Logo

!*...*!Tamanna!*...*!

Bay Hunar Logonn nay maango phir meray Fun ka saboot

Posted on 8/1/2006 9:30:23 PM

jub bhi mujhe neend nahin aty hey dil ek sawal karta hey
woh mujhe kion yaad aty hey !!

tarsa tha us key lye raat bhar ab tu din mein bhi
woh mujhe kion yaad aty hey !!

jub milna nahin us ney tu pagalo key jaisay har waqt
woh mujhe kion yaad aty hey !!

jiss ney tor dya hey sub.. lekin jub bhi jorta hoon
woh mujhe kion yaad aty hey

jub pass theei tu ehsaas nahin tha ... ab nahin hey ..najanay
woh mujhe kion yaad aty hey

Posted on 8/4/2006 1:14:16 AM

hmm

Posted on 8/5/2006 12:35:32 AM

Karoge yaad to har baat yaad aaegi
gujarte waqt ki har mouz thahar jaegi

ye chaand bite zamano ka aaina hoga
pighalti shamon pe dil ka mere guman hoga
udas rat koi dastan sunaegi

barsta bhigta mousam dhuan dhuan hoga
bhatkate abra mein chehra koi banaa hoga
hathelion ki henna yaad kuch dilaegi

gali ke morr par suna sa koi darwaza
tarsti aankho se rasta kisi ka dekhega
nigah door talak ja ke lout aaegi
karoge yaad to har baat yaad aaegi..

Posted on 8/6/2006 12:01:47 PM

zaberdast danie

Posted on 8/8/2006 2:26:43 AM

Thanx dear cf

Posted on 8/9/2006 7:35:01 AM


Posted on 8/15/2006 4:56:27 AM

Shishe Ke Aaine Main Dekhti Hai Woh Khamosh Naazre.
Ghunghat Main Chehra Chupaai Hue.


What a Thought

Posted on 8/17/2006 10:08:41 AM


Posted on 8/17/2006 11:51:26 AM


KABHI BHOOL NAHI SAKHTA


phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko


Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko

Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko

Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko

Uoon to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko

Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maot nay piyar say pehloo main bithaya mujh ko

Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko

kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay hanza
Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko

Posted on 8/21/2006 3:53:49 AM

Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko


Posted on 8/21/2006 10:54:33 PM

gud work FG

Posted on 8/25/2006 1:32:48 AM

Aaj kuch maangna hay tum say
Aaj kuch lena hay tum say


Aaj kuch dena hay tum ko
Na he koi khuwahish, tamanna na arzoo

Bas aik hi chah hai apni aur aik hi justaju
Ham maangtay hain tum say,


teray derd o gham wo saarey Jo rula gaye hain
tuj ko neenden uda gaye hain


Ham hain shareek e gham teray pehchaan to sahi
Ham bhi hain saath teray tu jaan to sahi


Ker bojh apnay dil ka halka hamen bataday
Laaye hain ham baharain teray hi waastay
ye rang aur ye khushboo teray hi waastey



Aaj kuch maangtay hain tum say
Aaj kuch maangna hay tum say ..............


Woh khar khar hai shakh e Gulab ki manand....
Main zakhm zakhm hoon phir bhi galey lagaoon use...

Posted on 8/25/2006 1:34:18 AM

good

Posted on 8/27/2006 6:18:52 AM

Mohabat Ki Saza

Mohabat ki saza pai bohat hai
Humare gam main gahrai bohat hai

Khara mailay main akser sochta hoon
Mere under to tanhai bohat hai

Kamaa leen shohrateen sasti se hum bhi
Mager is main to ruswai bohat hai

Na bhar paayeen gai ab nazer-e-karam se
K en zakhmoon main gehrai bohat hai

Posted on 8/27/2006 6:37:36 AM


yeh jo
Yeh jo Zindagee ki kitaab hai, yeh kitaab bhi kya kitaab hai
Kahin ik haseen sa khawab hai, kaheen jaan leva azaab hai

Kahin aansoon ki hai daastaan, kahin muskurahaton ka bayaan
Kai chehray is mein chupay huey, ik ajeeb sa yeh naqaab hai

Kahin kho dia , kahin paa liya, kahin ro liya, kahin gaa kya
Kahin cheen leti hai her khushi, kahin meherbaan be hisaab hai

Kahin chaaon hai kahin dhoop hai, aur kaheen koi roop hai
Kahin barkaton ki hain baarishein, kahin tashnagi be hisaab hai

Posted on 8/27/2006 6:39:32 AM

the 1st one is superb

gud JOB dear

Posted on 8/27/2006 11:50:57 PM

Saaray Jahan Ki Khushiyan Us K Naseeb Karday,
Hasta Rahay Sada Wo Usay Khush Naseeb Karday,
Kabhi Dil Na Uska Tootay,Kabhi Chot Na Kaye,
Usko Wafa K Ya Rab Itna Kareeb Karday.
Us K Laboon Par Ya Rab Sab Muskurahatein Ho,
Qismat Mai Uskay Hasna Mairay Habeeb Karday,
Chal Kar Jahan Bhi Jaye Pholoon K Rastay Hoon,
Manzil Har Khushi Ki Us K Kareeb Karday,
Dil Maira Ab Mutma-I-n Hua Haii,
Usk K Dhokoon Ko Ya Rab Mairay Naseeb Karday..

