~ Philosophy ~

4615 views 128 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
anyone interested in philosophy ??
Posted 29 Aug 2004

Ashii says
patak beta dont spam here
warna issi khotey pe aap ko bitha k race lagwa dein ge hum





abay yaaar koi samajh nahi aa raha
koi topic to bolo kam se kam
sab me hi karu,,, idea bhi bak bak bhi
Posted 03 Oct 2004

Freddy says
chaloo idea mein dei deta hoon ..bak bak tu tum kaar he leti ho

haan xcreame ka mun be kaala kareen gey takay esee kali baboo ka role karnay mein zeyada muskil na hoo
Posted 04 Oct 2004

Ashii says
bewakoofon ko hamari batein bak bak hi lagti hein



oay
idea kahan hai ??
Posted 11 Oct 2004

Freddy says
Bazoorg's



Bazoorgoon ko dua mein waseela banana kesa hai?

khuda kay woe naeek bunday jo khuda ki mahlooq ko sedhi rah dekhatay hain ..jin ki sari zindagi khuda ki hidmat mein guzar jati hai ..jo WALI,Qutab,Abdal kehlatay hain. jub woe wafaat pa jatay hain tu un kay mezaar banayee jatay hain takay rehti duniyaa tuk un ka naam ore aamaal raheen.

lakhoo loog pakistan mein ore india mein un kay mezaroon paar jatay hain ore duayeen mangtay hain...kay Ya khuda En bazoorg hasti kay Sadkay hamari mushkil assan kaar day. ore hazaroon jahil easay be hotay hain jo un kay mezaar pay sajday kartay hain.

un mezaroon paar ja kay mangana jaeez hai ?
un kay aagay sajday karna jayeez hai ?

Remember:- before saying something don't forget that khuda nayatoon ko dekhata hai.

Posted 11 Oct 2004

Ashii says
hmmmm,, yeh to aik dam pure religious discussion ho gai
par khair,, i dont mind




i ll start from the end,,,
""before saying something don't forget that khuda nayatoon ko dekhata hai""
iss baat pe jitna yakeen mera hai i wish utna hi sab ka ho :)
khair,,, baat yeh hai k achi aur sachi niyyat se kiya gaya katal bhi maaf hota hai (like jihad, in real meanings,, koi galt matlab na samajh le)
but yar me samajhti hu k aik muslim hone k naate hum logon ko jahil ya ignorant rehna ka koi hak nahi hai,, matlab yeh k.. aap sab ne suna aur parha hoga k islam se pehle ka zamana jahliyat ka zamana tha,, matlab yeh hua k islam aur jahliyat aik doosre ki zid hein
iss lehaz se dekha jae to muslim jahil nahi ho sakta,, aur jo jahil hai woh acha muslim nahi ho sakta (jahil ka matlab anparh nahi hota)

now back to mazaar,,, islam mei Allah k siwa kissi ko bhi sajda mana hai, yahan tak k Nabi paak k roze tak pe sajda jaiz nahi,, unn se barh k to koi nahi hai na,,
han par kissi naik shaks k waseele se mangna,,, hmm this is debatable,,, coz i ve read once k Allah se mango aur behtreen waseela nabi paak ki zaat hai (we can use words "ae Allah apne pyare nabi k waseele se........)
rahi baat baki wali/qutub wagera ki to,, to b honest mujhe sahi se nahi maloom,, but i suppose k mangne ka tareeka hota hai,,
we can say k Allah miyan apne pyaare bandon k waseele se hamari mushkil door karein,, but kuch log aisa bhi kehte hein k "aap hamari muraad poori karien" jo k mere nazdeek galt hai


aik aur baat,,, khuda k naik log (nabi, wali,,,) iss liye nahi hote k hum inn ko dua mangne ka waseela bana lein,,   yeh log example ki tarha hote hein k unn k jaisi zindagi guzarein hum ya unn ki batai hui baton pe amal karein,, coz obviously woh khuda ka paigham dete hein
aur hum log karte yeh hein k apne tareeke se zindagi guzarte hein aur unn jaisa banne ki koshish nahi karte,, im not saying k har aik wali ban jae coz yeh itna bhi asan nahi,, par apni taraf se koshish to honi chaiye na


arey han mujhe aik baat yaad i,, book mei hi parha tha k kissi sahab ne koi dua karni thi,, and that person heard k sahaba ko jab nabi paak se koi kaam hota tha to woh hazrat fatima se darkhast karte the coz nabi paak apni beti ki baat nahi talte the,,,
unn sahab ne janab e fatima ko waseela bana k dua ki jo k poori hui,, (khair woh dua to shayad nahi thi nabi paak ki khidmat mei koi darkhast thi)
to yaar bass waseela bana k dua karna galt nahi hai par tareeka sahi hona chaiye... niyyat sahi hone liye jaana aur maana zaroori hai,, aur jahil shakhs kuch janta hi nahi to sache dil se maane ga kya,, aur maane ga bhi to woh to aik parrot ki tarha hoga,, aaj aik sabak ratt liya kal aik aur...
was it clear ??




now a quest abt niyyat....
agar aik gair-muslim (christian or jew) sachi niyat se apne mazhab pe kaim rahe aur islam ka dushman ho jae,, wot wld u say abt it ??
dont forget khuda ki zaat ko sabhi mante hein,, khuda k nabi ko sabhi mante hein uss ki kitab ko sabhi mante hein,,, fark yeh hai k unn k nabi aur kitab hamare waale nahi hein,, par hein to khuda k bheje hue hi na....

yeh baat bhi zehn mei rakhna k hum log kehte hein k islam Allah ka sacha mazhab hai aur har muslims bakhsha hua hai (i really have doubts abt it),,,
but christians yeh kehte hein k jesus ne apni kaum k saare gunah apni zaat pe seh liye, iss liye christians bakhshe hue hein
aur jews Allah taala ki pasandeeda kaum thi,, yahan tak kaha jata hai k they r vv intelligent (sari dunya janti hai) coz unn k khoon mei jannat k khane (man o salwa) ka asar hai... that s not a joke....
yeh log apne aap ko hum se behtar samjhein aur sache insaan ban k rahein to unn ki niyyat pe koi shak kiya ja sakta hai kya ???
Posted 11 Oct 2004

Freddy says
hmmm abi batata hoon
Posted 11 Oct 2004

Ashii says

kya batata hu ??
mukabla thori chal raha hai
Posted 11 Oct 2004

Freddy says
koi be discussion lei loo jub uss ki gehrayee mein jaoo gey tu religion he niklay ga.


abb aatay hain waselay ki taraaf yani hum khuda kay hazoor uss kay kisi naek bunday ki safaresh pohanchatay hain kay woe hamari fla fla wish poori kaar dei kue kay hameen tu mudaat ho geye duayeen mangtay hoyee paar khuda hamari nahi sunta paar uss naek bunday kay kehnay sei sun lay ga.

Kya khuda mera nahi ?? kya khuda muj sei pyar nahi karta ?? kya khuda meri awaz nahi sunay ga ??

tum nein example dei kay hazoor(pbuh) ki beti sei safaresh kartay thay loog kay un ki baat hazoor(pbuh) nahi taltay thay ...woe bunda direct nabi paak kay pass kue nahi geya ..agar uss ki woe dua ya wish valid thi tu nabi paak zaroor uss ki madad kartay agar vo valid nahi thi tu kya nabi paak apni beti kay kehnay sei uss ki woe invalid wish poori kaar detay ??.
Posted 11 Oct 2004

Freddy says
mera mutlab tha abi reply karta hoon ..socha tha kahi tum bhaag na jaoo...itni muhkil sei tu mila ha koi muj sei aesi bateen karnay wala.

accha abi baki hisa rehta hai uss paar be baat karni hai
Posted 11 Oct 2004

Freddy says
neyaat ki baat jaha tuk hai i believe on all religions woe sub apni apni juga paar apnay apnay tareekay sei actually khuda ki he ebaadat kaar rahay hain.

