Logo

~ LG’s Poetry Compilation ~

Pyaar Bina Jeena (1)

Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki
us ke bina jiya nahi ja sakta.

Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai
kal ka kya pata, waqt kahan le jayega



Posted on 8/5/2007 4:51:07 PM

London_Girl:
Pyaar Bina Jeena (1)

Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki
us ke bina jiya nahi ja sakta.

Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai
kal ka kya pata, waqt kahan le jayega



bacha shub shub bolo itne dukhi batayn achi nahin

Posted on 8/6/2007 1:51:27 AM

London_Girl:
Ishq Vishq Pyaar Vyaar

Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye

Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
Main Tanha Gunahgar To Nahi

Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai
Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai

Duniya bhar ki khushiyan hamare saath chali
Qadam mila ke jo hamare saath aap chali

Haath deewane ke de allah kuch aisi qalam,
Aasman par likh ke jaoon hai unhi se pyaar hai

zabardast wesay yeh charagh din ko jalanay ka faida?

Posted on 8/6/2007 1:52:57 AM

London_Girl:
Nazar milaa ke humse nazar mat chura lena,
dost bana ke humko dushman mat bana dena.
Mana ki hum dur hai aapse,
isi baat ko bahana banakar hum ko mat bhula dena


2good koi or bana leyia to?

Posted on 8/6/2007 1:54:27 AM

tughe mugh say mughko tugh say boht hi pyiar hota
na tughay qarar hota na mughay qarar hota
tera har marz uljhta meri janay natwa say
jo tughay zukam hota to mughay bukhar hota
jo mein tughay yad karta to tughay chenkna bhi parta
yaqinan mera bhi kuch yehi hal hota
kisi chownk mein lagatay koi churion ka khoka
teray shehar mein apna bhi koi karobar hota

Posted on 8/6/2007 1:57:45 AM

tum meray dil mein samao to koi bat bane
phir kabhi dor na jayio to bat bane
pyiar kehnay say to bat nahin banti
pyiar kar kay dikhayio to koi bat bane
hum to chup chap say rehtay hein mager
tum kabhi a kay hansao to bat bane
sath daynay ki to sab bat kartay hein
tum ager sath nibhayio to bat bane
rotho so bar humko shikayet na hoge
roth kar man bhi jayio to bat bane
yeh ankhayn har dum udas raha karti hein
in mein koi khuwab sajayio to bat bane

Posted on 8/6/2007 5:52:14 PM

mmja:
London_Girl:
Pyaar Bina Jeena (1)

Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki
us ke bina jiya nahi ja sakta.

Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai
kal ka kya pata, waqt kahan le jayega



bacha shub shub bolo itne dukhi batayn achi nahin





Posted on 8/7/2007 11:29:33 PM

mmja:
London_Girl:
Ishq Vishq Pyaar Vyaar

Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye

Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
Main Tanha Gunahgar To Nahi

Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai
Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai

Duniya bhar ki khushiyan hamare saath chali
Qadam mila ke jo hamare saath aap chali

Haath deewane ke de allah kuch aisi qalam,
Aasman par likh ke jaoon hai unhi se pyaar hai

zabardast wesay yeh charagh din ko jalanay ka faida?


aik wish puri kernee hae

Posted on 8/7/2007 11:30:02 PM

mmja:
London_Girl:
Nazar milaa ke humse nazar mat chura lena,
dost bana ke humko dushman mat bana dena.
Mana ki hum dur hai aapse,
isi baat ko bahana banakar hum ko mat bhula dena


2good koi or bana leyia to?


nai bana sakti

Posted on 8/7/2007 11:30:28 PM

mmja:
tughe mugh say mughko tugh say boht hi pyiar hota
na tughay qarar hota na mughay qarar hota
tera har marz uljhta meri janay natwa say
jo tughay zukam hota to mughay bukhar hota
jo mein tughay yad karta to tughay chenkna bhi parta
yaqinan mera bhi kuch yehi hal hota
kisi chownk mein lagatay koi churion ka khoka
teray shehar mein apna bhi koi karobar hota




Posted on 8/7/2007 11:30:42 PM

mmja:
tum meray dil mein samao to koi bat bane
phir kabhi dor na jayio to bat bane
pyiar kehnay say to bat nahin banti
pyiar kar kay dikhayio to koi bat bane
hum to chup chap say rehtay hein mager
tum kabhi a kay hansao to bat bane
sath daynay ki to sab bat kartay hein
tum ager sath nibhayio to bat bane
rotho so bar humko shikayet na hoge
roth kar man bhi jayio to bat bane
yeh ankhayn har dum udas raha karti hein
in mein koi khuwab sajayio to bat bane




