Sabz Madham Roshni Main Surkh Aanchal Ki Dhanak
Sard Kamray Main Machalti Garam Sansoon Ki Mehak
Bazooan Kay Sakht Halkay Main Koi Nazuk badan
Salwatain Theen Malboos Par Or Aanchal Bhi Kuch Dhalka Hua
Rukhsaar Ki Garmi Say Dehki Hui Ek Hawa
Naram Zulfon Say Malaim Shararti Ungalion Ki Chair-Chaar
Surkh Hoton Par Shararat Kay Kisi Lamhay Ka Aks
Reshmi Bahoon Main Choori Ki Ek Madham Si Khanak
Sharamgeen Lahjoon Main Dheeray Say Kabhi Chahat Ki baat
Do Diloon Ki Dharkanoon Main Gounjati Thi Ek Hi Sada
Kampatay Honton Pay Thi Khuda Say Sirf Ek hi Dua
Kaash Yeh Lamhay Yahan Hi Thehar Jain....
Kaash Yeh Lamhay Yahan Hi Thehar Jain Zara....
*~Teri Rahoon Main Kab Say~*~
Teri Rahoon Main Aankhein Bichhaye Baithay Hain
Is Dil Kay Tufan Main Mohabbat Ki
Shamma Jalaye Baithay Hain
Aai Zalim Kis Mor Pay Lakar Chora Hai Tumnay Mujh Ko
Abhi Bhi Milnay Ki Hasrat Say
Teri Yaad Ko Dil Say Lagaye Baithay Hain
Dil Ko Aadat Si Ho Gaye Hai Chout Khanay Ki
Bhigi Hui Palkon Kay Saath Muskuranay Ki
Kash Anjaam-e-Wafa Pehlay Say Jaan Jaatay Tou
Koshish Bhi Nahi Kartay Dil Lagaanay Ki