i believe kay aik jewis ore christian agar apnay nabi kay batayee hoyee tarekoon par chalta hai tu he is janati ore dosri taraf agar aik muslim apnay nabi kay batayee hoyee tarekoon paar nahi chalta tu he is dozahee ...musalman honay ka ye mutlab nahi kay ussay janat ka ticket mil geya hai jo marzi karay jana tu janat mein he hai ...that is wrong thinking infact jahelana sooch...
Posted 11 Oct 2004

Ashii says
areyy i didnt say k invalid baat maan lete the
aur mujhe detail mei bhi nahi pata but aisi baat thi,, that s wot i read

and u r abs rite,, Allah miyan apne bandon se aise hi pyaar karte hein jaise k maa apne bachon se pyaar karti hai, balke 70 mothers jitna pyaar,,
iss liye dua khud se bhi mangi chaiye,, no doubt abt it
par yeh baat to maane wali hai na k koi log Allah k pasandeeda hote hein,, jaise parents ko bhi kabhi koi bacha zyada pasand hota hai, but it doesnt mean k baki bache pyaare nahi hote
tabhi to me ne kaha na k hum log ache logon jaise khud nahi bante balke unhein waseela bana lete hein coz it s easier ;)

choti si example hai,, Hazrat moosa k bare mei kaha jata hai k woh Allah miyan se zid kar k bhi apni baat manwa lete the,, like koh e toor ka wakeya,, do u think kissi aam shaks k kehne pe woh mojza hota ?
iss liye koi fark to hai,, par uss fark ko sahara bana lena hal nahi hai,, hal hai uss fark ko kam karna


waise aik baat,,,
abhi u were talking abt unn logon ki niyyat jo mazaron pe sajda kar k du'ain mangte hein
hamare haan to mazaron pe mujre bhi hote hein,, kya pata unn logon bhi niyyat bhi achi ho
Posted 11 Oct 2004

Freddy says
acchi example thi lekin sall agar tum ya mein khuda sei sachay dil sei itni gehrayee say kay pahaar be laraz utheen khuda sei wohi wish jo hazrat mosa nein mangeen tu what do you think khuda woe poori karay ga ?

my answer is yes i believe kay agar meri manganay mein sachayee ho gey woe tadraap ho gey woe tulaab ho gey tu khuda meri be manay ga..because i know he loves me a lot.


mujra karvana saaf ye show karta hai kay woe apnay nafs ki taskeen kaar rahay hain ...un ki neyaat clearlly pata chal rahi hai kya hai...
rahi baat sajday ki ye aik ore he story hai..mein raat ko soch kay bataoon ga tumheen kay actually ess mein neyaat ka kaha tha hath hai
Posted 11 Oct 2004

Ashii says
saath mei aik baat aur bhi sochna plz
mere paas sahi jawab nahi mil raha



kehte hein k Allah miyan jo karte hein hamari behtari liye karte hein
matlab k hum jiss halat mei hein wohi behtar hai
to phir dua mangne se kya fark parta hai ??
matlab k jo hoga hamare liye behtar hoga chahe hum dua karein ya nahi
to phir dua ki hakeekat kya hai ??
Posted 12 Oct 2004

Ashii says
dua ki hakeekat
Posted 16 Oct 2004

Freddy says
okay alright tum sunana he chahti ho tu sun lo ..im not a sofi ore aalim but jo baat meri chooti sei aaqal mein aati hai woe keh deta hoon.

meray nazdeek dua khuda kay faiesalay ko challenge karna hai ya uss kay faiesalay kay halaaf uss ki adalat mein mukadama karna hai.


hum loog ya koi be aalim ya koi be molvi dosroon ko kehtay hain khuda nein jo keh deya ya jo bana deya ya jo hamaray mukadaar mein likh dea woe kabi change nahi ho sakta...
magar dosri taraf jub hamaray apnay sath ya kisi molvi ya sofi kay sath ayesa hota hai jisay hum apni nakis aakal sei samajtay hain ye hamray sath galat hoa hai ..tu hum khuda sei safarish(dua) karnay beth jatay hai jis ka saaf saaf ye mutlab banta hai kay ya khuda hum teray faisalay sei mutafieek nahi jo tu nein hamaray mukadaar mein likha hai uss ko badal hameen jo tum nein dea yeh aesay nahi vesay dei.


