Aasmaan Ko Neend Aaye To Sulaayein Kahan
Dharti Ko Maut Aaye To Dafnaayein Kahan
Saagar Mein Lehar Aaye To Chupaaein Kahan
Hume Aapki Yaad Aaye To Jaayein Kahan!!
Kahan koi aisa mila jis par duniya luta dete,
Har ek ne dhoka diya kis kis ko bhula dete,
Apne dil ka zakhm dil me hi dabaye rakha,
Karte bayan to mehfil ko rula dete
ZINDAGI KISI KI MOHTAJ NAHI HOTI
DOSTI SIRF JAZBAAT NAHI HOTI
KUCH TO KHAYAL AAYA HOGA KHUDA KO, VARNA
YUNHI APAKI HUM SE MULAKAT NA HOTI.
CHAHANE SE KOI CHIZ APNI NAHI HOTI
HAR MUSKAN KHUSHI NAHI HOTI,
KEHNA TO CHHAHTE HAIN BAHOT KUCH, MAGAR
KABHI ALFAZ TO KABHI ZUBAN SATH NAHI HOTI
YAAD KARTA HAIN AAPKO TANHAI MEIN
DIL DOOBA HAIN GAMO KI GEHRAI MEIN,
HAMEIN MAT DHOONDHO DUNIYA KI BHID MEIN,
HUM TO MILLENGE AAPKO AAPKI PARCHHAI MEIN
In jheel si gehri aankhoon main
In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho
is jheel kinaray pal do pal
ik khawab ka neela phool khilay
wo phol baha dain lehroon main
ik rooz kabhi hum sham dhalay
is phol k behtay rangoon main
jis waqt larazta chand chalay
us waqt kahin un aankhoon main is basray pal ki yaad to ho
In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho
phir chahay omer samander ki
her maoj parayshan ho jaye
phir chahay aankh darechay say
her khawab gurayzaan ho jaye
phir chahay phool k chehray ka
her dard nomayan ho jaye
is jheel kinaray pal do pal wo roop nagar eejad to ho
din raat k is aaeynay say wo aks kabhi aazad to ho
In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho