Hann jiii hum aa gae… ab suniye aur zara ghaur se suniye
Allah miyan apne bandon ka khyal hum se zyada rakhna janta hai, to matlab yeh k kissi ko mushkil ya takleef mei dekh k ya kissi ko galt raste pe chalte dekh k aap sirf yeh kaho k Allah miyan iss ki madad kar dein ge,, i dont have to worry abt him/her
Reallyy strange yarr,, would u do the same with ur brother, sister or ur kids ???
han yeh me ne bhi suna hai k sab kuch pehle se tae shuda hai,, par 100% things pehle se tae nahi hein,,, kismat 2 tarha ki hoti hai,, first woh jo zindagi ya maut or few more things k baare mei hai,, things u cant change,,, aur baki woh jo tum khud se banate ho,,, as i already said mushkil aana Allah ki taraf se hai, par mushkil mei aap ka reaction kya hoga yeh pehle se tae nahi hai,,, agar sab kuch pehle se tae hai to it s sooooo easy yar,, jo dil aae karo, aur kayamat k din Allah miyan se keh do k me ne to wohi kiya jo pehle se decide tha, mujhe kiss baat ki saza mile gi bhala
come on yarrr iss tarha to jannat dozakh,,, akhrat or judgement,, sara concept hi galt ho jata hai,,
i dont beleive that 100% things pehle se tae shuda hein
yeh baat bhi me manti hu coz aisa kaha gaya hai k wakt jitna agay jae ga insaniyat ka zawal hoga,,, the best time was when Nabi paak (pbuh) was in this world,, dunya zawal ki taraf jaae gi, yeh to beshak likha hai par kab ?? yeh koi nahi janta,,,
y do u want to b part of that generation jo k insaniyat ka sab se ghatya daur hoga ??
hum kayamt ko aane se nahi rok sakte,,, par usse kareeb laane mei kyun apna pooora poora role adaa karte hein,, cant we be different from the rest of the world ??
agar lungs cancer k kissi patient ne for example sirf 3/4 yrs zinda rehna hai to kya yeh behtar hai k 2 ki jaga woh 20 packets of cig phoonk daale coz marna to uss ne hai hi ?? kya uss ka ilaj chor diya jae ??
listen yar,,, Khuda ko paa lena har aik k bass ki baat nahi,,, par koshish karna to sab k bass ki baat hai na,, kahin se to start karna hi hai,, aur Allah miyan ne bhi yehi kaha k harr kaam ki base hamari niiyat pe hoti hai,, hamari namaz important nahi hai jitna important hamari niyat hai jiss se hum khuda k samne sir jhukate hein,,
manzil pe pohonchna zaroori nahi hai,, par sahi raste pe chalna this is something,,
acha khair mera matlab har giz yeh nahi k hum sab aik loi le k jungle mei nikal ja’ain,, not attt allllll,, par yarrr,, aik sache dil ki nazar apne gireban mei kabhi kabhi daal leni chaiye,,
u know wot,, mujhe sab se zyada gussa aata hai hum logon ki behisi pe,, hum logon k khudgarzi aur jahalat pe,,
my only contact with our ppl is thru net,, janubaba or few newspapers or online magazines,, and when i seee the way ppl think, its justttttttttttttt,,, unbearable..
sab log mujhe hamesha kehte hein,, u r an european,, that s y u hate us,, europeans or americans mei bhi to itni buraiyan hein,,,
i agree,, me ne kab kaha yar that they r angels,, bohot bure hein yeh log,,
par these ppl r ignorant,,, yeh nahi jante nahi samajhte,, they dont have Quran pak,, they dont have hadees, they r completely lost in their way of life,, kehne ka matlab k they have an excuse,, but WE DONT HAVE ANY
i see our ppl fighting for vvv silly things,, for issues like hijaab for example,,, ya khudayaaa,, aankhon mei itni si sharam nahi dil mei sirf burai hi burai hai to bhala hijaaab pehen k konsa teer maar lo ge aap log,, (it doesnt mean tht im againt it,, bilkul bhi nahi,, par hum log pb ko root se nahi pakarte)
i ve seen our ppl being happy like anything at sept 11th,, yar kuch khuda ka khauf hona chaiye,, innocent ppl were dying there and i talked to my friends in pak who were like “ab aaya na maza”
at the moment jo sab irak mei ho raha hai or in afghanistan,, im against americans,, they ve no right to impose theirselves,,, bohot galt ho raha hai,,, but afghanistan k halaat to na jaane kab se kharab hein,,, these talibans wot they did in their country sab jante hein,, thousands of poor kurds and shia ppl killed by saddams’ gvt,, all muslims nation knew abt it,,
kyun kissi ne kuch nahi kiya ?? kahan the hum log uss wakt,, now americans r doing the same thing,, let them do hum pehle bhi apni dunya mei khush the ab bhi hein
we let ourselves manipulate by others,, jiss ka jo dil karta hai hum se karwa leta hai,, just coz kuch jaane samjhe soche bager maan lene ki adat hai humein,, matlab k baat ghoom phir k wahin aa jati hai,, jo akal jo samajh khuda ne humein di hai hum usse kaam mei kabhi laate hi nahi,,,
human body ka koi bhi muscle agar kuch arse tak use na kiya jae to apni strenth kho deta hai,,, our brain is a muscle jiss ka kaam sochna hai,, our heart is a muscle jiss ka kaam mehsoos karna hai,, hamara zameer bhi aik muscle ki tarha hai jiss ka kaam humein judge karna hai,,,
hmmm i think we rarely use them tabhi kuch murda se ho gae hein
merae khyal mei topic se kahin aur chali gai hu,, par khair that s not important,, hmmm and i also know that im talking all alone, par yeh bhi important nahi hai
mera maqsad sirff itna hai k sab log kam se kam sahi taraf sochna start karein,,, soch sahi hogi niyyat saaf hogi to Insha Allah kaam bhi hum theek hi karein ge
errrrrrrrrrrr,,, fiza bohot tense ho gai hai
to kya hai k hum chale, ab aap beth k humein bura bhala kaho,, khekehekhee,,
sab thaath dhara reh jaae ga
jab laad chale ga banjara
oo suniyo reyyyy
ooooo janiya reyyyyyyy
dheem dheem tanaaa naaa dheem tana naa naaa naaa
galiyon se aae ga,,
sorry dear yeh song s on tv,, meri kya galti hai