Ishq Vishq Pyaar Vyaar
Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye
Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
Main Tanha Gunahgar To Nahi
Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai
Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai
Duniya bhar ki khushiyan hamare saath chali
Qadam mila ke jo hamare saath aap chali
Haath deewane ke de allah kuch aisi qalam,
Aasman par likh ke jaoon hai unhi se pyaar hai
zabardast wesay yeh charagh din ko jalanay ka faida
aik wish puri kernee hae![]()
inshalah apki wish zaror pori hoge
thanxxxxxxxxx
JEEVAN MAIN SABSE BURI BAAT...
KISI KI AANKHO ME AANSU HONA AAPKI WAJAH SE,
OR SABSE PYAARI BAAT...
KISI KI AANKHO ME AANSU HONA AAPKE LIYE.
lo karlo gal result to same hi hai.
We need the choas.
Because now we sit here letting our keen smarts rots.
We need to have the fear again so we can think harder.
to think harder means to succeed furthur.
The worlds end is coming and no on knows.
And we become lazier and it shows.
so let the lord smight our souls for we deserve it.
lets start thinking again before we have regret.
so lets have some fun and fear the darkes show around.
because it will catch us beofor its found.
Be scared and used that god given brain.
because its good to have the pain and strain.
You may lose you mind.
but it will all be over soon in time.
and that you can find.
good good lakin sochay konmein to apnay mind ko porana nahin karna chata.
woh karte hain baat saaloan ki,
hum to sadiyoan se jaante hain,
woh kehte hain awaz pehchan li,
arae hum to sansaen bhi pehchante hain
tauba tauba devi je tum sadyion porani ho haye ne kuriay kuch khyial kar evan di gula na kar nai tay weyia nahin hona![]()
Har Ik Jurm Ki Saza Khuda Deta Hai
Har ik jurm ki saza khuda deta hai
Meri to vafa ki bhi saza deta hai
Na ho jaaooN kaheen jist men ishq ka kayal
Junoon-e-ishq men koi dagha deta hai
Hazaron hasraton se thake insane ko
Sulane ke liye khuda kaza deta hai
Naheen jata hai khali nishana unka
Haseenon ko khuda ye kaisi ada deta hai
Main teri bazm ka diwana naheen hoon
Kyoon koi door se nujhko sadaa deta hai
Mujhe manzoor hai mere katel khata meri
Ishq men aakhir kateel hi saza deta hai
Tammana marne ki jab bhi main karta hoon
Kyoon Koi dil se jine ki dua deta hai
waqte aakhir bujh gayi dil ki aatish ay “khalish”
Ab kyoon koi ise daman ki hawa deta hai ?
2 good or han end mein acha q keyia hai apnay accounting kay sir say poch kay batyionga preshan na hona mein hoon na![]()
Mohabbat mar nahi sakti
Mohabbat Zinda rehti hai
Mohabbat kam nahi hoti
Mohabbat barhti rehti hai
Magar itna yaqeen to ho
Ke tum ko bhi Mohabbat hai
Magar mujh ko yaqeen hai yeh
Ke mujh ko to Mohabbat hai
Agar tum ko nahi to kya
Tumhain bhi ho hi jaye gi
Churao Laakh tum nazrein
Kahin tum jaa nahi sakte
Meri Chahat ki shiddat ko
Yun hi thukra nahi sakte
Nahi tum jaa nahi sakte
Mujhe khud per bharosa hai
Aur Chahat per yaqeen sa hai
Ke tum ko laut aana hai
Meri Chahat ki shiddat
Tumhain bhi khench laayegi
Tumhain bhi ek na ek din
Mohabbat ho hi jaye gi ...
![]()
unn ki yaadon k jo aakhri the nishaan,
dil tarapta raha hum mitaate rahe,
khat likhe the jo us ne kabhi pyar men,
unko parhte rahe aur jalaate rahe,
unn pe khushion k baadal baraste rahe,
hasraton k mujhe naag daste rahe,
main idher khilwatoon main tarapta raha,
woh udher mehfilon ko sajaate rahe,
main jidher bhi gaya jis taraf bhi gaya,
roog hi roog the soog hi soog the,
woh bhi the loog jo zakhm dete rahe,
woh bhi the loog jo zakhm khaate rahe,
kuchh to murda parasti ka dastoor tha,
yun bhi har koi rasmoon se majboor tha,
zinda loogon k ghar main andhera raha,
loog kabron pe shammen jalaate rahe,
haye woh pyar k pur-khatar silsile,
uff woh nakamiyyon k kathan marhale,
ghair to ghair hain unse shikwa hi kia,
hum se apne bhi nazren churaate rahe,
laakh samjhaya ''sadiq'' ne tum ko sanam,
aaj kal pyar ki jins nayyab hai,
paaglon ki tarah tum nagar-dar-nagar,
khaak gallion men yunhi urrate rahe![]()
Hum use bhula kar bhi nahi ji sake,
hum use yaad rakh kar bhi nahi ji sake,
mar jaate kabke unke bina
par unki baaho ke bina mar bhi nahi sakte.
