Logo

~ Poet of the Month ~ (June 2007)


Posted on 6/14/2007 9:28:54 PM


Posted on 6/14/2007 9:30:35 PM


Posted on 6/14/2007 9:33:17 PM


Posted on 6/15/2007 11:16:30 AM


Posted on 6/15/2007 9:21:34 PM


Posted on 6/15/2007 9:23:53 PM


Posted on 6/15/2007 9:26:56 PM


Mujhay tum yaad aatay ho

Kahin baarish baras jae

Kahin sehra taras jae

Kahin kaali ghata utray

Kahin baad-e-saba thehray

Tumharay aur meray darmiyan

Aa'kar Khuda thehray

To meri zindagi kay awwal-o-aakhir

Tum is lamhey

Khuda kay baad aatay ho

Mujhay tum yaad aatay ho...

Posted on 6/16/2007 9:23:44 AM


aag ho to jalanay main dair kitni lagti hai
barf ke pighlanay main dair kitni lagti hai

chaahe koi ruk jaaye chaahe koi rah jaaye
qaafilon ko chalanay main dair kitni lagti hai

chaahe koi jaisaa bhii ham safar ho sadiyon say
raastaa badalane main der kitni lagtii hai

ye to waqt ke bas mein hai ke kitnii mohlat day
varnaa bakht Dhakane main dair kitnii lagti hai

mom kaa badan lekar dhuup main nikal aanaa
aur phir pighalne main dair kitni lagtii hai

soch kii zaminon main raaste judaa hon to
door jaa nikalne main dair kitni lagti hai

Posted on 6/16/2007 9:57:33 AM

Good Addition R.M.D & QV

Posted on 6/16/2007 6:22:42 PM


Posted on 6/16/2007 10:05:09 PM


Posted on 6/16/2007 10:06:09 PM


Posted on 6/16/2007 10:06:47 PM

samay samay kii Khalish me.n teraa malaal rahe
judaa_iiyo.n me.n bhii yuu.N aalam-e-visaal rahe

anaa kii jang me.n ham jiit to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak niDhaal rahe

raah-e junuu.N me.n yahii zaad-e-raah hotaa hai
ke justajuu ba.De divaanagii bahaal rahe

hasii.n raate.n bhii mahake.n tumhaarii yaado.n se
ka.De dino.n me.n bhii pal pal teraa Khayaal rahe

tuu ek baar zaraa kishtiyaa.N jalaa to sahii
hai kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahe


Posted on 6/17/2007 9:38:03 PM


Posted on 6/17/2007 10:05:07 PM


Posted on 6/17/2007 10:06:46 PM


Posted on 6/18/2007 11:13:32 PM


Posted on 6/18/2007 11:14:23 PM


Posted on 6/19/2007 4:37:03 AM


titlion k mosam mein
nochna gulabon ka
reet is nagar ki hai
aur jane kab se ha
daikh ker parindon ko
bandhna nishanon ka
reet is nagar ki hai
aur jane kab se hai
sheher kay ye bashinday
nafraton ko bo kar bhi
intizar kerte hain
fasal ho mohabbat ki
chor ker haqeeqat ko
dhoondna sarabon ka
reet is nagar ki hai
aur jane kab se hai
tum abhi naey ho na
is liye pareshan ho
aasman ki janib tum
is tarha se mat daikho
aafatain jab aani hon
tootna sitaron ka
reet is nagar ki ha
aur jane kab se ha


Posted on 6/19/2007 12:28:56 PM


Posted on 6/19/2007 10:24:38 PM


Posted on 6/19/2007 10:25:18 PM


Laakh doori ho magar ehad nibhatay rehna
Jab bhi barish ho mera soag manatay rehna

Tum gae ho to sar-e-sham yeh aadat thehri
Bas kinaray pe kharay haath hilatay rehna

Janay iss dil ko yeeh aadab kahan say aae
Os ki raahon main nigahon ko bichatay rehna

Ik muddat sai yeh mamool howa hai ab to
Aap hi roothna aur aap hi manatay rehna

Tum ko maloom hai farhat yeh pagal pan hai
Door jatay howay logon ko bulatay rehna


Posted on 6/20/2007 10:34:56 AM


Posted on 6/20/2007 9:40:37 PM


Posted on 6/20/2007 9:41:42 PM





                   royaa afghan......

Posted on 6/22/2007 7:11:16 PM

roya this topic is for Farhat Abbas Shah

Posted on 6/22/2007 9:16:11 PM


Posted on 6/22/2007 10:05:05 PM


Posted on 6/22/2007 10:06:39 PM

QUEEN VICTORIA:
roya this topic is for Farhat Abbas Shah

Posted on 6/23/2007 12:04:05 AM