-ke-girne ki nasihat dete hain
Aap kahte hain to hum chale jayenge
Bin mure, seedhi raah nikal jayenge
Diwane dil mein par reh jayegi hasrat
Tumhari kasam hum laut ke phir aayenge!
Kon kehta hai pyaar may pakray jaeen gay?
Waqt aanay per behen bhai ban jaeen gay
Teray husn ki kia taareef karoo?tera bander jaisa mu
Teri zulfo ki kia tareef karoo?teray ek ek baal pe joon
Mohabbat mujhay un jawano se hai
Jo khatay peetay gharano se hain
Aj bagh may kali hai, kal gulaab ho ga
Mujh se shadi karlo,tum ko sawab ho ga
Itnay dino se jalanay nahi aya
Jalti hui aag ko bujhanay nahi aya
Kehta tha saath jiyen gay saath marain gay
Ab rooth gai hoon to ullu ka patha mananay bhi nahi aya.
Jab teri dhun main jiya kartay thay
Hum bhi chup chap phira karat thay
Ankhoo main piyas howa karti thi
Dil main toofan utha kartay thay
Loog atay thay gazal sunnay ko
Hum teri baat kiya kartay thay
Saach samajhtay thay teray wadoon ko
Raat din ghar main raha kartay thay
Kisi weeranay main tujh say mil kar
Dil main kiya phool khila kartay thay
Ghar ki deewar sajanay ki khatir
Hum tera naam likha kartay thay
Raat bhar rootay thay teri khatir
Aur tujhay khat likha kartay thay
Kal tujhay deekh kar yaad aya
Hum bhi mohabbat kiya kartay thay