Mohabbat ke bhi kuch andaz hote hai,
jagti ankhon me bhi kuch khawb hote hai,
zaruri nahi ki gum me hi ansu nikle,
muskurati ankhon me bhi sailab hote hain.
Ae palak tu band ho ja,
khwabo mein unki surat to nazar aayegi,
intezar to subah dubara shuru hoga,
kam se kam raat to khushi se kat jayegi.
Yeh dekha hai humne aazmakar,
dhoka dete hai log aksar kareeb aakar,
kehti hai duniya par yeh dil nahi maanta
ki chod jaoge tum bhi ek din apna banakar.
Tere hote hue bhi tanhai mili hai,
wafa karke bhi bewafai mili hai,
jitni dua ki tumhe pane ki,
us se jyada teri judai mili hai.
Dil ke jhakhmo ko unse chupana pada,
palke bhigi thi par muskurana pada,
kaise ulte hain mohabbat ke ye riwaz,
Roothna chahte the par unko manana pada.
Unke pyar me humari zindagi kat rahi he mehkhane me,
na humne kuch kaha,
na unhone kuch kaha,
fir unhe kyon he shikayat humari zindgani se.
Ghum ye nahi ki aapne humse pyaar karna chod diya hai,
magar gum yeh hai ki aapne aaj kal humse nafrat karna bhi chod diya hai.
Tum kya jano kya hoti hai tanhai,
is tute hue patte se puch kya hoti hai judai.
Yun bewafa ka ilzaam na de zalim,
is waqt se puch ke kis waqt teri yaad na aayi.
Nafrat thi meri zindagi se to ulfat kyon ki,
dena tha zehar to mohabbat kyon ki,
dete ho zehar to kehte ho pina hoga,
pita hu zehar to kehte ho jeena hoga.
Kabar ki mitti utha le gaya koi,
usi bahane hume chukar gaya koi,
tanhai aur andhere me khush the hum,
lekin phir se intezar karne ki wajah de gaya koi.
Na kabhi ye chupaya ki pyar kitna hai,
na kabhi ye jataya ki dard kitna hai,
bus ek hume aur uss khuda ko hai maloom,
tujhse mulakat ka intezar kitna hai.
Hum phir bewafa se rishta bana baithe,
phir unki saadgi se dhoka kha baithe,
pathron se hai taalukaat apna,
phir bhi sheeshe ka ghar bana baithe
n nice work
mmja
lg ka topic mai mmja ka kam wah wah![]()
thansk lg and fg
Dard Ko Na Dekhiye Dard Se,
Dard Ko Bhi Dard Hota Hai,
Dard Se Dard Ko Bhi Zarrurat Hai Zindagi Ki,
Akhir Zindagi Me Dard Hi Toh Humdard Hota Hai...
woh karte hain baat saaloan ki,
hum to sadiyoan se jaante hain,
woh kehte hain awaz pehchan li,
arae hum to sansaen bhi pehchante hain
woh karte hain baat saaloan ki,
hum to sadiyoan se jaante hain,
woh kehte hain awaz pehchan li,
arae hum to sansaen bhi pehchante hain
![]()
![]()
LG![]()
![]()
umar bhar ka bandhan pal bhar mein toot jata hai
soch kay badlnay mein deer kitni lagti hai
jab huwa mukhalif ho,moj mein saminder ho
kashteyian ultnay mein deer kitne lagti hai
koi faryiad teray dil mein dabi ho jesay
tonay ankhon say koi bat kahi ho jesay
har mulaqat pay yehi mehsos hota hai
mugh say kuch teri nazir poch rahi ho jesay
rah chaltay huway aksar yeh gumah hota hai
woh nazir chupkay mughay daykh rahi ho jesay
ik lamhay mein samit ayia hai sadyion ka safir
zindgi tez boht tez chali ho jesay
daricha khol kay rakho sabah nay ana hai
abhi bhar ki pehli hawa nay ana hai
tumhay shumar karayngay loog ab fakiron mein
tumharay dar pay bhala kis gada nay ana hai
hum iski rah mein diwar ik khari kar dayn
sawal yeh hai kay kidhar say qaza nay ana hai
hamari charahgri ko deyiare ghurbat mein
khud asmaa say utar kay khuda nay ana hai
nagar gosh bar awaz har qadam rehna
kisi tsarif say to uski sada nay ana nai
i have lost myself in haze
covered with fatal smoke
it is all around me
that i could hardly breath
my heart stops the beat
and my eyes have fearful desire
a pinching thirst on my lips
i am desolate in my pain and misery
and thier is no yearning to gratily
althuough i am bounded with relations
but thay all are strangers
i am no longer familiar to them
i have lost myself in haze
covered with fatal smoke
it is all around me
oh GOD,could i be senseless to this feeling
please grant peace to my soul
that i may not cry while laughing
an live calmy like others
without being engrossed in dreams
oh GOD,i could hardly breath
my heart stops the beat.