Logo

Interview of Molvi Umar


Last night Molvi Umar ka interview aik news channel per aa raha tha... ghaliban "Waqt News" ya "Express News" per

jab main nay dekhna shuru kia us waqt interview ka end chal raha tha...

Jab un sai sawal pocha gya keh Khud Kush hamlay jaez hain...
to jawab dia... Jee haan... Khud kush hamlay jaiz hain...

Kesay?
jawab mila... keh hamaray khud kush hamla awar yeh niyyat kar kay nahi jatay keh woh musalmanon ko marain gay... un ki niyat murtid ko marnay ki hoti hai...

ab unn kay nazdeek murtid kon hai... jo apnay musalman bhai per is niyat sai hamla karta hai keh main apnay musalman bhai ko maron ga...

jab yeh pocha gya keh jo begunah aur masom log mar jatay hain khud kush hamlay mai us per kya kahain gay...
to jawab mai aik hadith paish kar di jis ka matan kuch is tarah tha keh aik giroh ae ga to Khana kaaba per hamla karay ga... aur sab ko zinda dafna dai ga... sahabi nay pocha keh us mai no masoom log aur auratain bhi hon gi to yeh farmaya gya keh un ko qayamat kay din apni niyat ka ajar milay ga...


Posted on 9/4/2008 11:47:46 AM



ufffff kidher se kidher nikal gayen hain hamarey islami log



ALLAH ji in ko akal atta farmayne ( AMEEN)

Posted on 9/4/2008 12:09:04 PM


apnay matlab ki baat kahan sai nikal li...

Khud bhi gumraaah hain aur baqi logon ko bhi gumraaah kar rahay hain...


Posted on 9/4/2008 12:22:03 PM


bilkul sahi kaha

aik cheez ko diff diff tarhan translate kia jata hai

aur orignal matlb tu rehta nai ...

ab tu esi kisi baat ko suntye huye bhi dar lagta hai


bahut ghatya mazak ker rahye hain yeh log

Posted on 9/4/2008 12:25:51 PM


paa G... ap isay mazak keh rahay hain...???

yeh log deen ko bigaaar kar paish kar rahay hain...

anay wali nasal ko asal deen ka pata hi nahi ho ga... kyoun k un kay bazurgon ko nahi pata...

Posted on 9/4/2008 12:28:24 PM

tu wohi tu keh raha hon ke bahut ghatya mazak hia yeh tu

deen ke sath mazak ker rahye hain

apni akhrat ke sath mazak ker rahye hain


ALLAH ji in logo se hum ko bachye aur jo log in ke chungal main phans chukye hain un ko haqeeqat se agah fermayen aur in ko bhi akal atta fermayen
(AMEEN)

Posted on 9/4/2008 1:17:46 PM


Sum Aameeen...



Posted on 9/4/2008 1:31:12 PM

kya baat hai

Islam na ho gya bachon ka khail ho gya jab dil chaha apne pasand ka matlab nikal lo

Posted on 9/4/2008 5:45:43 PM

Rehan M Din:

Last night Molvi Umar ka interview aik news channel per aa raha tha... ghaliban "Waqt News" ya "Express News" per

jab main nay dekhna shuru kia us waqt interview ka end chal raha tha...

Jab un sai sawal pocha gya keh Khud Kush hamlay jaez hain...
to jawab dia... Jee haan... Khud kush hamlay jaiz hain...

Kesay?
jawab mila... keh hamaray khud kush hamla awar yeh niyyat kar kay nahi jatay keh woh musalmanon ko marain gay... un ki niyat murtid ko marnay ki hoti hai...

ab unn kay nazdeek murtid kon hai... jo apnay musalman bhai per is niyat sai hamla karta hai keh main apnay musalman bhai ko maron ga...

jab yeh pocha gya keh jo begunah aur masom log mar jatay hain khud kush hamlay mai us per kya kahain gay...
to jawab mai aik hadith paish kar di jis ka matan kuch is tarah tha keh aik giroh ae ga to Khana kaaba per hamla karay ga... aur sab ko zinda dafna dai ga... sahabi nay pocha keh us mai no masoom log aur auratain bhi hon gi to yeh farmaya gya keh un ko qayamat kay din apni niyat ka ajar milay ga...



Tauba, yeh kaise insaan hai?
Yeh admi apnay aap koh ik Molvi kaise keh sakta hain?

Allah {SWT} iss bewaqoof insaan koh Hidayat deh, Inshah'Allah Ameen.

Posted on 9/4/2008 6:11:30 PM

aisey aisey alimey din hongey to islam ka kiya tashakhus baney ga ALLAH inhein hidayat dey or hum sab ko in say mehfoz rakhey AMEEN.