Posted on 8/7/2007 11:30:59 PM

Har Ik Jurm Ki Saza Khuda Deta Hai


Har ik jurm ki saza khuda deta hai
Meri to vafa ki bhi saza deta hai

Na ho jaaooN kaheen jist men ishq ka kayal
Junoon-e-ishq men koi dagha deta hai

Hazaron hasraton se thake insane ko
Sulane ke liye khuda kaza deta hai

Naheen jata hai khali nishana unka
Haseenon ko khuda ye kaisi ada deta hai

Main teri bazm ka diwana naheen hoon
Kyoon koi door se nujhko sadaa deta hai

Mujhe manzoor hai mere katel khata meri
Ishq men aakhir kateel hi saza deta hai

Tammana marne ki jab bhi main karta hoon
Kyoon Koi dil se jine ki dua deta hai

waqte aakhir bujh gayi dil ki aatish ay “khalish”
Ab kyoon koi ise daman ki hawa deta hai ?

Posted on 8/7/2007 11:31:28 PM

Ye Kahan Aagya Main,
Ye Mera Jahan Toh Nahin,
Naa Ganga Ka Tat Hain,
Naa Himaachal Ka Aanchal,
Naa Gomti Ka Kinara,
Naa Kashmir Ki Vaadiya.

Ye Kahan Aagya Main,
Ye Mera Jahan Toh Nahin,
Naa Diwali Ke Diye Hain,
Naa Holi Ke Rang
Naa Navratri Kee Dhoom
Na Lodhi Kie Revadiya.

Ye Kahan Aagya Main,
Ye Mera Jahan Toh Nahin,
Naa Kabir kee Vani Hain,
Naa Mera Kee Bhakti,
Na Bhagirath Ka Nishchay
Na Prahlad Ki Shakti.

Ye Kahan Aagya Main,
Ye Mera Jahan Toh Nahin,
Naa Ganne Ke Khet Haina,
Naa Aam Ke Bagh Main Ladke,
Naa Bairon Se Lade Pead,
Naa Kronde Khati Ladkiya.

Ye Kahan Aagya Main,
Ye Mera Jahan Toh Nahin.....

Posted on 8/8/2007 9:32:45 PM

woh karte hain baat saaloan ki,
hum to sadiyoan se jaante hain,
woh kehte hain awaz pehchan li,
arae hum to sansaen bhi pehchante hain

Posted on 8/8/2007 9:48:30 PM

We need the choas.
Because now we sit here letting our keen smarts rots.
We need to have the fear again so we can think harder.
to think harder means to succeed furthur.
The worlds end is coming and no on knows.
And we become lazier and it shows.

so let the lord smight our souls for we deserve it.
lets start thinking again before we have regret.
so lets have some fun and fear the darkes show around.
because it will catch us beofor its found.

Be scared and used that god given brain.
because its good to have the pain and strain.
You may lose you mind.
but it will all be over soon in time.
and that you can find.

Posted on 8/8/2007 9:54:05 PM

JEEVAN MAIN SABSE BURI BAAT...
KISI KI AANKHO ME AANSU HONA AAPKI WAJAH SE,
OR SABSE PYAARI BAAT...
KISI KI AANKHO ME AANSU HONA AAPKE LIYE.

Posted on 8/8/2007 9:57:53 PM

V COOL

Posted on 8/9/2007 7:07:44 AM

thanx

Posted on 8/10/2007 6:19:36 PM

LG, VERY NICE COLLN

Posted on 8/11/2007 6:59:34 AM


Posted on 8/11/2007 8:18:29 PM

London_Girl:
mmja:
London_Girl:
Ishq Vishq Pyaar Vyaar

Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye

Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
Main Tanha Gunahgar To Nahi

Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai
Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai

Duniya bhar ki khushiyan hamare saath chali
Qadam mila ke jo hamare saath aap chali

Haath deewane ke de allah kuch aisi qalam,
Aasman par likh ke jaoon hai unhi se pyaar hai

zabardast wesay yeh charagh din ko jalanay ka faida?

inshalah apki wish zaror pori hoge

aik wish puri kernee hae

Posted on 8/12/2007 1:39:59 AM

London_Girl:
JEEVAN MAIN SABSE BURI BAAT...
KISI KI AANKHO ME AANSU HONA AAPKI WAJAH SE,
OR SABSE PYAARI BAAT...
KISI KI AANKHO ME AANSU HONA AAPKE LIYE.

lo karlo gal result to same hi hai.

