.. so i have a request for everyone .. apnee duties ko maat bhoolein .. ye maat bholein kay hamain wapis bhee jana hai .. aur wo zindagee hamaisha kay liay hai .. ye tu us kay samnay bohat he choti zindagee hai ..
.. kitnay afsoos ki baat hai .. kay hamain zara sharam nahi aatee .. jis nay paida kia hai .. ghar dia .. family.. friend.. aur unlimited chezain deen hain .. un kay liay hum namaz taak nahi parh saktay .. choti see example hai hamain koi gift day tu hum thnks boltay hein .. aur Allah .. jis nay hamain .. infinite cheezain den hein .. Us ko kabhee sachay dil say thnx bola?? aur thnx bolnay ka best way hai kay hum namaza parhain aur Us ka shuker ada karain ... 
.. islaam ko mushkil bana dia gia hai .. ?!? .. anngreez aur kafir hum say agay nikl chukay hein .. har maidaan main .. kyun?? kabhee soocha hai ..?!? .. hum nay tu apnee duties hee bhula deen hein .. us ka shuker ada kerna hee chhor dia hai jis nay ye saab kuch dia hai .. tu hum har jaga jeetnay ki umeed kyun kertay hein ..??