Posted on 9/4/2008 7:01:47 PM

its not molve umer its MULLAH OMER n this is nt a islam jo ya mulah kah raha hai n ya bhi islam nahi ketha jo humaray soliders or govt kar rahi hai dekhoo yaar ager mai ya tum koi bhi asii place pay RETHA hota jahan us soldiers ya paki soldiers k hatoon humri family ALLAH NA KARY MAR JATI tou humara reaction kya hota n e ways Allah hum muslims ko hadiyat day ameen

Posted on 9/4/2008 9:03:09 PM

khud kush hamle serf ek condition mai jaaiz hai,wo tab jab islam ko dushmano se khatra ho or aap islam ko bachane ki khatir ,ALLAH ki raah mai larte hue ye kaam karo

Posted on 9/4/2008 10:09:25 PM

Assalam O Alaikum

*Hamara Main masla yeh hain k hum aaj tak khud islam ko nahi samajh paye hain
Hum achi tarah jantay hain Islam kya kehta hain
Jis ne aik Insaan ki jaan li goya us ne poori insaniyat ko Qatal kiya


Posted on 9/4/2008 10:16:06 PM

Gee-Z:
its not molve umer its MULLAH OMER n this is nt a islam jo ya mulah kah raha hai n ya bhi islam nahi ketha jo humaray soliders or govt kar rahi hai dekhoo yaar ager mai ya tum koi bhi asii place pay RETHA hota jahan us soldiers ya paki soldiers k hatoon humri family ALLAH NA KARY MAR JATI tou humara reaction kya hota n e ways Allah hum muslims ko hadiyat day ameen


nahi yeh maulvi umer hai yeh tehreek e taliban ka spokesman hai...mullah umer ko to sab jante hein..

Posted on 9/4/2008 10:33:56 PM

Waalaikum Assalam

Agree with u ss masla sirf yehi hai k hum Islam ko apni taraf se change kar rahe hain

Posted on 9/4/2008 10:34:40 PM

Tauba, insaan kitneh duur hote jarahe hain apnay Imaan sey.

Posted on 9/4/2008 10:57:54 PM

bus Mysty Allah raham kare hum per

Posted on 9/4/2008 11:19:50 PM

Ameen...!

Posted on 9/5/2008 8:45:04 AM


Rapu... masla sirf yeh nahi hai keh ham apni taraf sai change kar rahay hain... masla yeh hai keh ham apni taraf sai change kar rahay hain aur us ki agay asha-at bhi wesay hi kar rahay hain...

agar kisi ayat ya hadith ka reference paish kiya jata hai to us ayat ki shan-e-nazool aur hadith ka background check kia jata hai keh woh kis moqay per kahi gai thi...



Posted on 9/5/2008 10:06:27 AM


aur dosri baat yeh keh in ko samjhae ga kon????


Posted on 9/5/2008 10:09:13 AM

sirf itna kahoon ga k plz yeh Taliban .. aapni jahalat ko islam ka naam na dein

Posted on 9/5/2008 11:28:47 AM


ap un sai to poch kar dekhain...
woh kahain gay keh ham log theek hain... ap logon ko islam ka pata hi nahi hai...

Posted on 9/5/2008 11:50:49 AM

yaar islam mein kaunsa koi hidden clauses hian .. jin ka pata nahi

Posted on 9/5/2008 12:37:20 PM


paa g... jesay woh islam ko letay hain... waisay ham nahi letay... to unn kay hisab sai hamain pata hi nahi na...

Posted on 9/5/2008 12:57:01 PM

~Fragi~:
yaar islam mein kaunsa koi hidden clauses hian .. jin ka pata nahi


yeh sirf un ke apnye peda kerda clauses hain jin ko sirf wohi samjhtye hain

aur bhana bana lete hain unhi clauses ka aur yeh sub kerte hain

zahri baat hai reason tu honi chahye na beshak apne se banai gaye ho

Posted on 9/5/2008 1:04:14 PM


aur phir dosron ko bhi samjhanay ki koshish kartay hain...


Posted on 9/5/2008 1:11:08 PM

Rehan M Din:

Rapu... masla sirf yeh nahi hai keh ham apni taraf sai change kar rahay hain... masla yeh hai keh ham apni taraf sai change kar rahay hain aur us ki agay asha-at bhi wesay hi kar rahay hain...

agar kisi ayat ya hadith ka reference paish kiya jata hai to us ayat ki shan-e-nazool aur hadith ka background check kia jata hai keh woh kis moqay per kahi gai thi...




Allah talah hum sab per reham kare ameen if im not worng tu Munafiq ki aik nishani ye hai k wo baat ko confirm kye beghair agay bayan kar deta hai??

Posted on 9/5/2008 1:44:18 PM

yes its true rapu bas apni marzi say apni sahulat k mutabiq changes laa rahein hain or jo islam inho ney bana diya hai us k barey mein hamein waqyi nahi pata.

Posted on 9/5/2008 8:36:32 PM

Allah sab ko hidayat dey

Posted on 9/6/2008 5:54:52 AM

AMEENNNNNNNNNNNNNNNNN

Posted on 9/7/2008 8:37:46 PM

tehzeeb:
yes its true rapu bas apni marzi say apni sahulat k mutabiq changes laa rahein hain or jo islam inho ney bana diya hai us k barey mein hamein waqyi nahi pata.


sahih baat hai i wish k hamain acha aur naik hukmaran mile aur hamari qaum ko Allah tala seedha rasta dikaheyin ameen

Posted on 9/7/2008 8:49:02 PM