agar dosari taraf sei dekheen tu ye apnay dil ko tasalee denay ka aik zareyaa hai.

aik joa ya lottery ..hum paar agar koi musibaat aati hai tu hum uss ko hatam karnay kay leye bhag door kartay hain muhtalif tarekoon sei usay hatam karnay ki koshish kartay hain ..agar woe kisi be tareekay sa solve na ho ore hum thuk kay beth jayeen ya himat haar lein tu hum dua kartay hain agar phir be na solve ho tu haam apnay naseeb ka likha samaj kay hamosh ho jatay hain ore duniya kay dosray kamoon mein masroof ho jatay hain.


Posted 16 Oct 2004

Ashii says
issi talash o tajasus mei kho gaya hu me
jo me nahi hu to kyun hu
jo hu to kya hu me

pohonch gaya hu dar e yaar tak mukaddar se
wagarna sab mere sajde
idher udher hote

jo raaz e hakeekat se ba khabar hote
farishte aarzu karte
k woh bashar hote

hmmmmm.. got it,,
takdeer ya to koshish se badli jati hai yar dua se
harkat ya barkat :)

samajh nahi aati yarrrrrrrrrr.. kuch samajh nahi aati
yaa rab phir aik baar fakeeron pe marham rakh de
muddat hui hai zyarat e insaan kiye hue
Posted 16 Oct 2004

Freddy says
muddat hui hai zyarat e insaan kiye hue



haan itnay dinoo sei tum ghar sei bahir be nahi nikli na


yaar i believe zindagi mein sirf hansnay hasanay kay elava kuch original nahi na hamari soch na hamara rehan sehan..hum nein chand ko benakaab kaar dea paar mila kya sevayeee ess kay ..kay woe aik badsoorat sitara hai jis becharay ki chamak be apni nahi....hum dhooond kya rahay hain ?? kya chahyee hameen ?? ahesta ahesta jub ye sub raaz hamaray leye raaz nahi raheen gey tub kya ho ga ? tub hum kisay dhoondeen gey ?

yaheen aik baat samaj aati hai kay agar khuda apnay app ko benakaab kaar dei tu kya woe khuda rahay ? jis ki hakeekaat ko haam nein pa leya woe cheez hamaray leye bayhakekat ho geye fazool ho geye...pata nahi hum kidar ja rahay hain..paeda hotay hain ....shaadi kartay hain apnay jesay ore insaan paeda kartay hain ore maar jatay hain.

leave it yaar i think i should rest for few days aaj kaal bohot talakh ho geya hoon mein ..pehlay he woe bechari sharara ore mysteriousgal sei larayee hotay hotay reh gey.
Posted 17 Oct 2004

Ashii says
u r rite yar,,,
har woh cheez jo hidden hai attract karti hai
par mujhe iss dunya, iss kaenaat ko benakab nahi karna
Khuda ki zaat pe yakeen hai poora,, Khuda ko paana usse benakaab karna nahi hai,,
Allah ki azmat ka sache dil se yakeen hai, no doubt abt it
parrr sirff sirfff aik quest
""khuda ki jiss creation ko farishte sajda karte hein""
kya hai yeh

farishton ka sajda to aik taraf hum to kissi choti si naimat k kabil bhi nahi rahe
as u said hamari zindagi ka maqsad itna khokhla hai k apne aap se sharam aati hai...... itni behissi kahan se aa gai yar,, itni jahliyat,, har taraf museebatein hein,, har taraf besakooni hai phir bhi hum kuch nahi samajh paate,, Allah ki di hui itni beshumar naimaton mei se aik ka bhi haq nahi adaa kar sakte, kya hein hum log
Posted 17 Oct 2004

