Thatharti aabsharoon main bujhi thandi hawa sehna,
Shaboon kay gumbadoon main goonjti baichainioon kay darmiaan rehna,
Har ik mausam ko apnay androoni mausamoon ki zad main lay aana,
Kabhi mil kay kisi say
Baikhabar adhay samandur taq safar karna,
Kabhi tanha kisi sahil pay aa kay dair taq lehroon ko gin’na,
Aur khala’ main daikhtay rehna, muhabbat hai.
Kisi khoiy howay ko ghair iradi tor par
Har ajnabi chehray main aksar dhoondtay rehna,
Hamaisha baikhayali main
Kitaboon, chaand, taroon, badloon par
Iskay baray, jhilmilati baat likh daina
Ya phir likh kay mita daina,
Kabhi rungoon ki lehroon par
Usay baysaut hontoon say sada daina,
Sada ko bazgasht aur goonj main dhal kar
Khalaoon say tahi daman palat’tay daikhna
Aur phir sada daina,
Muhabbat hai.
Main kia likhoon,
Kabhi aisa bhi hota hai
Bohut say rooth kay naraaz ho kar
Napasandeeda khayaloon, tabsaroon ki oot say,
Ya mukhtalif heeloon bahanoon say
Kisi ko jhanktay rehna,
Kisi ko soochtay rehna,
Wo manay ya na manay bas usay likhtay rehna,
Muhabbat hai!!
(Farhat Abbas Shah)
Posted on 7/1/2007 10:20:56 PM