Posted on 8/27/2006 11:53:04 PM

apko kissne di hai mohabat ki saza

Posted on 8/28/2006 5:59:08 AM

bas jeeeeeeeeeee


Posted on 8/28/2006 6:01:07 AM



Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gain
Dil Lagain Gain Tu Na Shart-E-Wafa Rakhain Gain

Betabiyon me doob ker shair-e-wafa likh raha hoon
Meri ankhoon me jo basa hai woh khawab likh raha hoon

Zakhm bhi khaye hain aur dagh bhi miley hain
Ab tuk na mit saka jo woh dagh likh raha hoon

Wafa ki dastan me usney hi bey-rukhi ki
Mein us ki her jafa ko bus wafa likh raha hoon

Mujhse muhabbat me us k kuch andaaz thay
Us k her nukhrey ko mein adda likh raha hoon

Woh mujhse juda ho ker bara pursakoon hai
Mein us ko bhool ker bhi uski yaad likh raha hoon

Chahat ka jo mahal tha usey tor ker woh chala gya
Mein uski her saza ko apna naseeb likh raha hoon

Mein ne usko chaha magar paa na saka mein
Uski her jafa ko mein apni khaata likh raha hoon

Chaha tha usko toot ker do pal ki zindagi mein
Jeewan ki us sham mein khod ko bey-wafa likh raha hoon

Jeewan k is safar me woh mera hamsafar tha
Ab reh gya jo tanha uska naam likh raha hoon

Na Dekhain Gain Kabhi Dil Pay Lagay Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gain

Jaan Day Daingain Agar Aik Ishaara Kar Day
Hum Usay Apnay Liey Bhi Na Bacha K Rakhain Gain

Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawat Humdam
Ghar K Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain Gain

Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Say Laga Rakhain Gain

Toot Bhi Jay Gi Umeed Jo Terey Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain

Posted on 8/28/2006 6:03:47 AM

Jaan Day Daingain Agar Aik Ishaara Kar Day
Hum Usay Apnay Liey Bhi Na Bacha K Rakhain Gain


wahh jeee wahh

Posted on 8/28/2006 6:05:54 AM

nahi batao main usko bohaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaat marogi








bana gulaab tau kaante chuba gaya ik shakhs
hua chiragh tau gher hi jala gaya ik shakhs
tamam rung mere aur sare khuwab mere
fasane they ya fasana bana gaya ik shakhs
main kis hawa main uron kis fiza main lehroon
dukhon ke jaal her soo bichaa gaya ik shakhs
mohabaton ne kisi ki bula rakha tha use
miley woh zakhm ke phir yad a gaya ik shakhs
khula yeh raaz ke aaina khana hai yeh duniya
aur is main mujhe tamasha bana gaya ik shakhs









Posted on 8/28/2006 6:07:21 AM

nai marna nahi




and nice work

Posted on 8/28/2006 6:10:29 AM

kyon na maro

Posted on 8/29/2006 5:36:24 AM

dard hoti hai na

Posted on 8/29/2006 1:36:53 PM

bohut ziya da yaar

Posted on 8/29/2006 2:58:31 PM

yup :(

Posted on 8/30/2006 2:37:24 AM


Ehsaas To Hai Hame, Judaai Mai Jeene Ka,

Magar Mazaa Aata Nahi, Sabar Ke Ghoot Pineka
Mere Jine Ke Liye, Tera Armaan Hi Kaafi Hai,
Dil Ki Kalam Se, Likhi Yeh Dastaan Hi Kaafi Hai,
Teer-E-Talwaar Ki Tuje Kya Jaroorat Hai Naajanin,
Katla Karne Ke Liye, Teri Muskaan Hi Kaafi Hai.
Hum Pyaar Karte Hai Aapse,

Posted on 8/30/2006 4:04:13 AM




Ik WO Hai Jo Hum Pe Mur Mitnay Ko Tayaar Hai
Ik Wo Hai Jisay Hamari Kuch Bhi Khaber Nahin
Hum Se Pyaar Ke Jo Waday Kiya Kerta Tha
Ussay Aj Hamari zara Bhi Fiker Nahi

YAQEN NA HO TO ZRA US SEY POOCH KR TO DEKHO
JO HANS RAHA HAI WOH ZAKHMON SEY CHUUR NIKLEY GA.
.......................................................

--------------------------------------
Toofaan kar raha tha Merey Azm ka tawaaf
Duniya samajh rahi thi ke, Kashti bhanwar mein hai

Posted on 8/30/2006 4:09:31 AM