Ashii says
mg pa ji
aap ka thumb tor dene ka dil kar raha hai
kuch aur kyun nahi kehte
Posted 17 Oct 2004

Freddy says
khuda ki jiss creation ko farishte sajda karte hein""
kya hai yeh


muti ka putla jis mein jaan daal dei geye ....jo khana kha sakta hai ...gana ga sakta hai...........time milay tu apnay bananay walay ko yaad be kaar sakta hai.......kapray pehan sakta hai.............accha bura soch sakta hai........mur sakta hai.......maar sakta hai..........apnay jesay dosray insanoo ki madaad kaar sakta hai..........mokaa milay tu nuksaan be pohancha sakta hai.........sher ...cheetay ......darenday ........parendayyyyyyyyyy ......jin..............sub jis sei dartay hain............jis nein hava ko kaboo mein kaar lea........jo chaand pay pohanch geye.............jo havaon mein urr sakta hai.......zameen paar dooor sakta hai........jis nein insaan bananay be sikh leye.......khuda nein jesay apnay hath sei banayaa ore uss nein be badlay mein kitnay he khuda apnay hath sei bana dalay...........jis kay leye khuda nein phaal banayee....ore usss nein unn ki sharab bana dalii......insaan sekh sakta hai......thoray sei bohot sa jaan sakta hai.......ore fareshtay ????????

Abb be farishtoon ko ussay sajda karnay mein koi etraaz ho sakta hai ???

hahahaha ore jo na karay wo shaitaan......duniyaa ko dekh kay tu lugta hai shaitaan fareshtoon mein sub sei akaalmaand tha.........
Posted 28 Oct 2004

Ashii says
oupss,,
me to apna yeh topic bhool hi gai thi
thnx freddy




hansi to aa rahi hai bohot,,
par buri baat,, aise nahi kehte

lecure dene ki himmat nahi hai,, itna hi kahein ge k

ho naksh agar batil
takraar se kya hasil..
kya Tujh ko khush aati hai
aadam ki yeh arzani



Allah miyann jiiiiiiiiiiiiiii
Posted 28 Oct 2004

Ashii says
i wonder koi kuch nahi jaana chahta
koi apne aap se koi sawal nahi puchta kya

sab satisfied hein apne aap se,, iss dunya se,,,
iss dunya k,, pane futur se

Posted 31 Oct 2004

Sall, your question and your commets surprised me.

Your comment about wasilah - my God, a concept of jahiliya being questioned for validity

Allah SWT says:
And when My servants ask you, I am indeed near to them. I respond to the invocations of the supplicant when he calls on Me So let them obey Me and believe in Me, so that they may be led aright.    Baqrah: 186

Secondly, Asking Allah SWT with wasilah (human etc) puts Allah's integrity in doubt.
Posted 09 Nov 2004

Ashii says

lemme read again wot i posted
shaam mei

Posted 09 Nov 2004

haan yaar says
really
Posted 09 Nov 2004

Ashii says
Smooth_daddy said:

Sall, your question and your commets surprised me.

Your comment about wasilah - my God, a concept of jahiliya being questioned for validity

Allah SWT says:
And when My servants ask you, I am indeed near to them. I respond to the invocations of the supplicant when he calls on Me So let them obey Me and believe in Me, so that they may be led aright.    Baqrah: 186

Secondly, Asking Allah SWT with wasilah (human etc) puts Allah's integrity in doubt.


i read my posts and still didnt get wot u want to say
if u r talking abt wot i said concerning a person requesting to Hazrat Fatima,, it s not my opinion,, that s wot i read somewhere
if i had a scanner id have scanned and post it

Posted 09 Nov 2004

SALL said:

Smooth_daddy said:

Sall, your question and your commets surprised me.