Posted on 8/15/2007 2:44:22 PM

London_Girl:
We need the choas.
Because now we sit here letting our keen smarts rots.
We need to have the fear again so we can think harder.
to think harder means to succeed furthur.
The worlds end is coming and no on knows.
And we become lazier and it shows.

so let the lord smight our souls for we deserve it.
lets start thinking again before we have regret.
so lets have some fun and fear the darkes show around.
because it will catch us beofor its found.

Be scared and used that god given brain.
because its good to have the pain and strain.
You may lose you mind.
but it will all be over soon in time.
and that you can find.

good good lakin sochay kon mein to apnay mind ko porana nahin karna chata.

Posted on 8/15/2007 2:46:36 PM

London_Girl:
woh karte hain baat saaloan ki,
hum to sadiyoan se jaante hain,
woh kehte hain awaz pehchan li,
arae hum to sansaen bhi pehchante hain

tauba tauba devi je tum sadyion porani ho haye ne kuriay kuch khyial kar evan di gula na kar nai tay weyia nahin hona

Posted on 8/15/2007 2:49:10 PM

London_Girl:
Ye Kahan Aagya Main,
Ye Mera Jahan Toh Nahin,
Naa Ganga Ka Tat Hain,
Naa Himaachal Ka Aanchal,
Naa Gomti Ka Kinara,
Naa Kashmir Ki Vaadiya.

Ye Kahan Aagya Main,
Ye Mera Jahan Toh Nahin,
Naa Diwali Ke Diye Hain,
Naa Holi Ke Rang
Naa Navratri Kee Dhoom
Na Lodhi Kie Revadiya.

Ye Kahan Aagya Main,
Ye Mera Jahan Toh Nahin,
Naa Kabir kee Vani Hain,
Naa Mera Kee Bhakti,
Na Bhagirath Ka Nishchay
Na Prahlad Ki Shakti.

Ye Kahan Aagya Main,
Ye Mera Jahan Toh Nahin,
Naa Ganne Ke Khet Haina,
Naa Aam Ke Bagh Main Ladke,
Naa Bairon Se Lade Pead,
Naa Kronde Khati Ladkiya.

Ye Kahan Aagya Main,
Ye Mera Jahan Toh Nahin.....
na aam kay bagh mein ladke ?devi je kin chakron mein ho guru je ko pata chal geyia na to shama mangti phiroge balki esay vichar chor kay bhgvan ki tapsia karo mera asharwad tumharay sath hai.

Posted on 8/15/2007 2:54:20 PM

London_Girl:
Har Ik Jurm Ki Saza Khuda Deta Hai


Har ik jurm ki saza khuda deta hai
Meri to vafa ki bhi saza deta hai

Na ho jaaooN kaheen jist men ishq ka kayal
Junoon-e-ishq men koi dagha deta hai

Hazaron hasraton se thake insane ko
Sulane ke liye khuda kaza deta hai

Naheen jata hai khali nishana unka
Haseenon ko khuda ye kaisi ada deta hai

Main teri bazm ka diwana naheen hoon
Kyoon koi door se nujhko sadaa deta hai

Mujhe manzoor hai mere katel khata meri
Ishq men aakhir kateel hi saza deta hai

Tammana marne ki jab bhi main karta hoon
Kyoon Koi dil se jine ki dua deta hai

waqte aakhir bujh gayi dil ki aatish ay “khalish”
Ab kyoon koi ise daman ki hawa deta hai ?

2 good or han end mein acha q keyia hai apnay accounting kay sir say poch kay batyionga preshan na hona mein hoon na

Posted on 8/15/2007 2:57:08 PM

Mohabbat mar nahi sakti
Mohabbat Zinda rehti hai


Mohabbat kam nahi hoti
Mohabbat barhti rehti hai

Magar itna yaqeen to ho
Ke tum ko bhi Mohabbat hai

Magar mujh ko yaqeen hai yeh
Ke mujh ko to Mohabbat hai

Agar tum ko nahi to kya
Tumhain bhi ho hi jaye gi

Churao Laakh tum nazrein
Kahin tum jaa nahi sakte

Meri Chahat ki shiddat ko
Yun hi thukra nahi sakte

Nahi tum jaa nahi sakte
Mujhe khud per bharosa hai

Aur Chahat per yaqeen sa hai
Ke tum ko laut aana hai

Meri Chahat ki shiddat
Tumhain bhi khench laayegi

Tumhain bhi ek na ek din
Mohabbat ho hi jaye gi ...

Posted on 8/15/2007 2:58:07 PM

unn ki yaadon k jo aakhri the nishaan,
dil tarapta raha hum mitaate rahe,
khat likhe the jo us ne kabhi pyar men,
unko parhte rahe aur jalaate rahe,

unn pe khushion k baadal baraste rahe,
hasraton k mujhe naag daste rahe,
main idher khilwatoon main tarapta raha,
woh udher mehfilon ko sajaate rahe,

main jidher bhi gaya jis taraf bhi gaya,
roog hi roog the soog hi soog the,
woh bhi the loog jo zakhm dete rahe,
woh bhi the loog jo zakhm khaate rahe,

kuchh to murda parasti ka dastoor tha,
yun bhi har koi rasmoon se majboor tha,
zinda loogon k ghar main andhera raha,
loog kabron pe shammen jalaate rahe,

haye woh pyar k pur-khatar silsile,
uff woh nakamiyyon k kathan marhale,
ghair to ghair hain unse shikwa hi kia,
hum se apne bhi nazren churaate rahe,

laakh samjhaya ''sadiq'' ne tum ko sanam,
aaj kal pyar ki jins nayyab hai,
paaglon ki tarah tum nagar-dar-nagar,
khaak gallion men yunhi urrate rahe

Posted on 8/15/2007 2:59:54 PM

Hum use bhula kar bhi nahi ji sake,
hum use yaad rakh kar bhi nahi ji sake,
mar jaate kabke unke bina
par unki baaho ke bina mar bhi nahi sakte.



Mohabbat ke bhi kuch andaz hote hai,
jagti ankhon me bhi kuch khawb hote hai,
zaruri nahi ki gum me hi ansu nikle,
muskurati ankhon me bhi sailab hote hain.



Ae palak tu band ho ja,
khwabo mein unki surat to nazar aayegi,
intezar to subah dubara shuru hoga,
kam se kam raat to khushi se kat jayegi.



Yeh dekha hai humne aazmakar,
dhoka dete hai log aksar kareeb aakar,
kehti hai duniya par yeh dil nahi maanta
ki chod jaoge tum bhi ek din apna banakar.


Tere hote hue bhi tanhai mili hai,
wafa karke bhi bewafai mili hai,
jitni dua ki tumhe pane ki,
us se jyada teri judai mili hai.




Dil ke jhakhmo ko unse chupana pada,
palke bhigi thi par muskurana pada,
kaise ulte hain mohabbat ke ye riwaz,
Roothna chahte the par unko manana pada.




Unke pyar me humari zindagi kat rahi he mehkhane me,
na humne kuch kaha,
na unhone kuch kaha,
fir unhe kyon he shikayat humari zindgani se.



Ghum ye nahi ki aapne humse pyaar karna chod diya hai,
magar gum yeh hai ki aapne aaj kal humse nafrat karna bhi chod diya hai.


Tum kya jano kya hoti hai tanhai,
is tute hue patte se puch kya hoti hai judai.
Yun bewafa ka ilzaam na de zalim,
is waqt se puch ke kis waqt teri yaad na aayi.



Nafrat thi meri zindagi se to ulfat kyon ki,
dena tha zehar to mohabbat kyon ki,
dete ho zehar to kehte ho pina hoga,
pita hu zehar to kehte ho jeena hoga.



Kabar ki mitti utha le gaya koi,
usi bahane hume chukar gaya koi,
tanhai aur andhere me khush the hum,
lekin phir se intezar karne ki wajah de gaya koi.



Na kabhi ye chupaya ki pyar kitna hai,
na kabhi ye jataya ki dard kitna hai,
bus ek hume aur uss khuda ko hai maloom,
tujhse mulakat ka intezar kitna hai.



Hum phir bewafa se rishta bana baithe,
phir unki saadgi se dhoka kha baithe,
pathron se hai taalukaat apna,
phir bhi sheeshe ka ghar bana baithe

Posted on 8/15/2007 3:05:48 PM

^dewaja^:
LG, VERY NICE COLLN


thankooooooo

Posted on 8/15/2007 5:01:45 PM