Your comment about wasilah - my God, a concept of jahiliya being questioned for validity

Allah SWT says:
And when My servants ask you, I am indeed near to them. I respond to the invocations of the supplicant when he calls on Me So let them obey Me and believe in Me, so that they may be led aright.    Baqrah: 186

Secondly, Asking Allah SWT with wasilah (human etc) puts Allah's integrity in doubt.


i read my posts and still didnt get wot u want to say
if u r talking abt wot i said concerning a person requesting to Hazrat Fatima,, it s not my opinion,, that s wot i read somewhere
if i had a scanner id have scanned and post it



Its not about that, its about the concept of wasila by it self. I was refering to your statement when you stated it may be ok to ask Allah thru wasila. The only one permissible wassila is to ask Allah by his beautiful names. Additionally, those who have passed away, they can't ask for themselves how cld they ask for other. Doors of Dua are only open in this life. Dua of living person reaches Allah and then conveyed to the deceased.
Posted 10 Nov 2004

Ashii says
but i read somewhere that directly Allah miyan se mangna behtar hai
but Prophet ka waseela se bhi maang sakte hein

i dont beleive in mazaar things wagera,,,
but i beleive that few ppl r prefered coz of their faith and life they spent
i mite b wrong
Posted 10 Nov 2004

Freddy says
Posted 10 Nov 2004

SALL said:

now a quest abt niyyat....
agar aik gair-muslim (christian or jew) sachi niyat se apne mazhab pe kaim rahe aur islam ka dushman ho jae,, wot wld u say abt it ??
dont forget khuda ki zaat ko sabhi mante hein,, khuda k nabi ko sabhi mante hein uss ki kitab ko sabhi mante hein,,, fark yeh hai k unn k nabi aur kitab hamare waale nahi hein,, par hein to khuda k bheje hue hi na....

yeh baat bhi zehn mei rakhna k hum log kehte hein k islam Allah ka sacha mazhab hai aur har muslims bakhsha hua hai (i really have doubts abt it),,,
but christians yeh kehte hein k jesus ne apni kaum k saare gunah apni zaat pe seh liye, iss liye christians bakhshe hue hein
aur jews Allah taala ki pasandeeda kaum thi,, yahan tak kaha jata hai k they r vv intelligent (sari dunya janti hai) coz unn k khoon mei jannat k khane (man o salwa) ka asar hai... that s not a joke....
yeh log apne aap ko hum se behtar samjhein aur sache insaan ban k rahein to unn ki niyyat pe koi shak kiya ja sakta hai kya ???



Sall, I thk you thnk alot and try to understand things by putting 2 & 2 to get 4 its great

Islam as whole stands on 6 pillars of faith, and central to this is the oneness (uniqueness) of Allah. Islam was the religion of all prophets from Adam to Mohammed (pbut), including Musa and Esa (pbut). Your point of niyyat is fairly accurate. Niyyah is central to the Ikhlas of tawheed.

Arrival of Prophet Esa was the extension of the religion of prophet Moses and abrogation of Torah (only bcuz it was amulgamated). In Quran Allah SWT clearly states that the religion to Allah is Islam, and in another place it reads, no religion other than islam will be acceptable to Allah on the Last Day.

Now the question of being forgiven, Allah says in the Quran to ask them of an evidence (a promise or word of Allah) that C & J are forgiven and will inherit pardise. Allah even challenges them "to wish for death if they are truly believe pardon and paradise for them! surley they never will till the end bcause of what they have sent forth and Allah's aware of wrong doers." C&Js who died on their true faith b4 the coming of prophet Mohammed (pbuh) they are like Muslims who dies on the true faith and will have save destiny.

For Muslims to think they are forgiven -- a deception of shaitan -- for Allah's beloved prophet (pbuh) used to seek forgiveness from Him. Allah says in the Quran, "Do people think that they will be left alone because they say: "We believe,'' and will not be tested."

As far as man-o-salwa in jews' blood, Allah also sent food from heavens for christians - companioions of Esa (pbuh). Prophet Mohammed had many miracles when several of his comapnions ate or drank from one small container blessed by Allah SWT. But point to note is that jews were made apes and pigs too even though they had eaten food from heavens. Abu Jahal also drank from same Zam-Zam as did Prophet Ismael and prophet Mohammed. I am sure you got the idea.
Posted 11 Nov 2004

Reply to Topic